Raat. Ek lambi raat me chamkta chand jis per baadal aa jate hain. Aur raat ke andhere me aap ko thori bohat nazar aane wali roshni bhi khatam ho jati hai.Usi raat ke dusre peher woh chalta hua khirki ke paas pari rocking chair per aa betha tha. Side table ka lamp jalata aur wahan se apna chashma utha ke lagane laga.
Maathe pe aate kaale aur kuch safaid baalon ko apne haath se piche karta woh shaks bohat hi bawaqar aur mazboot shaksiyat ka malik maloom hota tha.Side table per hi pari ek purani si diary ko usne kuch der dekha aur phir use utha liya tha.
Diary ko apne bayen haath me pakar ke dayen haath se uske front page per haath pherta najane kya mehsoos karne ki koshish kar raha tha woh..?Usne ahista se us Diary ko khola to uske pehle safe per do tehreeron me kuch likha hua tha.
Woh ahista se apni ungliyan un pe pherne laga.'Kaash tum mil jaate hume kash yeh pal ther jata kash khatam ho jati yeh dooriyan....kash...'
Woh unhe par kar hans para tha. Woh tooti phuti shayari...
Un kuch tehreeron ne na jane kya kya yaad dila diya tha.
Aur usne un yaadon ki thori aur gehrai me jaane ke liye us diary ka ek aur safa palta tha."Baba?"
Abhi use kisi ne pukara aur usne apna chehra utha kar darwaze ki taraf dekha.
"Aap abhi tak soyi nahi beta?"
Us shaks ne us larki se dheemi awaaz me pucha tha jo ke yaqeenan uski beti thi.
"Bas assignment kar rahi thi to pata nahi chala."
Woh halke ghunguraale baalo aur masoom chehre wali larki chalte hue unke kareeb ayi aur unke haath me pakri diary dekh ke jese chonki.
"To kaam ho gaya?"
Us shaks ne pucha to us larki ne uske sawaal ka jawab sawaal se diya tha.
"Baba aap phir yeh diary le kar bethe hain..?"
Us larki ne kaha to us shaks ne apne haath me pakri diary ko ek nazar dekha phir use daraaz me rakh diya.
"Isme akhir aisa he kya jo aap ise itna sambhal kar rakhte hain?"
Usne pucha to us shaks ne apna sar jhukaya aur jese kisi gehri soch me chala gaya.
"Kuch adhure khuwab aur kuch purani yaadein"
Usne pur sakoon chehre ke saath kaha to woh kuch aur bechain hui.
"Main par sakti hun?"
Woh jawaab jaanti ghi phir bhi usse pucha to us shaks ne chehra utha kar use dekha. Chehre per muskurahat nahi thi lekin sakhti bhi nahi thi.
"Zaina bohat late ho gayi he bachey...jaa kar so jaen aap."
Us shaks ne kaha to Zaina ahista se uske kareeb gayi aur uske Baba ne uska maatha chuma.
"Shab bakhair."
Woh us daraaz ko gour se ek nazar dekh ke nikal gayi thi. Us daraaz me pari diary ko parna uski bachpan se chalti aane wali ek hasrat thi jo pura ho ke nahi deti thi.....
________
Assalamu alaikum!
I said that I am not going to start writing this one soon but I don't know maybe I will maybe I won't...khair I just want to share the concept of the story!
One thing is clear that I am going to cry a lot while writing this.
Well I hope you all will enjoy this journey.Don't forget to vote andd Feedback pleaseeee 🥺
Lots of love!❤️
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...