PART #6

749 98 11
                                    

Days are passing , in these days haseena just once or twice visited sumitra's house. Both haseena and Anubhav are avoiding each other don't want to meet each other, but their destiny had other plans. He often see her in the compound or in the corridor, one day he is enjoying his tea in the balcony, he saw haseena is waiting for someone in the compound continuously staring her watch, a grey color car stopped infront of her, she opens the door and sits on back seat, he knows some one is also sitting on back seat but he unable to see his/ her face. Driver is driving the car 🚗 away.

AS (pov): yeh Kaun hai jis k Sath Dr Haseena ja rhi hai, yeh toh unki duty timing hai, shaid koi pick karnay aaya ho unhain. Par koi male tha ya female thi, Jo bhi ho humain us say kiyà.

Maa: kisay deekh rha tu Anu,  or kin sochon mei gum hai tu.

AS: kuch nahi maa hum bus yunhi bahir ki duniya deekh rhy hain, apki tabiyat ab kaisi hai.

Maa: hum theek hai ab , tu wapis kab ja rha hai tujhe aaey huay do mahinay ho gay hain, pehlay toh kabhi itnay dino tak tu nahi rukta na.

AS: maa hum ek do mahinay aur hain, jab tak I.B say call nahi aati hum nahi jaen gay.

Maa: wah yeh toh achi baat hai , waisay humari bachi k hospital janay ka samay ho gaya hai hat humain dekhnay day usay.

AS: maa woh ja chuki hain abhi 2 minute pehlay hi kisi k Sath car mei baith k gaen hain.

Maa: kisi k Sath nahi roopa k Sath gae hogi, woh uski friend or colleague hai na woh bhi buhat pyari bachi hai.

AS: acha woh thi humain laga k koi unhain pick karnay aaya hai.

Maa: humm kabhi bhi tu humari bachi k baray mei acha mat sochna hamesha ghalat hi sochna, uska koi boyfriend nahi hai, balkay usay toh teri tarha pyar say nafrat hai, shadi bhi arrange karna chahti hai, par abhi nahi, bus jaldi say us k liay bhi ek acha sa larka mil jaey hum us say samay lay k haseena ki baat pakki kar dyn gay. Phir jab haseena pooray maan say tyar ho gi hum usay rukhsat kar dyn gay.

AS: maa ap kyun dhondhain gay us k liey larkay, woh khud hain na.

Maa: humm phir toh ho gay us k hath peelay kyun k us nay khud k liey kisi ko pasand Karna nahi hai. Humain hi dhondna ho ga na.

AS: maa waqai ap buhat sochti hain un k baray mei.

Maa: beti mana hai hum nay usay, uski chinta humain nahi toh aur kissay hogi, waisay Anu aaj sham hum haseena k sath aanat halay ja rhy hain.

AS: aanat halay ap kyun ja rhi hai.

Maa: aray hum old age home thori aanat   halay ki baat kar rhy hain. Woh kiyà hai na hum har mahinay haseena k sath wahan jatay hain, haseena bachon ko kitabain, paisay or zaroorat ki dosri cheezain dayti hai toh hum bhi us k sath chalay jatay hain, humara maan bhi behalf Jata hai thora.

AS: wah khud aanat ho k aanaton ki help karti hain, strange...

Maa: toh kiyà nahi Kar sakti waisay aur logon say zayda bara dil in aanton ka hota hai, kyun k woh yeh dard seh chukay hain, unhain dosron ki takleef ka bakhoobi andaza hota hai.

AS: maa agar apko bura na lagay toh hum bhi chalen ap dono k Sath, humara matlab hai k hum lay k chaltay hain na aap dono ko.

Maa: is say achi baat aur kiyà hogi chal hum haseena ko phone kar k bol daytay hain.

DIL MERA SANSAIN TERI:Where stories live. Discover now