Aman: Sidharth bhai, jasmin ke paas ja rahe ho? Sidharth uske bed ke side lage sofe par baitha laptop par kuch search kar raha tha.. Sidharth: naa! Tere ghar hi rukoonga.. Aman: bhai, kab tak gusse rahoge sister se.. Aman: han koi ni! Tu chal khana bana.. Aman uski or thoda gusse se dekhta hai aur kitchen mein jaake kuch khane ki tyari shuru kar deta hai.. Kafi der takk search karne ke baad finally Sidharth ko Shehnaaz ki Facebook I'd mil jati hai.. usse andar se khushi mehsoos hoti hai.. Sidharth ek-ek karke Shehnaaz ke photos dekhne lag jata hai.. aur Sidharth ke chehre par ek smile aa jati hai.
ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
Aman:(usse door par khada taad raha tha) sahi nhi lag rhe Sidharth?? Sidharth Aman ko dekh kar laptop rakh deta hai aur fir se rude si shakal bana leta hai. Aman: yeh acting kyu karte ho? Agar hasne ka mann hai toh has lo na!! Yeh chu***pa kyu karte ho?? Sidharth: nhi aisa kuch nhi hai.. Aman: mujhe lagta hai Sidhe tujhe vo ladki pasand aa gyi hai.. mat badla cancel!! Sidharth:(thappad ko yaad karte huye) nhi!! Badla toh main loonga.. Aman uske chehre par gussa dekh ke vo uske paas jakar laptop on karke Shehnaaz ki I'd dekhta hai.. Sidharth:yeh tum, kyu dekh rahe ho? Aman: main toh kehta hoon ke tum isse gun se thok do.. Sid:(hairaani se) ek thappad ki itni badi saza!! Amab: han toh.. ismein kya hai.. Sidharth: nhi!! Aman uske chehre ko padh leta hai aur halki si smile karta hai.. Aman: acha ek aur idea hai.. Pehle isse apne pyar mein fasaa.. Fir chod dena😌 Sari zindagi tujhe yaad rakhegi.. aur phir kabhi kisi ko thappad nhi maregi.. Sidharth: acha! Aman: aur kya! Profile dekh iski, boht Simple ladki hai.. koi boyfriend nhi hai Bas family and friends hi hain.. mtlb asaani se patt jayegi.. tu iska pehla boyfriend hoga toh tujhe boht pyar karegi.. aur jab tu isse chod dega toh uski rooh ko bhi dard hoga. Bol ?? Sidharth thoda sochta hai aur phir vo bhi maan jata hai.. Sidharth:(serious hote huye) han!! Tb isse pta chalega ke isne kisko thappad mara tha.. Aman sid ki I'd se Shehnaaz ko friend request bhej deta hai.. Doosri or Shehnaaz aur uske dost.. sab aaj ghoom-fir ke vapis Delhi aa jate hain aur ek-doosre ko good night bol ke apne-apne gharon ke liye nikal jate hain.. Shehnaaz aur Mahira bhi ghar aa jati hain.. Mahira:(excitement mein) kya din tha yaar Shehnaaz!! Kitna mazza aaya... Shehnaaz:(khushi se) Han, boht Aur Shehnaaz bathroom mein nahane ke liye chali jati hai.. Jab tak vo bahar aati hai.. Mahira ke kamre mein hi dinner ka intezaam ho gya tha.. Shehnaaz dinner ko dekhte huye bolti hai.. Shehnaaz: arre uncle aaj akele dinning table par baithe honge!! Mahira: nhi! Vo aaj ghar nhi aa rahe.. Shehnaaz: ohhh Dinner khatam karke vo dono bed par let jati hain.. aur phone chalane lag jati hain. Shehnaaz jab apna Facebook khoti hai toh usse Sidharth ki request dikhti hai.. Shehnaaz:(gusse mein) toh iska naam Sidharth hai, aur ye itna bakwaas nikla ke mujhe request bhej di!! Mahira: kiski baat kar rahi ho... Aur phir Shehnaaz, Mahira ko sari baat batati hai.. Mahira toh poore shock mein chali jati hai.. kyon ke vo bhi expect nhi kar sakti thi ke koi ladka Shehnaaz ko zabardasti kiss kar dega!! Aur sari baat khatam hote hi Mahira zor se hasne lag jati hai.. Shehnaaz:(irritate hote huye) has kyu rahi ho? Maine koi joke sunaya? Mahira apni hasi control karke bolti hai.. 'Seriously Shehnaaz! Tum itne bade sadme mein kyu ho? You know I was 16 only!! Jab Maine pehli kiss ki thi.. aur tum toh fir bhi 22 yaar.. and look at that guy!! So cute yr.. dekho kitna smart hai..' Shehnaaz:(gusse mein) Kyon ke main Shehnaaz hoon, Mahira nhi.. aur Shehnaaz ko farak padta hai.. aur tum iss ladke ki side ho ya meri!! Mahira: obviously tumahari side.. Par yaar ek baar ladke ki photo toh dekho kitna cute hai.. Lagta hai tumhare pyar mein gir gya.. Haan bol do!! Kuch nhi hoga. Shehnaaz:(gusse mein) please Yaar Mahira!! Don't be stupid! Mujhe iss ladke mein bhi koi interest nhi hai.. Tujhe aur koi kaam nhi hai kya.. sara din mere liye ladke dhoondhti rehti hai!! Mahira hasne lag jati hai.. Shehnaaz ka gusse wala face dekh kar vo usse tickling karti hai.. aur Shehnaaz bhi has deti hai..