Aur sab fir se normal ho jata hai.. vo sabhi busy ho jate hain.. Doosri or aaj Sidharth boht zyada gusse mein tha.. itna ke vo gusse mein diwaar ko punch kar raha tha... Tabhi wahan bhaaga-bhaaga Aman aa jata hai.. aur vo Sidharth ko pait se pakad par peeche kheechta hai.. Aman: bhai ho kya gya hai tujhe? Yeh kaise lachan hain... aaj agar vo thappad vali ladki nhi dikhi toh aisa kya bawaal ho gya? Itna kyu kar raha hai.. Sidharth ko ab Aman par gussa aane lag jata hai aur vo Aman ko hi gale se pakad kar diwaar ke sath khada kar deta hai..
ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Sidharth: bakwaas band karo!! 3 din se tujhe sun raha hoon... aur kya tumne vo ladki ki ratt lga rakhi hai.. maine el baar bhi uska zikar kiya kya? Toh 3 din se kyu peeche pada hai.. Kya chahta hai? Aman, Sidharth ko peeche ki or dhakka dekar apna gala pakad leta hai usse dard ho raha tha kyon ke Sidharth ne boht zor se pakda tha. Aman dheere-dheere bolne ki koshish karta hai.. Aman: ask yeh din bhi aa gya!! Tune apne Bhai par yani mujh par hath utha diya na!! Sirf uss ladki ki wajah se.. aaj vo ladki hamari dosti ke beech aa gyi.. tujhe Maine apna dost nhi 'bhai mana hai bhai!' Aur tu uss ladki ke peeche mujh par gussa nikaal raha hai.. Yeh sahi ni kar raha tu!! Sidharth ko yeh sun kar thoda bura lagta hai ke usne Aman ko dukh diya.. Sidharth: sorry yaar Aman ! Mera vo mtlb nhi tha.. Bas uss ladki ne thappad mara na.. toh badla kaise loon yeh soch raha hoon.. Aman yeh sun kar thoda khush ho jata hai.. "badla ke kya hai.. kal usse utha lete hain! Aur 5 thappad lagayenge kaan ke neeche.. tere pairon mein gir ke usne Maafi na maangi toh keh dena.. Sidharth ko yeh sun boht bura lagta hai vo uss ladki ke sath yeh nhi karna chahta.. Sidharth: nhi yaar' aise toh har koi mafi maang leta hai.. uske sath kuch allg karna hai ke uski rooh tak ko dukh ho.. Aman.. Sidharth ki or dekh kar kehta hai "koi ni.. fir main sochta hoon kuch" Sidharth, han mein sir hila deta hai.. aur vo bathroom mein jaakar shower on karke uske neeche khada ho jata hai aur uske aankhein band karte hi usko Shehnaaz nazar aane lag jati hai.. aur vo tabhi aankhein khol leta hai.. Sidharth boht preshaan tha: aakhir go kya hai tujhe sidharth. tu samajh kyu nahi raha ke uss ladki se door rehna hi tere liye behtar hai, tu kar kya raha hai? Jab se uss ladki ko dekha hai bas wahi kyu dimaag se nikal nhi rahi thi, baar-baar yaad kyu aa rahi hai? usse dekhne ka, choone ka, baat karne ka mann kyu karta rehta hai? Pehle bhi toh main.. itni ladkiyon se mil chuka hoon!! Dekh chuka hoon!! Fir wahi ladki kyu? Aman shyed sahi keh raha hai.. main pagal ho gya hoon.. Aur vo bathroom se aise hi bahar nikal jata hai. Aur aman bed par baitha Sidharth ke bare mein Sochne lag jata hai ke kis trah vo aisa ho gya..