time for myself (Shehnaaz)

862 53 3
                                    

Shehnaaz ka mood aaj theek tha aur vo khana bhi kha leti hai.. fir apni Maa ke sath bachon ko tuition dena shuru kar deti hai..
Shehnaaz aaj khush thi.. aaj kafi dino ke baad usse sab normal lag rha tha.. nhi  pichle kyi dino se problems ne Shehnaaz ko hi pakad rakha tha.. aur vo sari problems uske college ke doston se related thi.. aaj sab theek ho gya tha..

 Doosri or Mahira bhi boht khush thi

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।


Doosri or Mahira bhi boht khush thi.. vo aur uska baki ka group aaj movie dekhne ke liye gye the vo sab Shehnaaz ko boht miss kar rhe the.. specially Asim.
Kyon ke Shehnaaz ki uske sath achi bonding thi, Baki Asim usse pasand karta tha aur vo pehla ladka tha jisse Shehnaaz comfortable hokar baat karti thi.. Paras toh jaan-boojh kar Mahira ko chidane ke lehje se Shehnaaz ko miss karne ki acting karne lag jata hai.. par iss baar sach mein Mahira ke behave mein koi aggression nhi tha.. jise dekh kar Paras ko khushi hoti hai ke Mahira sach mein badal gyi thi.. uske chote se lecture ka Mahira par gehra asar huya tha.. Mahira ko bhi Shehnaaz ki yaad aa rhi thi kyon ke usko movies dekhna boht jada pasand tha par uske papa ke hard and fast rules ke kaaran vo unhein kabhi join nhi kar paati thi.
Raat ko Shehnaaz ke papa bhi aa jate hain.. Shehnaaz hamesha ki trah unhein pyari si jhappi deti hai aur unse unke din ke bare mein poochne lag jati hai.. ke "kaisa rha aaj ka din?"
Papa: badhiya tha beta, aaj toh poora din mann laga raha.. boht sari mithayi banayi.. sardiyon ke kaaran logon mein 'khoye'(mithayi) ki maang badh gyi thi.
Shehnaaz ko khushi hoti hai ke uske papa khush the..
Tabhi uske papa achanak se kuch yaad karte huye bolte hain..
Shehnaaz beta, main kya keh raha tha.. "tum kal se Mahira ke ghar mein chali jana.. kuch dino ke liye. uske papa se meri baat ho gyi thi.. vo maan gye hain.. unhone pta kya kaha!! Ke shehnaaz bhi toh meri beti hi hai.."
Maa: hnji, vo sab toh Shehnaaz ko Mahira ke Barbar hi maante hain.. bhale hi vo boht ameer hain.. par Shehnaazko bhi unki apni hi beti maante hain, koi bhed-bhaav nhi..
Papa: han.. aise log aaj-kal jada nhi milte hum khushnaseeb hain ke vo Shehnaaz ki saheli ke Maa-baap itne ache hain.. varna aaj-kal kaun itna karta hai?
Shehnaaz: han papa! Par aap dono kahan ja rhe ho?
Papa: beta hum Amritsar jaa rhe hain kal.. vo tumahari Dadi ki tabiyat theek nhi hai.. toh bade bhai bula rahe the.. ke kahin Maa ko kuch ho na jaye toh ek baar mil kar aa jayenge.. toh thode din wahin rahenge.. tumhe bhi le jate par tumahre exam December mein shuru hain toh.. tumahari padhayi kharaab nhi karenge.. tum padho!!
Shehnaaz haan mein jawaab deti hai.. aur jab vo sab khana kha lete hain..
Mahira: Shehnaaz ko phone karti hai..
Mahira: hlo Shehnaaz!
Shehnaaz: Han mahira bolo
Mahira: bolna kya hai pagal! Kal tum mere ghar pe aa rahi ho!! How exciting'

 Mahira: hlo Shehnaaz!Shehnaaz: Han mahira boloMahira: bolna kya hai pagal! Kal tum mere ghar pe aa rahi ho!! How exciting'

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Main tumhe pehle hi bol rahi hoon.. jo main kahoongi wahi karna hoga.. pichli baar ki trah zada nakhre mat karna!! Ok..
Shehnaaz: kal toh aane do.. dekhte hain.
Mahira: dekhna kya hai.. bas ek baar aa jao fir toh main dikhaoongi tujhe!! Ke 'Mahira Sharma' kya cheez hai..
Shehnaaz hass deti hai..
Aur vo dono thodi aur baatein karke ek doosre ko good night bol kar so jati hain..

Love Chaos (SIDNAAZ)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें