Chapter 17

438 47 55
                                    


Seherunnisa idhar udhar dekhti hui bahir ayi phir Zaryan ko dekh ke uski taraf sar jhatka ti hui gayi jo chehre per gehri muskurahat liye use hi dekh raha tha.

"Ho gaya shouk pura?"

"Arrey gussa kyun ho rahi ho?"

Woh bola to Seherunnisa ne kamar per haath rakha aur use ghoorti hui boli.

"Haan aur main shabbashi dun na aap ko? Bahir aate hue Iram ko galti se bata diya aur woh phate dhol ki tarah shor dalne lag gayi..!"

Zaryan gardan peeche kar ke qehqa lagane laga.

"Hasen mat aur nikle yahan se abhi amma ko nahi pata unhe pata chal gaya to mujhe bohat joote paren ge"

Woh boli to Zaryan ne uska haath apni giraft me liya aur parking ki taraf chal para. Gari me bethne ke baad Seher Ka ek hi sawaal tha ke woh jaa kahan rahe hain aur Zaryan ka ek hi jawaab ke sabar rakho. Zaryan ne jab gari parking me laga li to bola.

"Chalo!"

"Hello? Kahan? Dekh rahe hain maine shadi wale kapre pehne hue hen woh bhi yeh Sari!"

"To phir? Tumhe kya lagta he mere hote hue tumpe koi buri nazar daalne ki jurrat kar sakta he?"

Woh bola Seherunnisa use dekhti rahi magar phir ek gehra saans liya aur utar gayi to peeche se Zaryan ne uske kandho ke kareeb kuch hayal kiya tha. Usne dekha to woh usi ki shawl thi jo usne jaate hue gaari me rakhi thi.

"Problem solve?"

Zaryan bola Seherunnisa muskura di.
Woh dono jab badshahi masjid ke kareeb bane gaye ek restaurant me aye to Seherunnisa  wahan ke haseen manzar ko dekh ke dang reh gayi thi.

"Mujhe samjh nahi aa raha ke aap pata kahan se karwate hain?"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Mujhe samjh nahi aa raha ke aap pata kahan se karwate hain?"

"Kis baare me?"

"Mere har favorite restaurant ka?"

Zaryan ne gardan dusri taraf mori aur muskuraya Seherunnisa use dekh ke reh gayi.

"Coincidence..!"

Usne kaha to Seherunnisa ne use ghoora phir has kar sar ko jhatka.
Un dono ne khana order kiya aur phir dono hi khamoshi se bethe rahe aur Zaryan ne us khamoshi ko torne ka faisla kiya.

"Kyaa soch rahi ho?"

"Kuch..puchna chahti hun.."

Seherunnisa ne kuch darte hue pucha Zaryan ne use herani se dekha aur bola.

"Pucho?"

Tu woh chaand Where stories live. Discover now