AS: yeh sab kiyà hai haseena ap aur Dr Sameer kiyà kar rhy hain in tasveeron mei.. apko zara bhi khayal nahi aaya humara.. jawab dyn. Khamosh kyun hain.. yeh tasveerain apki mami ji nay humain dekhain hain humari ankhain kholonay k liay Kay hum ap say shadi Kar k kitni bari ghalti kar rhy hain, inhon nay Kaha hai k ap jaisi characterless larki kisi k sath bhi raat guzar sakti hai paison k liey.. jab apko paisay hi chaheay thy toh hum say keh diya hota humain cheat karnay ki kiyà zaroorat thi apko. Par shaid yeh nahi janti hain k hum ap par andha vishwas hai agar dharti par khud bhagwan bhi aa kay kahen gay k Anubhav haseena ek characterless cheater hai toh hum unki baaton ka vishwas nahi karen gay. Humari Haseena bilkul pavitar hai or unki gawahi hum day saktay hain, agar hum or haseena chahtay toh kab ki apni limits cross kar chukay hotay or humain poora adikar bhi hai k uska , kyun k yeh shadi sirf samajh ko dekhanay k liay ki ja rhi hai warna toh hum saloon pehlay hi haseena ko apni jevan sangni bana chukay hain... Us k bad bhi hum nay apni maryada ka dhayan rakha hai kabhi koi limit cross nahi ki hain... I love her unconditionally blindly. I trust her no one can break my trust on her..
Maa: yeh hui na baat Anu humain garv hai tujh par..
Mami: pagal ho tum sachai samnay hai phir bhi Vishwas nahi Kar rhy, buhat bari ghalti kar rhy ho tum is par andha aitemad kar Kay.
Mamu: mun band karo Shazia kyun haseena ka ghar basnay say pehlay ujarna chahti ho.
Shazia: nahi baig sahab mei Sahi keh rhi hun..
AS: acha toh sabit Karen ap. Rehnay dyn ap say kuch nahi hoga hum sabit kar daytay hain Dr Sameer ko yahan bula kay.. ek second haseena ap logon Kay common room mei camera toh hoga na???
HM: ha hai toh baat khatam aa jaen Mami ji hum apko prove kar k dekhtay hain Kay humari Jan humari haseena kabhi kuch ghalat kar hi nahi sakti..kyun k hum nay in say hi blind trust Karna seekha hai. chalen...
Mamu: nahi Anubhav uski koi zaroorat nahi hai humain yaqeen hai.
AS: par humain vishwas nahi hai..
Maa: kiyà?
AS: maa humain haseena par toh vishwas hai par in par nahi hai, kiyà baat yeh humari shadi ko tornay k liay yeh tasveerain kisi news paper mei day dyn, jis say na sirf haseena ki personal life balkay professional life bhi disturb ho gi or hum nahi chahtay k in jhooti tasveeron ko koi bhi aadhar bana Kay humari Haseena k charitar par ungli uthaey yeh hum bardasht nahi Kar saktay hain..
Mamu: Chalo beta mei bhi tumharay sath hun mujhe bhi humari beti par poora bharosa hai woh kabhi kuch ghalat nahi karay gi..
**********
Roopa: kiyà hua haseena sab theek toh hai.
Haseena explained her everything..
Roopa: par mei toh us waqt tum dono k Sath thi aaisa toh kuch nahi hua tha. Jiju apko kiyà haseena par trust nahi hai Jo ap yahan recordings dekhnay aa gay..
AS: humain vishwas hai Dr roopa haseena par, par hum nahi chahtay k koi bhi inki wajah say humari Jan ko ghalat samjhay. Qanoon saboot mangta hai bharosa nahi dekhta..
Sameer: Mr Singh yeh sab jhoot hai yeh tasveerain ghalat angle say li gaen hain.
AS: hum jantay hain Dr Sameer.. relax hum sabit kar k rahen gay.. don't worry kyun k yeh baat haseena k character k Sath Sath ap kay character ki bhi hai, haseena ka naam achay ya buray shabdon mei sirf humaray Sath jur sakta hai kisi aur k sath nahi. Kyun Kay woh sirf humari hain or hum un Kay hain..kisi ko bhi hum ijazat nahi dyn gay Kay woh un Kay zindagi k Sath khelwar karay, saza toh hum usay dyn gay jis nay bhi yeh ghatiya giri hui harkat ki hai. Agli bar humari Jan ki taraf dekhnay say pehlay bhi hazard bar sochay ga woh.