Stalking

1K 70 4
                                        

Sidharth ko uski shakal dekh kar kal jaisi.. pyari feeling aati hai par sath hi usse vo thappad bhi yaad aa jata hai aur uske chehre par gussa saaf dikhayi de rha tha.. vo tabhi wahan se uth kar road cross karta hai.. vo apni hoodie se apna poora chehra

dhakk kar pehle metro station ke andar chala jata hai kyon ke ladkon ke side koi khaas line nhi thi

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

dhakk kar pehle metro station ke andar chala jata hai kyon ke ladkon ke side koi khaas line nhi thi.. aur vo andar jaakar side par khada ho jata hai.. Shehnaaz bhi 5 mintue takk andar aa jati hai.. aur jaise hi vo aage badhti hai.. sidharth ko fir se ache kheyaal aane shuru ho hate hain, vo khud ko concentrate karne ki koshish karta hai par ho nhi pata..

jis trah se vo aaj white top ke sath black pant pehne huye thi aur sath mein pyara sa black color ka Jacket bhi usne pehan rakha tha

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

jis trah se vo aaj white top ke sath black pant pehne huye thi aur sath mein pyara sa black color ka Jacket bhi usne pehan rakha tha.. pairon mein black color ke shoe pehne huye the.. dekh kar lag rha tha ke jaise black color Shehnaaz ka favorite ho.. usne kano mein white color ke chote se jhumke dale huye the... Sidharth ko Shehnaaz aaj bhi boht jada sundar lagti hai.. Shehnaaz jaise apne platform ki oar jaa rhi thi.. Sidharth bhi uske peeche-peeche chal rha tha.. aur fir se uske chehre par innocent si smile aa gyi thi.. Shehnaaz apni metro mein chali jati hai vo women vali side mein hoti hai.. Sidharth bhi vaise hi uske andar chadh jata hai.. par vo ek ladki se takra jata hai.. aur usse hosh aata hai ke vo bhi women vali side hi aa gya hai.. aur vo doosre mein chala jata hai.. Shehnaaz pehle vale dabbe mein thi aur Sidharth doosre mein.. Shehnaaz ab usse kafi door thi.. jis wajah se Sidharth ko dekhne mein dikkat aa rhi thi.. vo kafi samay toh try karta hai ke fir usse peeche se ek ladka usse dekh kar bolta hai.."agr koi tumahara uss dabbe mein hai toh phone karke bula lo, aise kyu dekh rhe ho! Sab log tumhe galat samjhenge...
Sidharth ko yeh sunte hi gussa aa jata hai aur vo uska collar pakad leta hai..
Sidharth: tum hote kaun ho mujhe salaah dene wale??
Vo ladka bhi gusse mein uski hoodie pakad leta hai.."hath hatao apna! Yeh kya badatmeezi hai..
Isse pehle sidharth usse kuch bolta wahan par uska dheyaan Shehnaaz par chala jata hai usse ab ek seat mil gyi thi aur vo ab usse ache se dikh rhi thi..
Toh Sidharth usse dekhne ke chakkar mein uss ladke ko chod deta hai.. aur khud ko cover karke usse dekhne lag jata hai..

vo ladka usse 'ajeeb' kehkar wahan se kisi aur dabbe mein chala jata hai

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

vo ladka usse 'ajeeb' kehkar wahan se kisi aur dabbe mein chala jata hai..
Shehnaaz aaj apne phone mein busy thi.. toh uska dheyaan idhar-udhar nhi jata ke vo Sidharth ko notice kar sake aur aise hi Shehnaaz ka station aa jata hai.. 'Dwarka' aur vo uttar jati hai.. Sidharth bhi uske peeche chalne lagta hai.. aur chalte-chalte Shehnaaz ka ghar aa jata hai.. aur hamesha ki trah uski Maa hi darwaza kholti hai.. aur Shehnaaz ke andar jate hi darwaza band ho jata hai..
Sidharth uske ghar ke bahar khade hokar uska ghar dekhne lag jata hai.. thoda time aise hi dekh kar vo vapis chala jata hai..

Love Chaos (SIDNAAZ)कहानियाँ जो दीवाना बना दें। अभी खोजें