"Mujhe ...pata hai normally yeh baaten larkiyan nahi karti magar mujhe lagta hai ke zaroori hai yeh.."Zaryan ne apna pura dihan uski taraf rakha jo apne haatho ki taraf dekhte hue bol rahi thi magar ab apna chehra utha ke use dekhne lagi.
"Mujhe...muhabbat ho gayi he aap se...!"
Woh uski ankho me dekhte hue boli to Zaryan hakka bakka sa use dekhta reh gaya tha. Kuch lamho ke liye uske liye kuch bhi kehna jese namumkin hi ho gaya tha.
"Jaanti hun hume mile bohat waqt nahi hua magar mujhe kisi ne kaha tha ke jab zindagi me kabhi bhi aisa shaks mile jo lage ke yehi hai to use jaane mat dun...aur mere dil ne mujhe kaha ke mujhe woh shaks mil gaya he...!"
Woh boli to uski ankho ke dar aur chamak dono saaf zahir thi jise dekh ke najane kyun magar khud ba khud zaryan ke chehre per muskurahat namudar hui aur usne sar ko halka sa jhukaya phir hese kuch soch kar ahista se bola.
"Thank you Waliyah."
Wohi naram lehja magar uske Shukriya per Waliyah kuch ulajh gayi magar uske kuch puchne se pehle hi usne apni jaari rakhi.
"Main muhabbat ki bohat kadar karta hun shayad kyun ke maine apni muhabbat ko kho diya he is liye main aap ka Shukriya adaa karna chahta hun ke aap ne mujhe is kabil samjha"
Uski is baat per Waliyah ko samjh na ayi ke woh kya kahe. Woh uska Shukriya kaise qabool karti jab usse muhabbat usne jaante poochte ki hi nahi thi?
"Magar...main aap ke ehsasaat ki kadar karta hun magar main..aap ki umeedon per pura nahi utar sakun ga.."
Usne usse nazre milaye bagair kaha to Waliyah ne use dekha.
"Meri umeeden kya hen Zaryan.?"
Uske sawaal per zaryan ne use nazre utha kar dekha. Uski nazro me use itna kuch dikha tha ke woh sach me kuch der ke liye dang reh gaya.
"Maine koi expectations kisi aas ke saath aap se muhabbat nahi ki main sirf waqt chahti hun jisme hum ek dusre ko jaan saken shayad aap ke dil me mere liye koi naram gosha peda ho jae..?"
Woh akhir me jese apni hi baat per has pari to Zaryan bagair apne chehre ke tassuraat badle use dekhta raha. Jese use us per dukh hua ho.
"Main apne pure dil se aap ko jaan na aur samjhna chahta agar mere dil me zara si bhi gunjayash hoti kisi naye rishte ke liye. Magar main aap ko kabhi bhi aise apne saath nahi baand sakta Waliyah jab mujhe pata hai ke main iske liye taiyar nahi hone wala..."
Usne kaha to Waliyah ne nazre churayin shayad apni ankho ke kone ko nam karte un bewakuf ansuon ko us shaks se chupana tha use.
"I'm really sorry. Magar kabhi kabar insan is kadar bebass hota hai apne jazbaat aur dil ke aage ke agar uska dimaag use kahe bhi ke apne darwaze per hoti dastakh se kaan band kar ke naa bhagoo magar yeh dil he na bas apni hi chalata hai. Seherunnisa shayad sirf meri biwi hoti to use bhoolna aur aage barna mushkil na hota mere liye magar woh mere andar ka woh hissa he jiske wajood ke mere saath hone na hone se farak nahi parta uski ruh mere andar samaayi hui he..."
Woh kehta gaya aur Waliyah use dekhti chali gayi. Kyun tha woh aisa..?
"Dil tor diya mera aap ne Zaryan Saeed...!"
Woh nam ankho ke saath muskura kar boli to Zaryan bhi dheere se muskura diya nagar uski muskurahat aaj humesha se ziyada tooti hui lagi thi Waliyah ko.
"Kisi se waada kiya hua he us jahan me milne ka agar woh tor deta to main main na rehta.."
"Aur meri dua he ke aap humesha aap hi rahen."
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...