Continuation....Next morning
Lakshya was sitting on cot and thinking about radeep and preeta's talks.... Just then preeta came there and sat beside him...
Preeta (crossing her legs and said teasingly) - kya hua lakshya babu aaj aapko jana nahi hai kya urvashi didi se milne
Lakshya (looked at her and then said casually) - urvashi ji ko aaj kuch kaam tha toh unhone aaj ki chutti li hai
Preeta (asked raising her brow) - achha toh agar unhone chutti li toh kya aap bhi nahi jayege kya aur aisi bhi konsi soch mein ghum hai aap ki aapki chai firse thandi ho gyi aur aapka uss par dhayan hi nahi hai
Lakshya (looked at his hand and then said) - kya yeh firse thandi ho gyi... chalo koi baat nahi aapko ise dobara garam karne ki jaroorat nahi hai hum isse aise hi pee lenge
Preeta (taking that cup from him) - par thandi chai peene mein utni achhi nahi lagegi aap laiye hum isse garam kar dete hai
Lalshya (take his kular back and then denied nodding his head) - nahi rehne dijiye koi baat nahi humare liye yahi thik hai
Preeta - achha agar aapko nahi chahiye toh thik hao, par hume toh chahiye aur hum lekar bhi rahege(said looking at him)
Lalshya (confusingly) - kya?
Preeta (seriously) - aapse jawab
Lakshya (confusingly asked after sipping his tea) - kis baat ka jawab chahiye aapko
Preeta (casually asked) - yahi ki aap kis soch mein ghum hai
Lakshya (said sipping his tea) - kisi soch mein nahi bas aise hi
Preeta (take that thandi chai from him and put it down(ab chahe joh bhi ho par vo unhe thandi chai nahi peene dena chahti thi) then said) - lakshya ji (listening this lakshya looked at her) kyu kya hua hum aapko yeh keh kar nahi bula sakte kya??(asked raising her brow)
Lakshya (noddingly) - nahi bula sakti hai par aaj tak aapne hume aise nahi bulaya naa bas isliye bulaya bas isliye... khair aap kahiye aap kya keh rahi thi
Preeta (seriously) - kehna nahi puchhna chahte hai aapki pareshani ka karan aur joh aapne humse ab tak sawal puchhe hai unn sabka karan
Lakshya (casually said and take that chai again) - preeta ji kuch sawal aise hote hai jinka jawab nahi hota
Preeta (again take that cup and put it down on a distance) - aur kuch log aise hote hai jinse hum sab share kar sakte hai, kyuki mann mein ek vishwaas hota hai ki samne wala hume aur humari baato ko samajh sakta hai aur jaroorat padhne par hume samajha bhi sakta hai
Lakshya (casually said looking at that kular wali thandi chai(joh ki ab inki pahunch se thodi dur thi)) - aaj tak humne kitni hi aisi baate hai joh apne dil mein chupayi hue hai jinka jikar humne kabhi apne pariwaar ke samaksh bhi nahi kiya kabhi aur aap jinko hum abhi ek dedh hafte pehle miley hai unse kaise kar le hum apni baate sanjhi, hum toh aapko thik se jante bhi nahi hai
Preeta (turning his face toward hers by holding his chin) - pehli baat toh humari kuch baate aisi hoti hai joh hum apne pariwaar ke samne karna sahi nahi samajhte par unn baato ko hum kisi aur ke saath share kar lete hai taki humara man halka ho sake, jaise ki kisi dost ke saath... aur dusri baat ki na toh hum abhi kahi ja rahe hai aur na hi aap kahi bhag rahe hai toh aapke paas bohot samein aur mokka dono hai hume samajhne ka
Lakshya (smilingly) - preeta ji darasal baat aisi hai ki hume bachpan se dost banane mein koi ruchi nahi hai, hum akele rehna hi jyada pasand karte hai aur rahi baat aapko samajhne ki toh hume aurton ko samajhna nahi aata aur na hi hum sikhne ke jyada ichhuk hai....(said looking at other side)
YOU ARE READING
anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)
RandomSo story is about our beloved couple anuseena,this is my very first story so plz co- operate agar koi glti ho toh mein pehle se hi sorry kehti hu. So iss story mein kafi stories ka mixture milega aap sab ko ,so first of all mai bta du ki yeh story m...