PART#12

970 110 19
                                    

Maa: haseena acha hua tum aaj jaldi aa gae ho. Hum sooch rhy k aaj sab mil k Sath khana khatay hain, buhat saalon bad yeh din aaya hai.

HM: ji maa , ap baithain hum khana serve kartay hain, maa waisay kiyà baat hai aaj ap buhat khush dikh rahi hain.

AS: ha hum bhi maa say yahi pooch rhy thy par inhon nay hi Kaha Kay haseena aa jaey toh bataein gi , ab bataein gi phir baat kiyà hai?

Maa: haseena hum Jo shefali k Sath jis larkay k ghar gay thy na humain woh larka or uska ghar parivar buhat acha laga hai, or hum nay unhain Kal sham yahan bulaya hai tujhe deekhnay k liey, sun Kal tum jaldi ghar aa Jana. Woh log sham 4 tak aa jaen gay.

AS: maa Dr Haseena ko dekhnay matlab hum samjhay nahi???

Maa: tu nay toh shadi karni hi nahi hai iska yeh matlab hargiz nahi hai Kay hum haseena ko bhi ghar baitha k rakhain, zahir si baat hai us ki shadi karni hai isliay larkay walay aa rhy hain.

AS: maa par kyun? Humara matlab hai itni jaldi bhi kiyà hai? Ap pehlay Dr Haseena say pooch toh layti Kay woh h tyar hain ya nahi?

Maa: hum nay haseena say pooch k hi yeh faisala kiyà hai.

HM: ji maa hum koshish karen gay ghar jaldi aanay ki.

AS ( pov): Dr Haseena ki shadi, magar kyun , hum toh paryas kiyà tha apnay dil ki baat un say kehni ki, kiyà woh samjhi nahi ya unhain hum pasand nahi, par unhon nay humain koi Jawab bhi toh nahi diya tha. Kiya woh hum say pyar nahi karti? Ya subha ki baat par hum say khafa hain, humain un say baat karni hogi is say pehlay dyar ho jaey. Woh zaroor hum say khafa hain Jabhi unhon nay maa ko us rishtay k liey ha Kaha hai.

Maa: Anu tu kuch kha kyun nahi rha.

AS: ha maa hum khatay hain. Maa ap un logon ko mana Kar dyn.

Maa: kyun? Roz roz achay rishtay Kahan miltay hain.

AS: hum nay Kaha na ap un logon ko mana Kar dyn bus.

Maa: acha theek hai hum mana Kar dyn gay. Par wajah Jan saktay hain.

AS: ha pehlay hum achi tarha us k baray mei chan been Karna chahtay hain.

Maa: theek hai jaisi teri marzi.

AS: maa chalen ap medicine lay lyn apki medicine ka time ho gaya hai.

He gives her medicine soon she falls asleep due to sedation in medicine.

HM: Mr Singh maa bhi so gaen hain humain bhi ap ijazat dyn humain ghar jana chaheay ab.

AS: Dr Haseena abhi humari subha wali baat adhori hai.

HM: Mr Singh yeh apka personal matter hai ap humain is k beech kyun la rhy hain.

AS: yeh hum dono ka personal matter hai Dr Haseena sirf humara nahi, ap Jo jaisa sooch rhi hain waisa nahi hai, hum bus apki misunderstanding dour Karna chahtay hain.

HM: Mr Singh hum Sahi sooch rhy hain ya ghalat is say kiya farq parta hai.

AS: apko farq nahi parta hoga, par humain farq parta hai Dr Haseena, buhat farq parta hai, ap abhi isi waqt humaray sath chalen.

HM: humain kahen nahi jana Mr Singh.

AS: apko humaray Sath chalna hoga, apko hum par vishwas nahi hai na , ap humaray sath chalen hum apko sab sach bata dyn gay.

HM: Humain ap par vishwas hai Mr Singh.

AS: nahi hai vishwas apko hum par, jabhi toh subha ap humain megha or daksh k Sath deekh k khamosh khatri rahi, kyun nahi poocha hum say us waqt. Bolain jawab dyn. Aaj hum apko saray sawalon k Jawab daytay hain ap bus ek bar chalen humaray Sath.

DIL MERA SANSAIN TERI:Where stories live. Discover now