Chapter 25

472 36 38
                                    

ummeed-e-yaar nazar ka mizaaj dard ka rang
tum aaj kuch bhi na poocho ke dil udaas bahot hai

-Faiz Ahmed Faiz

______

"Maana mujhse bedihani hui he magar Zaryan kya apni maa ko maaf bhi nahi karo ge...?"

Salma ke bolne per Zaryan ne aage ho kar unka haath thaama.

"Maa main aap se naraz hun hi nahi. Jo hua uske liye khud ko zimedar mat theraen aur Zaina ko main is liye apne saath nahi le kar jaa raha ke mujhe aap per yaqeen nahi hai main is liye le kar jaa raha hun kyun ke aap ki tabiyat sahi nahi rehti aur main khud use yahan chor kar araam se kaam nahi kar paun ga. Bechaini si lagi rahe gi."

Usne kaha to Salma ne bamushkil chehre per muskurahat layi aur uske chehre ko chua.

"Apna khayal rakhna aur Zaina ka bhi."

Unho ne kaha to usne aage ho kar unka maatha chuma aur sar ko hilata unhe khuda hafiz keh kar bahir nikal gaya.
Bahir lounge me aya to Zaina apne dada ki goud me bethi hui thi.

"Baba main jaa raha hun"

"Kheriyat se jao beta. Jab tum wapis ao ge to kuch baaten karni hai tumse mujhe."

Unho ne use bagour dekhte hue kaha to usne abru uchkayi.

"Mujhse? Kheriyat he?"

"Haan bas tumhare mustakbil ke baare me baat karni hai"

Unho ne kaha to Zaryan ne unse nazre churayi aur sofey se Zaina ko houd me uthaya.

"Yeh he mera mustakbil bhi aur aaj bhi baba. Please ab yeh baat mat cheriye ga."

Usne kaha unhe apna aur Salma ka khayal rakhne ka keh kar woh bahir nikal gaya gari me beth kar usne driver ko gari nikalne ka kaha. Use already der ho rahi thi.
Back seat per saath bethi Zaina ko usne dekha jiski choti si do poniyan hui thi aur jeans ki one piece pehne hue woh kisi guriya ki tarah lag rahi thi. Sach hi to tha ab woh guriya he uski zindagi thi!

Woh ek beyhad ehem meeting  ke liye Istanbul jaa raha tha. Yeh uske kharaab hote karobaar ke liye aya ek golden chance tha jisme use Istanbul ki ek company ke saath mil kar kisi project per kaam karna tha. Woh jaanta tha itni dur kaam per apni do saala beti ko le kar jaana koi acha idea nahi tha magar woh aur kuch nahi kar sakta tha kam as kam use 10 din ke liye yahan chor kar jaana? Woh uski kisi option me thaa hi nahi na woh uske bagair reh sakta tha naa hi Zaina.

"Baba..!"

Woh apne khayalon me se nikla aur use dekha jo use pukaar rahi thi.

"Jee baba ki jaan?"

Usne apni guriya upar ki jiski gardan nikal gayi thi aur ab use dekh ke woh khud pareshan reh gayi thi.

"Oh hoo koi baat nahi aap ke paas teddy bear he na aap usse khel lo..?"

Usne kaha aur uske saath hi para Zaina ka Frozen ke chote bag me se uska chota sa teddy bear nikal kar use pakraya aur use apni goud me uthaya aur uske bag ko bhi do unglion se pakra. Woh Airport pohonch chuke the.
Woh Zaina ke saath waiting area me bethe boarding shuru hone ka intezar kar raha tha. Uska phone baja to usne Zaina ko ek nazar dekha jo uske paas bethi ab bhi apne teddy bear ke saath masroof thi. Office ki kisi call me woh magan tha. Saath bethi Zaina apne teddy bear ke saath khelti hui aas paas dekhne lagi jab use apne samne se guzar kar lambe bhoore baalo wali larki guzar ti nazar ayi aur Zaina ki ankhe chamak uthi woh foran seat se utri aur us larki ke peeche bhaagi.

Tu woh chaand Where stories live. Discover now