"Oye kahan jaa rahi ho?"
Seherunnisa apna hand bag utha kar bahir ki taraf bhaag rahi thi jab Ibrahim ne sofey per laite laite use bulaya.
"Pehli baat to tameez se bari hun tumse dusri baat tumhe kyu bataun?"
Woh kamar per haath rakh kar boli to Ibrahim ne ankhe ghuma kar awazaar shakal banyi.
"Aapi e mohtaram agar aap bura na manaen to aap se puch sakta hun ke apna do kanaal ka mu utha kar aap kidhar tashreef ka tokra le kar jaa rahi hen?"
Usne kaha to Seherunnisa ne apne samne pare single sofey se takiya utha kar uske mu par de mara tha.
"Kal raat ko jab aap gaddeh ghore baich kar so gaye the to abba ne mujhe islamabad jaane ki ijazat di thi aur ab main shopping ke liye jaa rahi hun"
Woh keh kar foran chabiyan utha ti bahir nikal gayi thi aur gari me beth kar nikal gayi thi. Aur Ibrahim dusri taraf Bushra bibi ki taraf lapka tha yaqeenan unke kaan bharne.
Teen din baad ki hi Seherunnisa ki ticket ho gayi thi aur teen din me bhaag dhor kar usne apni cheese pack kin thi. Bushra bibi aur Ibrahim dono hi kuch pareshan the lekin Afnan sahab pursakoon the.
Airport per khare ho kar bhi Bushra ne use sirf gale nahi lagaya tha use gale laga kar musalsal hidayaat de rahin thi yeh nahi karna woh nahi karna tameez se rehna hai wagaira. Woh Maria ke khandaan ko bohat pehle se jaanti thin aur uski ammi se bhi baat cheet thi lekin phir bhi beti ko yun bhejna thora bohat dil ka ghabrana to banta tha."Dihan rakhna aur kuch bhi ho to mujhe call kar dena."
Ibrahim ne uske gale lag kar kaha to usne zor se uska kandha thapka.
"Oye paanch saal bari hun tumse itna bhi bacha to mat samjho!"
Usne kaha to usne mu charaya.
"Harkate to mujhse bhi bachkana hain!"
Usne phir se uske baazu me ek thappar maara aur amma abba ko pareshan na hone ka keh kar chali gayi thi.
"Tum dono itna pareshan mat ho..! Bachi nahi he woh"
Afnan sahab ne apne chote bete aur biwi ko dekh kar hans kar kaha to undono ne halka sa sar jhatka aur gari ki taraf bar gaye.
Seherunnisa ne sab araam se kiya aur jahaaz me aa bethi thi. Usne pehle bhi amma abba ke saath ek dafa islamabad ka safar kiya hua tha uske pareshan hone ka sawaal hi peda nahi hota tha! Aisa use lagta tha lekin ab jab woh jahaz me bethi thi to uska dil is buri tarah se dharak raha tha ke woh khud pareshan thi.
Woh nakhuno ko daant me dabaye hue bethi thi tab hi use awaaz ayi thi."Excuse me?"
Usne chehra mor kar dekha to wahan ek larka khara tha chehre per halki muskurahat liye woh achi shakal aur shaksiyat ka malik nazar aata tha.
"Jee?"
Usne apne maathe par bal laa kar tassuraat ko sakht kar ke kaha tha.
"Aap ke saath wali seat meri hai"
Usne jese ittalaa di to Seherunnisa ne bhawen uchkai.
"To?"
Usne kaha to us larke ke chehre ki muskurahat kuch simti.
"To yeh ke aap apna bag hataa den"
Usne seat per pare uske hand bag ki taraf ishara kar ke kaha tha aur Seherunnisa ne oh keh kar apna bag wahan se hataya. Woh thora sharminda hui thi.
Woh larka araam se wahan beth gaya. Seherunnisa ne apna bag khola aur usme se apni diary aur pen nikal ne lagi.
Flight take off ke liye taiyar thi aur Seherunnisa ne usi tarah apni diary kholi rakhi aur haath me pen pakre rakha.
Woh likhna chahti thi lekin jahaz ab hil raha tha aur uske haath sahi se hil nahi paa raha tha. Uske saath bethe larke ne ankh ke kone se uske haath ko dekha tha jo halke se kamp rahe the. Seherunnisa ne diary ko band kar diya aur pen aur diary ko apne dono haatho me thaame ghutno per rakh diya aur ankhe band kar lin. Woh larka sakoon se betha tha lekin jab us larki ne diary band kar ke rakhi to usne halka sa sar ko mor kar use dekha.
Woh sar ko peeche lagae ankhe band kiye hue thi woh dilchasbi se use dekhta raha aur phir apna mu aage mor liya jab jahaz sambhal gaya to Seherunnisa ne ankhe kholin aur phir khirki se bahir dekha.
Usne phir se apni diary utha kar use khol kar beth gayi thi.
YOU ARE READING
Tu woh chaand
RomanceZaryan Saeed & Seherunnisa Afnan Kuch rishte aap ki zindagi me ek thande hawa ke jhonke ki tarah aate hain aur kabhi do pal ka sakoon de kar chale jate hain to kabhi zindagi bhar ka gam de kar ke... __________ "Baba is diary me kya he?" Usne pucha t...