Sidharth: come on it's English, kisi ko bhi aati hogi.. Shefali: it's English literature.. kaviyon ke bare itna kaise pta? Sidharth: kya farak padta hai!! Tum logon ko padha raha hoon bas issi mein khush ho jao.. Shefali Sab ke liye coffee lene chali jati hai..🤗 Shehnaaz; kya chupate ho Sidharth?
ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Sidharth: kuch nhi.. Shehnaaz: jhooth mat bolo.. aur batao.. kya baat hai.. Itna Kahan kho jaye ho? Sidharth: aise hi bas.. Shehnaaz: theek hai, mat batao.. par khud se jhooth mat bolo! Tumahari aankhein sab bayaan kar deti hain.. tum kitna bhi chupa lo!! Sidharth: acha, you batao kya keh rahi hain.. meri aankhein?? Shehnaaz: kaun thi vo? Sidharth:(awaz ek dum dheemi pad jati hai) kaun.. kaun thi.. mtlb? Shehnaaz: don't hide.. I know..😌 Sidharth: kya? Shehnaaz: nhi manoge na!! Sidharth: par maan-na kya hai? Shehnaaz: Maine uss din dekha tha jab Maine gol-gappe khane ki zid ki thi.. Aur tumahari shakal utar gyi thi.. Aur jis din Maine sari pehni thi.. tumne kehne ko tarif ki thi par shakal tumahari uss din bhi utri huyi thi.. Aur aaj bhi!! Sidharth ko yeh baatein sun kar boht weird lagta hai aur vo wahan se uth kar chala jata hai.. Shefali ke hath mein teen coffee cup the.. 'arre Sidharth kahan gya?' Shehnaaz: kuch nhi, uski tabiyat theek nhi thi.. Shefali: mujhe toh theek hi lag raha tha!! Shehnaaz: koi ni.. Chalo hum dono padhte hain.. Sidharth: han chalo, chodo.. padhte hain.. Aur vo dono padti hain.. shaam ke 6 bjje shehnaaz ghar aati hai.. Maa: kaisa raha aaj ka din? Shehnaaz: han Maa badhiya! Par aaj boht padhi hoon main.. aur ab bhi padhna hai.. Maa: han, fresh ho jao.. main khana lati hoon.. phir padh lena.. Scene comes to Sidharth Aman: bhai.. paise tere account mein daal diye hain..check jar lena. Sidharth kuch jawaab nhi deta. Aman: bhai iss baar toh moti rakam mili hai..'Sham nath mehra jaise log.. bhale hi logon ka bura karte ho.. par hamara toh bhala ho gya..' Sidharth: han!! Aman: kya huya Sidharth, tu udaas lag raha hai? Aur paise chahiye kya? Main baat karoon Mufasa bhai se?? Sidharth nhi aisi baat nhi hai! Aman: toh kaisi baat hai? Sidharth: Aman yaar, vo ladki Shehnaaz..
ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Aman: han Shehnaaz kya? Sidharth: yaar vo mujhe affect kar rahi hai!😕 Aman: mtlb? Sidharth: mtlb mujhe usse farak padne lag gya hai! Kya karoon. Aman: tera mtlb tu uske pyar mein gir gya? Sidharth: nhi yaar.. pyar mein nhi. Aman: toh? Sidharth: I don't know yaar.. Aman: bhai ab itne din barbaad kiye hain.. yeh kya bol raha hai? Sheena ko kaise bhool gya tu? Sidharth ko gussa aa jata hai..'kya mtlb hai tumahara?' Aman: sahi bol raha hoon.. bhale e tu gussa kar.. par tu Sheena ko bhool gya.. uss kal ki ladki Shehnaaz ke liye.. Bhool gya kya? Shehnaaz ne 2 thappad maare the.. bhai 2 thappad!! Sheena ne aaj tak tujhe hath bhi ni lagaye tha. Aur tu!! Sidharth: but yaar aman, usne thappad iss liye mare.. kyon ke Maine usse kiss kiya.. Aman: han toh! Thappad kyu mara? Sidharth: koi bhi ladki hoti aisa hi karti.. Aman: mtlb tu sheena ko bhool gya! Ab tujhe Shehnaaz pasand hai.. Sidharth: pyar karta hoon yarr usse! Aman: pyar toh tu Sheena ko bhi karta tha. Usne kya kiya? Sidharth:yaar vo Shina jaisi nhi hai.. Tujhe pta hai vo meri aankhon mein dekh kar bata deti hai ke main taqleef hoon.. 21 din huye hain.. bas 21 din.. aur vo mujhe samjhne lagi hai. Aman: wahh beta!! Samjhti hai.. Samjhti toh Shina bhi thi..uska kya haan!! Sidharth gusse mein 'tu Shehnaaz ko shina ke sath kyu compare kar raha hai?' 'Kyonke bhai.. yeh sabhi ladkiyan ek jaisi hoti hain.. aaj teri.. kal ko kisi aur ki. Jaise vo sheena dean ke bete ki thi.. Sidharth: nhi yaar, Jasmin ko bhi dekho.. Aman : ohh ab baat jasmin par aa gyi!! Jasmin ke husband kya karte hain? Bhai kaam karte hain vo! Business.. Aur tu kya karta hai.. Jaa na bata usse.. ke tu ek contract killer hai.. Paison ke liye logon ko jaan leta hai.. Agar teri Shehnaaz ne yeh maan liya na toh main kabhi ladkiyon se nafrat nhi karoonga.. I swear.. Jaa bata usse.. ke tune kitne murder kiye hain.. Dean ke bete ko kyu mara tha? Tiwari ko, mitra ko, aur ab yeh Mehta.. aur bhi hain list mein.. Ja bata.. Aur ladkiyon jaisi nhi hai na vo.. Jasmin ko bhi agr pta chalega na.. vo bhi tujhe chod dengi.. ke uska bhai killer hai.. Hadd karte ho Sidharth... Kitni baar samjhana padega.. yeh faaltu ladkiyon ke chakkar mein mat pad.. 2 saal hone ko aaye hain.. jab sheena tujhe chod kar gyi thi.. tujhe kaha tha usse bhool ja.. tu toh iss kadar bhool gya ke tune usse replace kar diya.. vo bhi Shehnaaz ke sath..