Chapter 7

425 49 27
                                    

Aaj jab abba ne mujhse kaha ke main ammi ki baato ko bhool ke unhe bataun ke main yeh rishta chahti hun ke nahi tab mere paas ek bohat acha mouka tha phir bhi najane kyun main inkar nahi kar payi.
Shayad main Amma Abba ka dil nahi totna chahti thi? Ya phir mera khud ka dil raazi tha? Najane kyun naa karna bohat mushkil tha aur us anjaan joker se shaadi ka khayal us waqt utna khouf nahi de raha tha jitna mujhe lagta tha.
Kya pata wohi woh shaks ho jiske saath mere Allah ne mera naseeb jora ho?

Woh diary ke usi page pe ruki kuch sochne lagi. Woh Maria ke shaadi wale din ke us waqie ko yaad karne lagi jis din Zaryan ne use apne peeche kar ke un larko se bachaya tha.
Tha to woh joker lekin shayad use aurat ki izzat aur hifazat karni aati thi...woh utna bura bhi nahi tha shayad..? Woh aaj pehli dafa uske baare me kuch positive soch rahi thi.

Kuch dino baad unke ghar pe mangni ki ek choti si rasam rakhi gayi thi. Kuch kareebi rishtedaaro ko bulaya gaya tha bas Zaryan wahan betha apni nazre darwaze pe tikaye hue the.
Use jab pata chala ke haan ho gayi he to use kafi herani hui thi Seherunnisa ko dekh ke use puri umeed thi ke woh kisi na kisi tarike mana kar de gi lekin us unexpected jawaab pe woh kafi heran hua tha.

"MashAllah! Kitni pyari lag rahi hai meri beti!"

Usne apni Ammi ki awaaz per sar utha ke dekha to wahan se Seherunnisa utarti aa rahi thi usne white color ka dress pehna hua tha aur baalo ko khula chore hue woh saada lekin khubsoorat lag rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Usne apni Ammi ki awaaz per sar utha ke dekha to wahan se Seherunnisa utarti aa rahi thi usne white color ka dress pehna hua tha aur baalo ko khula chore hue woh saada lekin khubsoorat lag rahi thi. Salma use gale laga ke uska sar choom rahi thi woh wahin uth khara hua.
Phir woh ahista se aa ke uske saath beth gayi to woh bhi beth gaya.

"Rasam shuru karen?"

Afnan sahab bole to Saeed sahab ne sar muskura kar hilaya.

"Yeh lo beta"

Dono ki maaon ne unhe ring pakra di thi.
Zaryan ne apne haath me pakri us khubsoorat diamond ring ko dekha jo ke bohat ziyada keemti shayad nahi thi lekin us chote se heere ke saath pyari lag rahi thi aur phir usne Seherunnisa ko dekha jo apne haath me pakri anghuti ko d khte hue shayad kuch soch rahi thi lekin jab Zaryan ne uska haath thaamne ke liye haath aage kiya to usne chehra utha Ke Zaryan ko pehli baar dekha aur phir ahista se apna haath uske haath me rakha.
Usne ahista se us anghuti ko uski ungli me pehna diya. Aur usi tarah Seherunnisa ne bhi use anghuti pehna di to sah unge mubarak baad de kar aaps me baate karne lag gaye woh dono wahan kuch der ke liye khamosh bethe rahe. Seherunnisa apne haath ki anghuti ko gour se dekh rahi thi jab use Zaryan ki awaaz ne chonkaya.

"To phir blackmailing kaam nahi ki?"

Seherunnisa ne chehra halka sa mor ke use dekha to Zaryan muskura kar samne dekh raha tha.
Kam as kam use yeh umeed nahi thi ke woh yeh baat chehre ka sab se pehle.

"Maine ki hi nahi."

Seherunnisa ne samne dekh ke kaha to is dafa Zaryan ne use dekha.

Tu woh chaand Where stories live. Discover now