"Kya hua he Maria?"Seherunnisa stage ke paas hi khari thi jab use Maria ne ankho se karib aane ka ishara kiya aur woh uske paas ayi thi.
"Seher Mama ko bulao please...Ruksati ka waqt ho raha he aur mujhe bohat dar lag raha he..."
Usne uske kaan ke kareeb halki si sargoshi ki to Seherunnisa ne halka sa peeche ho kar muskura kar use dekha phir sar ko asbaat me hilati uski mama ko dhoond ne ke liye chali gayi. Woh kafi dekh chuki thi lekin use najane kyun Maria ki mama nazar nahi aa rahin thi.
Woh jab hall ke kone tak ayi to usne dekha ke Maria ki khala Salma begum apna sar thaame khari thi woh kuch theek nahi lag rahi thi.
Woh jaldi se chalti hue unke kareeb agyi thi aur woh larkhara kar girne lagi jab usne foran unhe thaam liya."Aunty aap theek hain?"
Usne pucha to unho ne abhi bhi apna sar pakra hua tha.
"H..haan.."
Unho ne halka sa kaha to usne unhe wahan paas kursi per bithaya.
"Kya hua he aunty? Aap ki tabiyat kharab kese ho gayi?"
Usne wahan table pe pare glass me paani daalte hue unse pucha tha.
"Pata nahi beta...bas bp ka issue he mujhe maine dawa nahi li thi is liye shayad..."
Unho ne kaha to Seherunnisa ne unke haath me glass pakraya aur unhe fikarmandi se dekha.
"Aunty medicines ka khayal rakhna chahiye aap ko..! Waise aap ki medicine he abhi aap ke paas?"
Usne pucha to unho ne use dekha.
"Nahi beta...abhi mere paas nahi hai maine apne bete ko di thi bas use dhoond rahi thi to ek dam chakkar aa gaya..."
Unho ne kaha to Seherunnisa ne unhe dekha aur phir usi tarah fikar se boli.
"Main aap ke bete ko bula deti hun aap yhin ruken"
Usne kaha wapis hall ki taraf mur kar nazar dhorane lagi lekin hall itna bara tha aur log itne the ke use woh nahi nazar aya tha.
Woh thora aage chalti hui gayi to wahan kuch mard khare the aur unke beech woh use nazar aya tha lekin masla yeh tha ke ab woh use un sab ke beech bulati kese. Tabhi uske kareeb se Babar nazar ay aur usne sakoon ka saans le kar use pukaara."Kya hu Seherunnisa?"
"Woh aap ki khala apne bete ko bulaa rahi hain unki tabiyat theek nahi hai"
Usne kaha to Babar bhi kuch pareshan ho gaya.
"Kahan he khala?"
Usne pucha to Seherunnisa ne hall ke dusri taraf ishara kiya aur wapis usi taraf chali gayi thi unke paas.
Kuch der baad Zaryan pareshani ke aalam me chalta hua udhar aya tha.
"Kya hua he maa?"
Usne pareshan ho kar pucha to Salma begum ne halka sa sar jhataka.
"Kuch nahi Zaryan bas bp ka roz ka masla he chakkar aa gaya tha lekin Allah khush rakhe is bachi ko isne mujhe bitha diya yahan phir tumhe bhi bula diya. meri medicine he tumhare paas?"
Unho ne kaha to Zaryan ne unki kursi ke saath khari Seherunnisa ko dekha jo ab jaane lagi thi.
"Aunty apna khayal rakhiye ga main ab Maria ke paas chalti hun..!"
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...