Bonus part (around 6600 wards)Sorry raat ko karugi kaha tha but tab kar nahi pai toh ab kar rahi hu...
Continuation...
As - toh darasal chanda ke pitashree... arthat humare baba ke chote bhai aur humare chacha ji ek bohot bade vyapari (businessman) hai... unka prem vivah huya tha humari chachi ji ke saath, unke vivah ke ek varsh baad humari chachi ji ne do judwa kaneyaon ko janam diya tha, jinmein se badi karishma matlab humari chanda hai aur dusri humari dusri behena kareena hai... par unko janam dete samein humari chachi ji ke sarir mein rakat ki kafi jyada kami (several blood loss) ho gyi thi... jiski vajah se baad mein unko alag alag tarah ki bimariyon ne gher liya, chacha ji ne unka bohot ilaaz karvane ki koshish ki par kuch nahi ho paya aur jab humari dono behene sirf panch varsh ki thi tab chachi ji ka dehaant ho gya... chacha ji tab bohot sadmein mein chale gye the, par humare maa aur baba ne unko sambhalne mein madad ki aur kuch mahinon mein vo thik bhi ho gye... par humari dono behenon ko aur unke kaam ko ek saath sambhalna unke liye bohot mushkil hota ja raha tha, tab hum unke saath nahi rehte the, kyuki tab baba ka sathanantran kisi aur seher mein ho gya tha... aur hamari dono behne bhi tab bohot choti thi.... iss liye humare dada ji ne chach ji ka dusra vivah karwane ka socha.... pehle toh chacha ji nahi maan rahe the, par jab sabne unko samajhaya toh vo maan gye aur unhone humari choti chachi ji ke saath dusra vivah racha liya.... aur unhe chanda aur kareena ki choti maa bana liya... unke vivah ke teen- chaar varshon tak toh sab kuch bohot achhe se chalta raha... choti chachi chanda aur kareena dono ko hi apni sagi betiyon se bhi jyada pyaar karti thi... unhe aur behenon ko dekh kar kabhi aisa lagta hi nahi tha ki unka rishta sotelon wala hai... choti chachi ji ne vivah ke baad chanda, kareena aur chacha ji ko itna pyaar aur apna pan diya ki vo log chachi ji ke dehaant ke dukh se asaani se bahar nikalkar firse apni zindagi vaise hi pehle ki tarah jine lage the...jaise aap apne abbu ki shahidi ke baad kuch samein ke liye apne mama ji ke ghar aakar rehne lagi thi... thik vaise hi jab humare baba shahid ho gye the, uske kuch samein baad chacha ji hume aur maa ko apne saath kanpur lekar aa gye the... hum aur maa unke saath lagbhag ek varsh tak vahi rahe.... tab bhi choti chachi ji ne humara aur maa ka bohot achhe se dhayan rakha tha... hum tab bohot dukhi the, bohot tut chuke the ander se.. aur isliye unhone chanda aur kareena ko kaha tha ki vo kabhi hume akela na chhode aur humesha humare saath rahe... (pehle wali flashbacks mein tha naa yeh) sab kuch bohot achha chal raha tha hum aur maa bhi humare dukh ko bhul kar nayi suruyaat kar rahe the... aur ismein baki sab bhi humara bohot sehyog kar rahe the... (hm interrupted him)
Hm - agar sab kuch itna perfact tha, toh fir aisi kya baat ho gyi ki karishma, aap aur maa unn sab se dur ho kar yaha lucknow mein aa gye....
As - yehi toh aaj tak hume bhi samajh nahi aa paya ki aakhir achanak se sab kuch badal kaise gya... hume bas itna hi pata hai ki hume aur maa ko chacha ji ke ghar mein rehte huye kuch saat(7) - aath(8) mahine huye the ki tab hum sabko pata chala ki humari choti chachi garbhvati hai... sab bohot khush huye the yeh jankar khaskar par humari dono behene, aur hoti bhi kyu naa aakhir unko ek aur bhai ja behen jo milne wali thi, par thode dino baad chacha ji ko pata chala ki chachi ji ki garbhaavastha mein aage chalkar kafi jatilata (complications in pregnancy) aa sakti hai, aur iss liye vo chachi ji ko mumbai le gye taki vo unka vaha se ilaaz karwa sake kyuki vo nahi chahte the ki joh chachi ji ke saath huya vo choti chachi ke saath bhi ho.... ess liye vo aur choti chachi lagbhag ek mahine tak ilaaz karwane ke liye mumbai mein hi rahe aur jab vapis aaye toh pata nahi kyu par unka bartav thoda badla badla sa tha... par hume (hame matlab maa, anu, kashi aur karu ko) laga ki chachi ji ki garbhawastha mein yeh sab hona aam baat hai.... par ek din jab chacha ji apne kareya sthal par gye huye the aur chachi ji, chanda aur kareena ke saath kahi bahar gyi huyi thi... tab bas hum aur maa hi ghar par akele the tab..... (story sunate huye majah nahi aa raha tha toh socha fb suru kar di jaye...)
YOU ARE READING
anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)
RandomSo story is about our beloved couple anuseena,this is my very first story so plz co- operate agar koi glti ho toh mein pehle se hi sorry kehti hu. So iss story mein kafi stories ka mixture milega aap sab ko ,so first of all mai bta du ki yeh story m...