Chapter 24

446 38 51
                                    

Woh ab bhi wahin betha tha usi tarah ek mujasme ki tarah. Uske haath me ab bhi uska haath tha.

"Kabhi nahi chorun gi aap ka haath"

Woh haath usse ahista ahista chut raha tha aur woh kuch bhi na kar paa raha tha.
Uski ankhe band thin woh ankhe nahi khol rahi thi.

"Tumhari ankho ki chamak meri zindagi roshan kar deti hai"

Woh chamak nahi rahi thi naa hi uski zindagi ki roshni.
Us din uski ankhe sukhi rahi thin unse ek katra nahi tapka tha lekin uske hisse ke saare ansu aasmaan baha raha tha.

"Zaryan...Seherunnisa ko ghar..le kar jana hai.."

Use koi hosh nahi thi ke kon uske paas khara tha kon kya keh raha tha kyun keh raha tha. Agar use yaad tha to yeh ke uske haath se woh akhri umeed bhi chut rahi thi koi use wahan se utha raha tha aur uske haath se Seherunnisa ka haath chut raha tha...aur woh khaali haath reh gaya tha usne uske baad kahin dekhne ki koshish nahi ki thi use ahista se Shahzaib ne gari me bithaya tha aur woh khamoshi se beth gaya tha.

Sab khatam ho raha tha to yeh duniya kyun nahi ho rahi thi? Agar uski Nisa chali gai thi to woh kyun saanse le raha tha?
Uski sanse band kyun nahi ho rahi thi?

Takleef shayad chota lafz tha woh bas khaali tha. Kisi bhi ehsaas se khaali ek khaalipan tha jo use puri tarah jhulsa raha tha. Khaali ho jana kuch logon ki azaadi hoti hai aur kuch logon ki qaid.
Aur Zaryan Saeed ke khaalipan ka safar aaj shuru hua tha woh jaate hue use humesha ke liye qaid kar gayi thi.

Aaj uski ankhe kisi registan ki manind sukhi thin aur aasmaan jese uske hisse ke ansu bhi bahane ko taiyar betha tha.

Log aa kar usse mil rahe the aur woh musalsal khamosh khara tha. Woh mehsoos kar sakta tha ke shayad Afnan sahab aur Ibrahim uske gale mile the lekin use kya farak parta us waqt jo bhi tha jis liye bhi tha.

"Ab waqt ho gaya he janaze ko le kar jaana hai"

Shayad Zaryan ke abba bole the aur usne chehra utha kar beyaqeeni se unhe dekha tha Saeed sahab ne halka sa sar hilaya tha. Woh jaante the unka beta kitna toota hua tha.
Woh sab jab chalte hue andar aye to maiyyat ke samne Bushra begam bejaan si bethi hui thi unke aansu jaise thamne ko taiyar hi nahi the aaj. Ek aurat har gham dekh sakti hai lekin jab baat uski aulaad per aye to woh ek kharash bhi nahi seh sakti aur apni jawan aulaad ko apne samne jaate dekhna shayad ek maa ke liye mout se bhi battar tha.

"Afnan...kahan le kar jaa rahe hain meri beti ko...!"

Jab kandha dene ko sab aage bare to Bushra begam tarap kar bolin thi. Afnan sahab ne ahista se unhe kandho se pakra aur khud se lagaya magar jis takleef me woh khud the bayaan nahi kar sakte the ek baap ke liye kya beti se pyara kuch hota hai..? Kuch bhi to nahi hota uske jesa.

"Bushra...sabar karo..."

"Afnan humari beti..! Meri Seher...meri Sehe..r.."

Woh bejan si gir gayin thi... unsab ki duniya jese aaj ujar gayi thi sab ki zindagi se woh jaate jaate jese roshni aur umeed le kr jaa rahi thi.
Woh chore aur mazboot kandho ke do mard jinho ne sabse aage khare ho kar kandha diya tha dono beyhad mazboot the ke itna wazan uthana unke liye koi mushkil nahi thi magar aaj woh sirf koi wazan nahi tha ek ki bachpan ki dost uski sab se bari supporter uski jaan se bui pyari behen thi to dusre ki woh kul kainaat thi uski biwi uski beti ki maa uski muhabbat...zindagi me itna bhaar usne shayad kabhi nahi uthaya tha woh bhaar uske dil aur ruh ka tha.

Woh khamoshi se chalta hua ghar ke andar aya tha aur andar aate hi jese uske paun tham gaye the raat ke waqt bhi kabhi woh ghar itna tareeq to nahi laga tha. Shayad uske andar amdhera ho gaya tha ya phir duniya me kuch bacha hi nahi tha kam az ak uske liye to nahi.

Tu woh chaand Where stories live. Discover now