They got caught

369 27 35
                                    

Finally... Double bonus part (8600 words)

Continued from previous part....

Anushma also reached there and now was standing in outer cafe(i don't know cafe ke bahar wali side joh open cafe banaya hai usse kya kahege aur ander wale cafe ko kya kehte hai)

Karishma (slowly to anubhav) - bhaiya...(cut by anubhav)

As (in his style said slowly) - bhaiya nahi sir... Hum yaha aapke bhaiya nahi balki aapke uchhya adhikari hai..

Ks (said in complaining tone) - amma bhaiya aap bhi naa jab dekho tab apni seniorgiri dikhane mein lage rehte ho, tabhi aap kabhi kabhi khud bhi bhul jate ho ki aap humare bhaiya bhi ho

As (said with a smile) - Anubhav khudko bhale hi bhul jaye par kabhi bhi apni chanda ko nahi bhul sakta, par behena shayad aap hi baar baar yeh bhul jati hai ki hum duty ke samein Anubhav singh nahi DSP Anubhav singh hote hai... aapke uchhya.. adhi..karii.. (stretching the word)

Ks (lil irritatedly) - kuch nahi bhule hai hum, hume sab yaad hai, hum aapki tarah bhulakar nahi hai humne bachpan mein apni yaadash ko tej rakhne ke liye bohot se badam khaye hai.. aur shayad aapse jyada hi khaye hai

As (with sugar coated smile) - shayad nahi behna, shayad nahi balki aapne satya mein humse adhik hi badam khaye hai kyuki jyadatar aap humare bhi badam kha jaya karti thi joh maa ne humare hetu alag se rakhe hote the...

Ks (taunting in complaining tone of voice) - wah matlab kamal ho aap bhi aise hum aapko jara sa duty ke time bhaiya bol de toh aap Seniorgiri dikhane lagte ho aur ab dekho toh kaise badam ke liye humse ladne ko bhi tyaar ho gye... nai ab aapko yaad nahi ki aap humare senior bhi hai..

As (putting all blame on her) - yeh sab naa aapki hi vajah se hua hum issi liye aapko apne saath lane ki bajaye har baar haseena ji ko hi apne saath aane ko bolte hai.. kyuki aap jab bhi humare saath hoti hai tab ja toh hume aapka gussa sambhalna padta hai nahi toh agar aapko gussa naa bhi aaye tab bhi aap baar baar duty ke samein hume bhaiya bhaiya bol kar humara dhayan jaroor bhatka deti hai...

Ks (tauntjngly) - achha aur maddam sir toh jaise bada aapko aapna kaam karne ki prerna deti hai, unhe bhi bas apni seniorgiri dikhane aur apne jazbaaton se case solve karne ke alawa kuch nahi aata joh ki aapko pasand nahi hai toh fir aap aaj unki itni tarif kahe kar rahe hai...(asked raising her brows)

As (cross questioned her) - aapse kisne kaha ki hume jazbaat apriye hai??

Ks - aapne... aap hi the naa vo jinhone hume yeh laat, mukka aur ghussa chalana sikhaya tha aur aap hi kehte the naa pehle ki chanda kabhi bhi apne farz ke aage hume apne jazbaaton ko nahi aane dena chahiye aur toh aur aap toh ladkiyon ke aas paas jana bhi pasand nahi karte the toh fir case solve karne jana toh dur ki baat thi..

As - vo tab ki baat thi ab hum aisa bilkul bhi nahi sochte aur...(cutting him off)

Ks (asked suspiciously) - achha toh fir kaisa sochte hai aap ab, aaj aap bata hi dijiye jara hum bhi toh jane ki humare bhaiya ke iss hridey parivartan ka asli karan kya hai

As (said with lil strictness to avoid further convo) - behena agar aapki aageya ho toh kya hum pehne apna joh kareya yaha par karne aaye hai vo karle fir hum aaram se inn sabhi visho par vishtaar se varta vivaat karege

Ks (immediately) - haa toh humne konsa roka hai aapko chaliye bataiye kise pakadna hai hum abhu usse dhar lenge..

As (calmly) - abhi kisi ko nahi dharna hai aap ek kaam kijiye aap yahi bahar wale hisse mein rukiye aur nazar rakhiye hum ander wale hisse mein jakar dekhte hai

Ks (little impatiently) - haa toh vahi toh hum puchh rahe hai ki nazar kis par rakhni hai aur dekhna kisko hai

As - vo hum aapko thode samein paschat bata dege aap bas apne kaano mein yeh suksham durbhas dhawani yantra(giving her a Bluetooth piece, mujhe iska exact name abhi yaad nahi hai) laga lijiyega jisse aap humare sampark mein rahegi aur abhi ke liye aap yaha par ruki hum bhi bhitar jate hai....(saying this he went inside the cafe jabki karishma bahar hi baith gyi thi)

anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)Where stories live. Discover now