"Yeh aap mujhe tang karna kab band karen ge?"
Woh gari ka darwaza band kar ke bethti hui boli to Zaryan ne use muskura ke dekhte hue kaha.
"Walaikum assalaam aur agar apni biwi ke saath akele waqt guzarna hai to yaqeen karo jab humare dher sare bache ho jaen ge na tab bhi nahi chorun ga tumhe tang karna"
Usne kaha to Seherunnisa ne sar ko halka sa jhuka liya aur jese apni muskurahat ko roukna chaha.
Zaryan ne gaari ko dhoraa diya tha aur Seherunnisa ke haath ko bhi apne ek haath me taam kar use apne honto se lagaya tha.Gaari ek bohat bare aur khubsoorat ghar ke ssamne ruki to Seherunnisa ne Zaryan ko herani se dekha aur boli.
"Agar kisi ke ghar hi laana tha to bata dete Zaryan! Main kam az kam taiyar to ho jati!"
Usne kaha to Zaryan halka sa hasa.
"Tum ab bhi bohat khubsoorat lag rahi ho"
Usne kaha aur horn mara jis per andar se darwaza khula aur wahan ke guard ne zaryan ki taraf haath khara kar ke salaam kiya jiska jawaab Zaryan ne halki muskurahat ke saath diya.
Gaari park kar ke woh neeche utra aur Seherunnisa bhi aas paas dekhti hui utar gayi."MashAllah bohat pyara ghar he aap ke dost ka he?"
Seherunnisa ne porch ke dusri taraf se shuru hote garden ko dekh ke kaha. Magar Zaryan ne phir jawaab na diya aur uska haath thaame use andar ki taraf khenchta chala gaya. Entrance se andar dakhil hote hue Seherunnisa ki ankhe aur khul gayin woh ghar sach me bohat khubsoorat tha magar khaas samaan nahi para hua tha wahan.
"Zaryan yeh ghar..."
"Humara ghar.."
Zaryan use dekhta hua ab bhi darwaze ke paas khara tha jab ke Seherunnisa yak dam uski taraf muri aur herani se use dekhte chali gayi.
"Humara..? Matlab ...seriously?!"
Woh ek dam excited ho
Kar cheekhi to Zaryan muskura para aur sar ko kham kiya.
Aur phir agle hi pal me Seherunnisa uski bahon me thi jise usne apni bahon me thaama to tha hi saath hi use hawa me utha liya. Seherunnisa jab apni excitement se wapis thori hosh me ayi to usne apna chehra eeche kiya aur use dekh ke boli."Zaryan yeh...kafi bara nahi? Mera matlab..hum yeh afford kar sakte hain?"
Usne kuch fikarmandi se pucha to Zaryan ne use neech phir zameen per to rakha magar uski kamar ke ird gird apne baazu usi tarah hayal rakhe.
"Humara ab wala ghar bhi hum chaaro ke liye kaafi hai aur waise bhi aap ka kaam abhi behtar hona shuru hua he aur-"
"Shhh! Uff kitna bolti ho tum Nisa yeh ghar maine is liye liya he kyun ke main afford kar sakta hun aur mere kaam me behtari aa rahi hai to main apni family pe nahi kharch karun ga to kis par karun ga?"
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...