PART#1

983 85 12
                                    

Door Bell 🔔 rings :
Haseena ties her Open hairs into bun and open the door and surprised to see that lady whom she met today's morning outside her apartment. She had her lunch box in her hand.

HM: aunty ap yahan, andar aaen na ap.

Sumitra: beta hum tujhe tera yeh Dabba wapis karnay aaey thy, buhat hi swadish khana tha, buhat zaiqa diya hai bhagwan nay tere hathon mei.

HM: aunty Allah nay zaiqay k Sath Sath humaray hathon mei shifa bhi di hai, aunty ap gutnon k dard k liay proper exercise kyun nahi karti , dekheay ga apko buhat aaram milay ga.

Sumitra: acha humain toh kisi doctor nay nahi bataya.

HM: kisi nay nahi bataya toh kiyà hua hum bata rhy hain na apko. 

Sumitra: tu doctor hai?

HM: ji aunty hum doctor hain. Dr Haseena Mallik. Aray ap khari kyun hain aunty baithain na. Or raat ka khana ap humaray sath kha k jaen gi.

Sumitra: nahi beta uski zaroorat nahi hai hum kuch na kuch kha lyn gay,, Khushboo toh buhat achi aa rhi hai, kiyà banaya hai.

HM: aunty bhindi banai hai apko pasand hai??

Sumitra: aray humain toh buhat pasand hai bhindi, Shanta ko kitni bar Kaha hai par woh la k hi nahi dayti hai humain bhindi. Waisay beta ghar mei aur Kaun rehta hai tere Sath.

HM: yahan humaray Sath ? Koi nahi rehta humaray sath hum akelay rehtay hain yahan.

Sumitra: matlab koi nahi rehta tere Sath, tera pati ya maa baap waghera koi bhi nahi?

HM: aunty humari shadi nahi hui hai abhi tak or humaray Ammi Abu ki death ko buhat saal ho chukay hain, or humara lucknow mei koi relative bhi nahi hai , Abu humaray aklotay aulad thy toh humara koi chacha ya bua bhi nahi hain, ha ek mamu Jan hain Jo dosray shehar rehtay hain unki bhi family hai toh saal do saal mei ek bar yahan ka chakkar laga laytay hain, waisay bhi aunty unka business hai Kahan in k pass time hai humaray pass aanay ka, waisay buhat achay hain mamu Jan buhat khayal rakhtay hain humara woh

Sumitra: toh beta woh tujhe apnay Sath kyun nahi lay gay.

HM: aunty hum khud Kisi par bhoojh nahi banna chahtay thy, isliay hum un k sath nahi gay. Waisay bhi aunty un k bachay hain bhala Kaun kisi ki accept karta hai. Waisay aunty ap bhi akeli rehti hain na?

Sumitra: ha beta hum akelay hi rehtay hain. Par humara ek beta hai

HM: acha phir woh ap k sath kyun nahi rehta.

Sumitra: woh police mei hai toh uski posting mukhtalif shehron mei hoti rehti hai , isi kaaran woh humaray Sath nahi rehta, par beta woh barabar humain money gram say paisay bhejta rehta hai. Buhat naik hai humara Anu, buhat khayal rakhta hai humara, hum say dour woh rehna nahi chahta tha, par humari hi khawahish thi k woh apnay baba ka sapna poora Karey, jaisay unhon nay desh k liey khud ko qurban kiyà hai Anu bhi usi tarha desh ki Seva karay, isliay hum nay usay khud say dour kiyà hai.

HM: aunty aap ko dar nahi lagta k woh apki ekloti aulad hai agar usay kuch ho gaya toh apka kiyà hoga.

Sumitra: nahi beta humain dar nahi lagta humain toh grav hoga us par or khud par k hum ek shaheed ki beva k Sath Sath ek shaheed ki maa bhi hain.

HM: par maaf kijeay ga aunty humain yeh bolna toh nahi chaheay par aunty desh ki Seva kar k hum shaheedon mei naam toh likhwa lyn gay par maa ki khidmat ka kiyà, maa k paoon talay toh jannat hoti hai na, bina uski Seva k jannat kaisay milay gi, desh k liay maa ko aaisi halat mei chor dayna yeh bhi toh ghalat hai na, desh. Ki Seva maa k Sath reh k bhi toh ki ja sakti hai na, kyun maa k Sath rehnay say unki desh bhakti mei koi farq aa jaey ga kiyà? Aunty ji kamiyab insan woh nahi hota Jo duniya ki nazron mei successful ho asal kamiyabi toh maa baap ka dil moh laynay mei hai, khair hum bhi kiyà batein lay k baith gay hain ap bhi kahen gi k kaisi larki hai pehli bar mil rhi hai or humaray betay ki burai karnay lagi. Ap hath dho lyn hum khana lagatay hain.

DIL MERA SANSAIN TERI:Where stories live. Discover now