Game is On by Sidharth

334 35 2
                                    

Police station mein Sidharth ko aate dekh ek police officer "Abhinav" khada ho jata hai..
Abhinav: welcome Sidharth. milne ka itna mann tha call karke kahin aur milte.. police station aane ki kya zaroorat thi..
Aur vo usse gale lga leta hai..
Sidharth: kaise ho?
Abhinav: am fine tu bta.. aaj itne time baad kaise yaad kiya??
Sidharth: teri help chahiye...
Abhinav: han bol na..
Mumbai police hazir hai..
Sidharth: bahar chal ke baat karte hain..
Aur Sidharth usse apne baare mein.. Mufasa ke bare mein sab bta deta hai..
Yeh sab sun kar Abhinav ko boht jhatka lgta hai..
Abhinav: I know tu school mein thoda bhaigiri karta tha.. par tu toh sach mein hi iss kaam mein pad gya??
Sidharth: mujhe jo bhi saza milegi.. I'll accept..
Par pehle uss Mufasa ko barbaad karna hai.. kisi bhi keemat par...
Abhinav kaafi sochne ke baad.. tu mujhe kal milna..
Aur vo thodi aur baatein karke chala jata hai..
Sidharth, jasmin ke paas aa jata hai..😃

Uski beti ka naam meera tha...
Vo bhi 3 mahine ki ho chuki thi...
Aur boht pyari thi..
Aly: Kahan rehte ho.. sale saab??
Sidharth: bas kaam mein..
Jasmin uske liye khana bnati hai..
Jasmin: vaise Sidharth you are so careless raat ke 2 bjje??
Sidharth: han tum kaun sa so rahi thi??
Jasmin: phir bhi.
Aly: she's right..
Sidharth unse maafi maangta hai..
Jasmin: teri Shehnaaz se baat huyi??
Sidharth: nhi.. I told you na.. we are done..
Then why are you asking the same question??
Jasmin: Sidharth tum dono perfect the..
Sidharth: well perfect koi bhi nhi hota..
Aly: leave it jas.. yeh uski life hai.. jo bhi karta hai.. karne do na.. yhi toh umar hai.. phir shaadi ho jayegi bechare ki.. aur girlfriends nhi bnegi koi bhi..
Aur Jasmin chup ho jati hai..
Vo khana khata hai aur so jata hai..
Aaj boht dino baad Sidharth ko itni achi neend aayi thi ke vo 10 bjje uthta hai..
Ready hokar, breakfast ke baad vo ghar se chala jata hai.. seedha police station jata hai. Jahan Abhinav pehle se hi usks wait kar raha tha..
Abhinav: welcome Sidharth.. tumahara hi intezaar kar raha tha..
Aur vo wahan jaakar baith jate hain..
Abhinav: maine aaj subah hi Goa police se baat ki.. aur pta chala ke wahan murder vgera hona normal baat hai.. par criminals ka kuch pta nhi chalta.. jo bhi in logon ke adde hain.. raid padne par kuch bhi haath nhi aata. Kyon aadha police department ismein lga huya hai.. aur maine unko bataya.. ke I can help you!! Aur guess what??
Sidharth questionable face bnata hai..
Vo maan gye..
Bas ab karna yeh hai ke tum Goa jaoge.. mere ek friend jo Goa police mein hai.. Nishant se miloge.. aur vo hamari help karega.. tum uske sath milkar sab ko jail mein dalwa dena...
Yeh legal hoga..
Sidharth: aur mere bare mein??
Abhinav: tere bare mein abhi kuch nhi bataya.. let's see kya hoga.. par isse tera kaam ban jayega.. aur criminals ka bhi satyanaash ho jayega..

 aur criminals ka bhi satyanaash ho jayega

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Sidharth: tu bhi chal..
Abhinav: yr.. yahan boht kaam hai.. but don't worry main roz tumse aur Nishant se baat karta rahoonga..
Sidharth: well ok...
Kab jaaoon??
Abhinav: kal...
Main Nishant ko bol ke sab setting karwa doonga..
Sidharth: yeh sahi hoga??🧐🧐

Abhinav: 100%
Ismein koi investigation nhi hogi.. kyon ke police karegi.. aur tum shyed bach jao.. agar koi tumahara naam na le..
Yeh sab se safest way hai.. baki tum dekh lo..
Apne tareeke se maaroge... dead bodies milengi... investigation hogi... aur tum fass jaoge... extra extra...
Sidharth: ohkk I get it..
I will do this..
Aur vo wahan se chala jata hai.. Mufasa baar-baar Sidharth ko call kar raha tha aur Sidharth uski calls reject..

Mufasa bhi ab dara huya tha kyon ke Sidharth kabhi jhooth nhi bolta ab toh vo itne gusse mein tha..
Shehnaaz ka result abhi aane mein boht der lagegi toh vo Jalandhar jane ki soch leti hai. Thoda mind bhi divert ho jayega.. Mahira usse boht rokti hai.. par vo nhi maanti..
Mahira: well ok.. par aa jana.. meri wedding mein dedh mahina hi baaki hai.. tumhe ki karna hai sab!!!
Shehnaaz haan mein jawaab deti hai aur wahan se chali jati hai..🙂

Raste mein usse veham hota hai ke usne Sidharth ko dekha.. khair yeh kyi baar ho chuka tha ab Shehnaaz react nhi karti thi..
But she doesn't know.. ke vo sach mein hi Sidharth tha
.. veham nhi..
Shehnaaz Jalandhar chali jati hai..
SIDHARTH Goa....
Vo wahan jaakar Inspector Nishant obroi se milta hai..
Nishant: welcome..
Abhinav ne bola ke aap crime report department se ho..
And you are a secret agent!!!
Welcome sir..
Sidharth ko boht hasi aati hai ke Abhinav ne usse iss baare mein bataya hi nhi..
Sidharth: it's alright tum mujhe Sidharth keh kar bulao...
Nishant: well yeh aapka asli naam nhi hai na.. mtlb aap toh secretly kaam karte ho.. toh naam vgera change karte rehte hoge
Sidharth ek fake smile karta hai..
Nishant: am happy sir ke aap hamari help kar rahe hain..
Sidharth: please call me Sidharth..
Just Sidharth...
Itni izzat dene ki koi zaroorat nhi..
Nishant: ohkk am sorry..
Well Abhinav ne bataya ke aap ne...
Mera mtlb tum ne.. kafi time un sabhi logon ke sath secretively kaam kiya hai tan ke aapko sabhi addon ke bare mein pta chal sake...
You are brilliant ..
Sidharth is par koi jawaab nhi deta..😑

Vo Nishant ke sath milkar 7 jno ki ek team tyar karta hai..
Aur unko orders deta hai jahan bhi koi milega bas usse shoot karna hai..
Vo ek strategy banate hain aur usi ke through kaam karte hain..
Aur next day se vo start kar dete hain..
Sidharth har waqt Mask pehan ke rakhta hai tan ke koi usse pehchaan na le..
Yeh ek alg hi experience tha.. police ke sath kaam karna.. aur usse yakeen nhi ho raha tha ke vo police ko bevkoof bna raha tha..
Vo Goa ke kafi areas mein raid daalte gain.. jahan par drugs vgera ke case the.. jo sidharth ko nhi jaante the unko jail mein daalte the.. aur jo jaante the unko wahin shoot kar diya jata tha..(it's quite funny)
Aur Goa mein hi 15 din lag gye the.. panji ka toh abhi numbar aane wala tha.. Sidharth ko ab mazza aa raha tha.. doosri or Mufasa ka kaam kam ho raha tha kyon ke police ka darr sab ko tha.. itne dino baad finally Panji ki baari aa hi gyi thi...
Kyi dealers bhaag gye the, kyi raids unsuccessfull rahi..
Par Sidharth ko toh bas ek bande ki nasal barbaad karni thi.. vo Mufasa tha..
Vo bhi chupa huta tha.. Sidharth ko ussi ki talaash thi..
Aur vo 10 dino se laapta tha.. uske adde par kuch bhi nhi milta.. sab clear kar diya tha usne..
Jis wajah se Sidharth ko aur gussa aa raha tha..

Love Chaos (SIDNAAZ)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें