"Hello Ms Seherunnisa"Seherunnisa apni class se bahir nikal kar Office me jaa hi rahi thi jab use peeche se awaaz ayi aur woh muri aur sakid khari reh gayi.
"Sikandar sahab aap yahan?"
"Jee kyun mujhe yahan nahi hona chahiye?"
Usne usi tarah halki muskurahat liye kaha to Seherunnisa ne sar ko jhatka.
"Nahi mera woh matlab nahi tha."
"Main bas aap ko welcome kehna chahta tha Ms Seherunnisa"
"Thank you and it's Mrs not Miss"
Usne apna sar uncha kar ke kaha to Sikandar ke chehre ki muskurahat wesi hi rahi magar uski ankho me kuch badla tha.
"Oh congratulations Mujhe invitation bhi nahi diya halake mere bohat achey dost ki shadi thi"
Usne kaha to Seherunnisa ne fat se jawaab diya.
"Woh to aap ko apne doat se puchna chahiye aur kya aap bas mujhe welcome kehne aye hen ya koi kaam tha?"
Usne thora awazaar ho kar pucha.
"Jee dost se bhi puch len ge aur isi liye aap ko apne ghar invite karna chah raha tha main"
Uane kaha to Seherunnisa ke chehre per herani ubhri aur use sach me samjh nahi aya ke woh kya jawaab de. Jaana woh chahti nahi thi aur naa kaise kare use samjh nahi aa raha tha.
"Sir..zaryan thore busy hote hain to thora mushkil-"
"Pehli baat to sir mat bulaen mujhe aur naa mat ki jiye ga!"
Woh aage kuch kehne lagi thi jab uske paas ek bachi ayi aur usne use class me kisi larayi ke baare me bataya.
"I think abhi meri zaroorat hai class me"
"Main aap dono ka Saturday ki shaam ko wait karun ga!"
Sikandar bola aur Seherunnisa ne halka sa sar hilaya aur classroom me bhaagi aur uske jaate hue usper gari hui nazar woh apni pusht par bhi mehsoos kar paa rahi thi. Wahan khara woh shaks halki muskurahat liye wahan khara raha tha uska dimaag jitni taizi si kaam kar raha tha us waqt shayad shetaan bhi panaa maangta.
Pura din ki mehnat ke baad woh thakhaar kar apna bag utha rahi thi jab uska phone baja tha aur usne bagair dekhe hi utha liya tha.
"Hello"
"Assalamu alaikum warakhmatullah"
Seher ke chehre per yak dam halki muskurahat ayi.
"Walaikum assalaam chalo shukar aap ko salaam to sahi se karna aya."
Usne mazaaq karne wale andaaz me kaha to woh bhi aage se hasa.
"Haan jese pehle to mujhe salaam karna nahi aata tha na?"
"Kyun aata tha?"
"Alhumdulilah bohat acha naa sahi lekin ek sacha musalmaan hun!"
Woh kisi bachey ki tarah bola to Seherunnisa ne bag me sab samaan rakha aur boli.
"Acha sachey musalman call kyun ki hai?"
"Yeh puchne ke liye ke kahan ho?"
"School se nikal hi rahi thi bas"
"Good! Bahir aao ab jaldi se"
Usne kaha to Seherunnisa yak dam chonki.
"Aap bahir hain?"
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...