next part

295 27 31
                                    

Recap - mahila police thane mein aaya tha ek atrangi bhains se shaadi wala case, karishma hain haseena aur vyom se naraz... Haseena aur anubhav bhi filhaal vyom se the naraz.. Vyom dene wale the karishma ko ek surprise

**Note - novel likhne ki aadat ho gyi hain toh ho sakta hain kuch chize aapko novel wali bhi mile so pls adjust...**

Continuation...

Haseena ke cabin mein,

Haseena apni chair par baithi hui hain, jabki amar sir aur karishma unke samne baithhe hain aur baaki sab unke aas paas khade hain..(pushpa ji ko chhod ke meera, santu, mishri aur cheetah hain yaha par)

Haseena (with serious expressions)-  ye case thoda sa emotions ke saath juda hua hain, mr. Prasad humare paas ek umeed ke saath aaye the taki hum unka case solve kar sake aur unki family ko samjha sake ki vo unki shaadi ek bhains (Santu and Mishri chuckle, Haseena and Karishma glare at them. The room falls silent, and then Haseena continues) ke saath karwane ki jidd chhod de... so i think hume iss case ko thode se jazbaat ke saath hi solve karna chahiye

Karishma (taunts) - haan isme aur naya  bhi kya hain.. Har baar yahi toh hota hain iss thane mein, sabhi case ek hi tarike se toh solve kiye jate hain...

Haseena (ignore her taunt and said with a smile) - achhi baat hain ki aapko pata hain ki yaha par case jazbaaton ke saath solve hote hain, toh fir ye meeting karne ka koi fayda hi nahi hain, baaki cases ke tarah ye bhi fir jazbaaton se hi solve kiya jayega

Av (immediately) - nahi bilkul nahi.. Iss baar same jazbaati tarika nahi apnaya jayega... Haseena ji aap humari baat ko samjhiye ye case jazbaat se nahi logic se hi solve hoga

Haseena - mr. Amar..

Av (with a smile)- aap hume amar bula sakti hain haseena ji..

Haseena (said with a professional smile while looking at ks) - ji shukriya par abhi hum on duty hain aur on duty hume professional rehna jyada pasand hain.. (Turn towards amar sir and says further) Toh mr. Vidrohi hi sahi hain abhi ke liye... So hum ye keh rahe the mr. Vidrohi ki logic gairon par lagaya jata hain, apno par nahi aur ye case ek normal se pariwaar ka hain yaha par apno ke bich thodi si galatfami ho gyi hain joh jazbaat se solve ho jayegi isme logic lagane ki jaroorat nahi hain

Amar - haseena ji case chahe jaisa bhi ho par hum police officers hain aur ye case police station mein aaya hain.. Isliye hume bhi ussi tarike se isse solve karna chahiye jaise normally police wale karte hain

Haseena - dekhiye mr. Vidrohi... (Interrupted by ks)

Karishma (in gussa) - karlo aap hi meeting karlo aur case bhi aap hi solve karlo.. Hum toh yaha bas chane bechne aate hain ya badnaam ka vo jehar pine..  aur hume kaam hi kaa hain yaha, na case mein humari raye ki jaroorat hain kisi ko, na hi case mein madad chahiye.. Toh fir hum chale hi jate hain na yaha se.. Aakhir kar kaa rahe hain hum sab yaha baithkar

Santu (innocently) - madam baithhi toh aap hain hum teenon toh khade hain..

Karishma glares her and said - tumko baithhna hain yaha.. Aao baithho.. Baithho tum aaj yaha humari jagah baithho aakar

Santu immediately nodded her head in no and hides behind cheetah.

Karishma - ama aayo na ab aise chhup kyo rahi ho baitho jab hum bol rahe hain baithne ko toh baithho..(hold her forearm and start pulling her)

Santu (in fear) - mummy.. Nahi nahi madam.. mujhe nahi baithhna... please aap hi baithhiye

Haseena (calmly) - karishma singh chhodiye santosh ko aur baithh jaiye apni jagah par... Aur shanti se bataiye ki aap kya keh rahi thi

anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)Where stories live. Discover now