About Sidharth's life (B)

766 40 6
                                        

par iss dauraan Sidharth ke haathon mein kab pen se seedha gun aa gyi usse ehsaas hi nhi huya... pichle 1 saal mein vo lagbhag 10 khoon kar chuka tha..
In Sab galat kaamon mein vo 3rd year se hi tha par 4th year mein toh uske hath mein gun hi aa gyi bhaigiri chod kar vo ab ek murderer ban chuka tha.

In Sab galat kaamon mein vo 3rd year se hi tha par 4th year mein toh uske hath mein gun hi aa gyi bhaigiri chod kar vo ab ek murderer ban chuka tha

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

College se suspend hone ke chakkar mein Sidharth ko apna sapna toot-ta huya 8.. usne aaj tak kisi ke aage hath nhi jode the par usne dean se boht baar maafi maangi ke usse atleast exam toh dene ki ijaazat dein..

 usne aaj tak kisi ke aage hath nhi jode the par usne dean se boht baar maafi maangi ke usse atleast exam toh dene ki ijaazat dein

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

  par dean ne uski ek nhi suni jis wajah se vo ghar chodne ke baad usse apne papa par bhi gussa tha.. vo gussa iss trah bahar aayega aisa Sidharth ne bhi socha nhi tha.. vo pta nhi kaise uss raat Mumbai ki vo choti si basti mein gun khareedne ke liye chala gya, aur wahin par uski Mulaqat 'Musafa' se huyi.. jo Mumbai ke jane-mane gangsters mein se ek 'Arhaan Khan' ka left hand tha.  Usne sidharth ko gun khareedte dekh ke hi andaaza laga liya tha ke 'yeh boht kaam ka hai' aur usne Sidharth ko apni team mein shamil hone ko kaha, Pehle toh kayi din Sidharth mana karta raha ke vo aise-vaise kaam nhi karta par jab unhone Sidharth ki problem solve karne ka vaada kiya ke vo uska sath denge toh Sidharth uski baat maan gya.. jaise hi Sidharth ko gun mil gyi sath hi Mufasa ka sath bhi mil gya. Agle hi din Musafa aur uske sathiyon ne Sidharth ke sath milkar dean ke bete ko kidnap kar liya.. aur Sidharth ne dean ko blackmail kiya.. jis wajah se Sidharth ko exam dene ki permission mil gyi..
Vo bhi kya din the jab dean ke bete ko unhone poore 2 mahine band karke rakha tha ke kahin dean baad mein mukar na jaye🤣
Sidharth toh dean ke bete ko maarna hi chahta tha agar Musafa usse na milta. Par Sidharth ke dimaag mein pehle hi tha ke jis din exam ho jayenge vo usse maar dega.. kyon ke jis wajah se uska jhagda huya tha vo boht badi baat thi, jiske liye Sidharth usse maaf nahi kar sakta tha, uss ladke ki ek galati ke kaaran Mahir ki poori zindagi hi badal gayi thi. Vo jo nahi tha, ban gya.
Jaise hi Sidharth ke exam ho gye usse chod diya gya.. par dean bhi kam harami nhi tha vo police ke paas jaa raha tha.. par yeh baat jab Siddharth ko pta chali toh usne Musafa ko bataya, aur agle hi din newspaper mein headline aayi ke 'Mumbai ke Jane-mane college ke dean ke iklaute bete ka Katal'
Iss baat ke baad Sidharth ne 2 din toh kuch khaya hi nhi, usse boht jhatka  laga tha ke vo kisi ko maar bhi sakta hai!! par kuch hi dino mein vo normal ho gya aur yahi uska profession ban gya...

Sidharth kabhi bhi aisa nhi tha

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Sidharth kabhi bhi aisa nhi tha.. rude, gusse mein rehne wala, egoistic, bad boy.. par uski zindagi ke kayi haadson ne usse hamesha ke liye badal diya. Ek hi pal mein usse uska sab chin gya.. uska pyar, parivaar, dost. Aur mila bhi toh kya!! Yeh gun!! Dark life!!
'Arhaan bhai' Sidharth se boht khush the vo usse kafi pyar bhi karte the.. par Sidharth kabhi-kabhi yeh kaam chodne ki sochta rehta tha.. usse ab jada acha nahi lagta tha. Khair aisa nhi nahi tha ke vo dhakke se iss kaam mein tha Mufasa ne usse kayi interview bhi dene ki kaha tha.. Sidharth ka sab clear bhi ho gya tha.. usse Microsoft company mein job bhi mil gyi thi.. par Sidharth ka nature itna rude tha ke usse iske bure behavior ke kaaran 2 hafton mein hi nikaal diya gya.. jis wajah se Sidharth ab aisa hi ho gya aur yahi kaam usse theek lagta tha.. jab koi usse point karta tha Sidharth usse Wahin maarne lag jata tha ya jaan se hi maar deta tha.. uska gussa din-b-din badhta jaa raha tha.. itna ke uski aaj toh jasmin se hi ladayi ho gyi thi jis kaaran vo Aman ke ghar par aa gya tha..
Raat ho chuki thi...
Aman apni yaadon se bahar aata hai..

I hope u all are liking the story?? Let me know in comment section

Love Chaos (SIDNAAZ)कहानियाँ जो दीवाना बना दें। अभी खोजें