"Mana kyun nahi kiya?"
Woh kamre me aate hi boli to Zaryan ne use dekh ke kandhe uchkae.
"Tumhare samne tha mana kar sakta tha main?"
Seher ne chehre per aate baalo ko kaan ke peeche arsa aur boli.
"Main nahi jaun gi kahin mana kar den"
Woh bol kar bed per beth gayi to Zaryan use dressing table ke paas khare khare dekhta raha phir ahista se bola.
"Okay..! Agar nahi jaana tumhe to jaa kar khudi mana kar dena Nadia bhabi aur Shahzaib dono ko aur haan saath apni pyaari saas ko bhi iski explanation de aana! Acha hai main bhi kaam kar lun ga..!"
Woh keh raha tha to Seherunnisa ne chehra mor kar use dekha woh joker ki tarah muskura kar bathroom me ghus gaya.
"Joker joker joker!!!"
Woh gusse se cheekhi aur idhar udhar tehel ne lagi.
Woh apni hi uljhan me thi aur ab yeh naya masla aa kharaa hua tha.
Zaryan ka usse shaadi ka maksad kya tha akhir agar woh kisi aur se mohabbat karta tha to. Usse shaadi kyun nahi ki usne? Inhi sochon me thi jab Zaryan bathroom se aa kar araam se light off kar ke sone ke liye lait gaya to Seherunnisa ne gusse se light on ki."Aap so kese sakte hain!!"
Uske mu se kambal ko utha kar hataa kar woh boli.
"To aur kya karun?"
Usne susti se kaha.
"Jo maine kaha he woh karen"
"Arrey keh to raha hun jao aur kar lo khud agar sab maan gaye to mujhe koi issue nahi he"
Usne kaha aur kambal wapis apne mu per rakh ke lait gaya.
Seherunnisa ka sach me dil kiya ke utha kar use kuch maare lekin kya hi karti woh ziyada se ziyada yehi kiya ke bed per laitne ke baad usne pura kambal usse khench ke apne upar kar liya."Hello madam? Aap ke akele ka bed nahi he yeh?"
Woh uski taraf chehra mor kar thora uth kar bola lekin Seherunnisa bhi Seherunnisa thi woh aise hi ankhe band kar ke laiti rahi jese puri zindagi sooti hi ayi ho.
"Seher enough..! Bas tumhe nahi jaana to mujhpe gussa mat nikalo aur yeh kambal..!"
Woh aage ho kar usse kambal khinchne laga to bed sheet me uska paun atka aur woh khud uske upar gir para.
Seher ne ankh phaar kar use dekha aur Zaryan khud use hi dekhta gaya. Kuch waqt guzra to Seherunnisa ne thook nigla aur uske seene per haath rakh ke use peeche karte hue kaha."..d..door haten.."
Zaryan sharminda sa foran peeche hue aur halka sa khansta hua dusri taraf mu kar ke foran lait gaya jese usse apna chehra chupa raha ho. Kuch waqt guzra to uske upar kambal khudi wapis aa gaya tha. Dono hi apne tez tez dharakte dilon ko kaabu karte hue aoni apni jagah ek dusre ki taraf pusht kiye laite rahe the.
Raat ahista ahista dhalti chali gayi thi....________
Din guzarte gaye the aur Seherunnisa ki sab ko naa jaane per manaane wali koshish bhi kamiyaab na ho payi thi aur uski is nakaami ka mazaaq Uske joker se ziyada koi uraa nahi sakta tha.
Akhir ko ab woh ab koshish bhi chor chuki thi aur usne ab Turkey jaane ka apna barson ka khuwaab pure hone ko enjoy karne ka faisla kiya tha. Kya ho gaya agar yeh khuwab pura karne ke liye use us joker ko bardash karna pare ga? Woh kar le gi!!"Waise Maria ek baat puchun?"
Packing karte hue woh boli to bed ke dusre taraf bethi Maria ne use dekh ke abtu uchkae.
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...