Misunderstanding

429 48 3
                                        

Sidharth ko ab thodi tension ho jati hai.. vo messages check karta hai.. usmein yhi likha tha..
Call uthao? Kahan ho? Hlo? Are you there Sidharth? Why are you avoiding me? Extra extra.. Sidharth bhi apne message chod deta hai..
Aur Shehnaaz unko notifications se seen kar leti hai.. aur phir bhi koi reply nhi deti.
Ab Sidharth aur baki sab fresh ho gye the toh vo ghoomne ke liye nikal padte hain..
Sab barf mein khelte hain, gane gaate hain..
Khana khate hain..
Sidharth involve hone ki koshish kar raha tha par Shehnaaz usse baar-baar distract kar rahi thi.. uska call na karna.. reply na karna..
Yeh sab usse effect kar raha tha..
Shina: maybe she doesn't care about you..
Sidharth: aisa nhi hai.. vo pakka gusse mein hai..
Shina: gussa kis baat ka.. tumahari life hai Sidharth..😃

Tum jaise chaho reh sakte ho..
Vo tumhe control nhi kar sakti..
Agar vo kahegi tabhi tum ghoomne jaoge kya?
Aur har baat ki report deni usse zaroori hai kya..
Mana ke you guys love each other but this is not love..
Jahan darr hota hai na wahan pyar nhi hota..
Usse itna react nhi karna chahiye.. tumahari bhi life hai.. har waqt thodi uske peeche rahoge!!!
Sidharth: stop it Shina..
This is not the matter..
Tum baat kyu bna rahi ho..
Shina: main baat nhi bna rahi.. am just defending you.. there's nothing like that.. you have to understand. This is a fact..
Think about it..
Aur vo chali jati hai..
Par uski baaton mein nhi aata.. vo phir bhi try karta rehta hai..
Aur Shehnaaz uska koi jawaab nhi deti..
Vo uske voice notes bhi nhi sunti..
Aur issi ego mein ek aur din nikal jata hai..
Aaj Shehnaaz ka exam tha.. vo exam dene chali jati hai.. Sidharth aaj bhi tryvkarta hai but nothing happens..
Shina usse phir samjhati hai..
Doosri or Vaani interview dene jati hai..
Asim usse kafi sawaal poochta hai.. and she was amazing..
Asim ko bhi umeed nhi thi ke yeh itni intelligent hogi!!! Kyon ke usne jitna dekha tha vo bas masti mein hi rehti thi..
Aur aaj itni sincerity se baat kar rahi thi..
Asim uss par koi decision nhi leta vo apne baki parteners par chod deta hai..
Kyon ke vo khud usse chose karke wised nhi bnna chahta tha..
And uske parteners Vaani ko select kar lete hain.. because she's really good at this.
Vo boht khush thi..
Dopehar tak Shehnaaz exam dekar aa jati hai..
Mahi: kaisa raha? 
Shehnaaz: AMAZING
Vaani: meri toh job lag gyi..
Aur vo khushi se nach rahi thi..
Mahi: mtlb main hi reh gyi..
Vaani; han padh le..
Shehnaaz ko vaani ke liye khushi thi.. aur issi khushi mein Vaani un sab ko party deti hai..
Vo Asim ko bhi invite karti hai par vo boht busy hone ke kaaran nhi aa pata..
Sidharth phir se Shehnaaz ko call karta hai.. and iss baar vo utha leti hai..
Siddharth: hlo.. Shehnaaz...🤔

Shehnaaz koi jawaab nhi deti...
Sidharth: i know you are angry with me..
But yaar tum baat ko samjho..
Shehnaaz: hm samjh gyi main...
Sidharth: khushi se bol rahi ho ya gusse se??
Shehnaaz: tum mtlb ki baat batao Sidharth.
Am busy mujhe padhna hai, next exam ki tyari karni hai..
Sidharth: ohh..
First wala kab huya??
Shehnaaz: aaj..
Sidharth: kaisa raha phir??
Shehnaaz: boht acha..
Tabhi peeche se Shina ki awaz aati hai...
"Sidharth.. mera towel laa doge please.. sorry yaar main bhool gyi.. please Sidharth"
Sidharth ko ab Shina par gussa aata hai..
Aur vo towel de aata hai..
Shehnaaz kuch nhi bolti..
Sidharth: so tum pakka gussa nhi ho??
Shehnaaz: main kyu gussa karoongi Sidharth..
It's your life just do whatever you want..
Aur Shehnaaz ko bhi Vaani bula rahi thi..
"Come shehnaaz tum bhi ek peg laga lo"
Sidharth: are you drinking??
Shehnaaz: han..
Sidharth: well ok..
Shehnaaz: ok..
Aur vo phone kaat deti hai..
Sidharth hairaan tha.. usse samjh hi nhi aaya ke shehnaaz kya keh rahi thi aur kyu keh rahi thi..
Tabhi Shina Bathroom se bahar aa jati hai...
Kaisi lag rahi hoon main?
Sidharth usse bina dekhe...
Good..
Aur phir se ek din nikal jata hai..
Next day Sidharth phir se Shehnaaz se baat karne ka try karta hai.. aur shehnaaz uska phone nhi uthati..
Sidharth ko ab gussa aa raha tha..
Shina: what happened.. aise kyu baithe ho..
Sidharth usse koi jawaab nhi deta..
Shina baat ko samjhte huye..
"I get it.. Shehnaaz tumhe ignore kar rahi hai na.. aur yeh sab meri wajah se huya hai na.. na main tumhe vo task karne ko kehti aur Na hi Shehnaaz tumse aisa behave karti..
Am sorry Sidharth....
Main abhi shehnaaz se baat karke sab clear kar deti hoon..
Sidharth:  rehne do...

Love Chaos (SIDNAAZ)कहानियाँ जो दीवाना बना दें। अभी खोजें