Chapter 10

418 42 42
                                    

Woh dono jab neeche gaye to sab nashte ki table per bethe unka intezar kar rahe the. woh dono saath hi bethe to sab ne nashta shuru kar diya.

"Bacho nashta kar ke hume islamabad ke liye nikal na he to taiyar ho jao!"

Saeed sahab bole to un sab ne sar ko hilaya. Baraat lahore me hui thi magar walima islamabad me hona tha kyun ke Saeed sahab ke rishtedaar ziyadatar islamabad me the aur kuch kareebi rishtedar ke ilawa lahore tak koi aya nahi tha.

"Babar tumne tickets book karwa lin thi na"

Salma ne pucha to Babar ne toast ko khaate hue kaha.

"Ji khala tickets to ho gayin thi magar...."

Usne zaryan aur Seherunnisa ko dekh ke kaha.

"Magar kya"

Zaryan ne use dekh ke pucha to woh apni muskurahat rouk te hue bola.

"Seher ki ticket nahi mili"

Woh bola to sab ne use khaa jaane wali nazro se dekha siwae Maria ke.

"Kya matlab seher ki ticket nahi mili se?"

Zaryan bola to usne haath se use hosla karne ka ishara kiya aur bola.

"Mere bhai hosla karo samjhata hun. Dekho hum sab ki thi return ticket aur jo flight hum sab ki hai usme koi seat khali nahi  thi to main ab zabardasti koi seat to nahi banwa sakta na..!"

Woh bola to Zaryan ka sach me bas nahi chal raha tha ke uth ke use maar na shuru kar de.

"Babar ek kaam jab tumhe kaha tha to time se nahi kar sakte the tum?"

Uski ammi ne use gusse se kaha to uski jagah Maria boli.

"mere paas ek hal he!"

Sab ne use dekha to woh muskura kar boli.

"Naye dulha dulhan ko gaari per bhej dete hain..!"

Woh boli to Seher aur Zaryan dono hi use mu khol kar dekhte hi reh gaye the.


—————

"kya hua Afnan abhi main aap ke bete ko dekh ke Ayi hun aur idhar aap mu bana kar Bethe hain?"

Bushra ne pucha to Afnan sahab ne bagair sar jhatka.

"Ibrahim ko kya hua he?"

"Wohi jo aap ko hua he baap beta dono ek jese hain...woh bhi wahan mu phula kar betha he"

Woh jaanti thi ke Afnan sahab aur Ibrahim dono hi Seherunnisa se kitna pyaar karte the. Aur ab uske jaane ke baad unhe kitni udaasi thi.

"Kya karun bushra mere ghar ki rounaq thi meri beti aise lag raha he jese koi mera ghar khaali kar gaya ho. Betion ko ruksat karna itna mushkil kyun hota he ?"

Unho ne kaha to bushra ne halki muskurahat ke saath sar jhuka kar apne ansu chupana chahe.

"Betiyan hoti hin itni pyari hain ke unke jaane se khud ba khud dil udaas ho jaata he aur ajeeb bebasi yeh he ke hum unhe jaane se rouk bhi nahi sakte"

Woh dono hi khamoshi se beth gaye to bahir bell hui jis per upar se Ibrahim utarta aya tha aur main dekhta hun keh kar bahir chala gaya.
Aur jab wapis aya to bari si muskurahat liye apne saath Seher aur Zaryan ko le kar aya tha.

"Assalamu alaikum abba amma!"

Woh bhaagti hui unke paas gayi aur unke gale lag gayi.

Tu woh chaand Where stories live. Discover now