Anu bhaiya ki chanda on moon - 1

288 18 26
                                    

suru karne se pehle main bta dun ki maine aaj tak na toh koi party attend ki hain aur na mujhe iss sab chochle baazi ki aaj tak itni samajh aayi hain.. Haan daily shops mein parties hoti dekhi jaroor hain but usme bhi party se jyada toh sazishey aur drama hi ho raha hota hain toh hum jaise insaan kya hi samajh payenge ye sab chije.. But fir bhi jitna ho sakega utna likhne ki koshish karungi.. Thank you.. Now let's start

==================

Recap  - Karishma puts a condition in front of Haseena, stating that if Haseena does exactly what Karishma instructs her to do in the next 27 hours, Karishma will forgive her. Haseena and Anubhav have a conversation over the phone, during which Haseena had forbidden Anubhav from going to Vyom's party, and eventually, Anubhav had agreed to her request. Prabhat called Haseena to inform her that his family members are going to see a buffalo for him tomorrow so they can finalize his marriage with that buffalo. Vyom sends a dress for Karishma, and Pushpa ji persuades Karishma with great difficulty to wear that dress, which Karishma reluctantly agrees to despite her reluctance.".

Now see What happens next...

In Singh mansion, (Daroga ji/ Karishma ji ke mansion ke bahar)

(anubhav ka singh niwas hain aur vyom ka Singh mansion hain aur anubhav ka niwas sathal same serial ke jaisa hi imagine kar lijiye jabki vyoshma ka serial se thoda different hain.. Thoda thoda anubhav jaisa hi ya usse thoda aur achha)

Continue..

Karishma (to pushpa ji in irritating tone) - Amma ka pyaare lag rahe hain, itna bhara sa gown pehna Diya hain hume aapne ki isme hum se sans tak nahi li ja rahi thik se

Karishma's dress

Pushpa ji - arre itne pyaar se bheja hain ye humare lalla ne toh kya aap isko humare lalla ki Khushi ke liye kuch der bhi nahi pehen sakti? Vaise shiv ji ki Kasam hum sach keh rahe hain Aaj aap inn kapdo mein kisi pari se kam nahi lag rahi.. aur iska sara shrey humare lalla ko jata Hain

Karishma (tauntingly) - ee sahi hain aapka Jo bhi baat ho uss sab ka shrey apne lalla ko de Diya Karo.. yaha itne bhari bharkam kapde pehne humne hain, inko sambhalne hum wale hain, isme achhe bure jaise bhi Lage par vo bhi hum hi lagne Wale Hain aur aap hain ki iss sab baat ka shrey bhi apne lalla ko hi diye ja Rahi hain Jo yaha par abhi hain tak nahi

Pushpa ji - Haan toh? Arre lalla bhale hi abhi yaha nahi hain par usne apne busy time mein se time nikalkar yaad se joh hum sab ke liye itne achhe achhe kapde bheje hain toh iss sab ka shrey toh usko hi jayega na.. (tauntingly) vaise bhi ek chudail ko jhelne aur usko pari bnane ki kala har kisi mein nahi hoti

Karishma - Ama aapne humko chudail kaha?... Hum aapko chudail lagte hain?

Pushpa ji - isme lagna lagana kya hain.. joh hain sabke samne hain

Karishma - aap bhuliye mat pushpa ji ki hum aapke senior hain.. do minute nahi lagege hume aapki line hajir karne mein

Pushpa ji - senior hogi aap thane mein yaha par hum senior hain aapke aur kya aap baat baat par line hazir karne ki dhamki deti rehti hain aur koi kaam nahi hota kya aapko Thane mein Jo aap baar baar humari line hazir karne ke pichhe padi rehti hain?

Before karishma could answer her, her FIL comes there.

Lalla ke pappa/ pyare singh(ps) (said smilingly while try to change the topic) - arre waah karu beta tum toh badi pyaari lag rahi ho iss dress mein.. vaise toh har dress tum par suite karti hain par aaj tum kuch jyada hi pyaari lag rahi ho

Karishma - thank you papa ji

Pushpa ji - iska aadha shrey humare lalla ka bhi hain..

PS - uss nalayak ki toh tum baat hi mat karo pu.. ek toh khud vo meetings ka bolke itne time se pata nahi kaha gayab hain... aur upar se aise achanak se phone karke bolta hain ki aaj business party hain aur usme hum sab ko uski jagah Jana padega..bhala aisa kabhi hota hain kya? Jab company vo sambhal Raha hain toh business parties bhi toh usko khud hi handle karni chahiye na agar nahi bhi karni hain toh Kam se kam time se bta toh Diya kare Hume..

anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)Where stories live. Discover now