Continue from previous :
Sumitra and Anubhav having dinner together. He knows her mother is depressed and not eating properly, he takes a morsel and put in her mouth but she denys to eat more. She quietly stands and walk to her room. But he stops her by calling her name.
AS: maa kiyà ap thori dyar humaray Sath baith sakti hain? Humain ap say kuch baat karni hai.
Maa: nahi hum bad mei baat kartay hain hum thak gay hain hum kuch dyar aaram Karna chahtay hain
AS: hum jantay hain maa ap hum say naraz hain par ek bar ap humaray nazareay say soch k toh dekhain. Hum ghalat nahi thy.
Maa: Anu haseena un larkiyun jaisi nahi hai , tujhe kiyà lagta hai us nay yeh sab kisi lalach mei kiyà hai? Ha us nay yeh sab ek lalach mei kiyà hai woh hai maa ka pyar, haseena k pass us rab ka diya sab kuch hai Anu, usay tere in paison ki koi zaroorat nahi hai or na hi kabhi hogi. Usay toh bus zaroorat hai maa k pyar ki Jo hum nay usay diya hai. Us k pass ek nahi do do apartment hain ek mei woh rehti hai ek rent par diya hai, us k pass paison ki koi kami nahi hai balkay us ki wajah say buhat say gharon k chohlay jaltay hain, khud yateem ho Kay dosron yateemon ki madad karti hai, hum kiyà usay paisay dyn gay Anu aaj tak us nay humain Jo bhi la k diya hai kabhi paisay nahi liey hain. Maa manti hai humain woh, kehti hai maa beti k beech paisay mainay nahi rakhtay. Tu nay buhat ghalat socha hai us k baray mei Anu, har koi duniya mei ek jaisa nahi hota. Kuch log haseena or hum jaisay bhi hotay hain sab kuch honay k bawajood bhi kangal hotay hain. Beta tanhai say bara apka dushman koi nahi hota, hum dono thy ek dosray k dukh dard k sathi, par tu nay humain us say alag kar diya hai, sach batein Anu hum tujh say zayda pyar haseena say karnay lagay hain kyun k humain jab bhi teri sab say zayda zaroorat mehsoos hui hai teri jagha hum nay usay qareeb khara paya hai. Par tu nay hum say humara sakoon humari beti hum say alag kar di hum kaisay rahen gay us k bina.
AS: maa hum hain na hum apka khayal usi jaisa rakhain gay dekhna ap usay kuch dinon mei bhool jao gi.
Maa: or phir tu humain dobara chor k chalay jaey ga hai na ?
AS: maa Jana toh hoga na
Maa: toh tu har bar janay k liey hi aata kyun hai mat aaya kar hum jaisay jee rhy hain waisay hi jee lyn gay.
AS: maa ap yeh kiyà keh rhi hain hum ap say milnay aatay hain ap k Siwa humara hai hi Kaun.
Maa: ha par humaray liey tere Siwa ek beti bhi hai DR Haseena Mallik naam hai uska.
AS: maa theek hai agar apki yahi zid hai toh yahi Sahi hum Kal ja Kay us say maafi mang lyn gay.
Maa: hum tujhe us say maafi mangnay ka nahi keh rhy hain Anu, bus Jo tu apnay dil mei us k liey ghalat fehmi pal k rakha hai woh khatam kar day.
AS: maa is say kiya farq parta hai hum un k baray mei kiyà sochtay hain, bus ap k liay woh khas hai toh hum us say maafi maang k ghar lay aaen gay.
Maa: nahi Anu haseena buhat khuddar larki hai usay tera ehsan nahi chaheay , ha agar tu sachay dil say us say maafi mangnay chahta hai yeh aur baat hai.
AS: maa un Kay baray mei humari ya humaray baray mei unki kiyà rai hai hum nahi jantay, ha hum un say pehlay bhi mil chukay hain woh itni buri nahi hai jitna k hum soch rhy thy, bus uska or humara duniya ko dekhnay ka zaviya alag hai. Humain Khushi hai k unhon nay apka itna khayal rakha apni Sagi maa jaisa apko pyar diya, bus humaray liey itna hi kaafi hai, hum bus yahi chahtay hain k hum jab tak yahan hain woh ap say milnay tabhi aaen jab hum ghar par na hun chahay toh humaray janay k bad woh waisay hi aa sakti hain jaisay k pehlay aati rahen hain. Kyun k jitnay bhi samay hum yahan hain woh Sara samay apka hai maa or hum is mei kisi ki bhi sharakat bardasht nahi Kar saktay hain.
Maa humara sir dard kar rha hai Zara humaray sir ki malish kar dyn gi ap jaisay pehlay kiyà karti thi.