Part 28

311 31 63
                                    

Recap - mahila police thane mein aaya tha ek atrangi bhains se shaadi wala case, vyom aur haseena ko cafe mein dekhne ke baad karishma hain unn dono se naraz... Haseena aur anubhav bhi filhaal vyom se hain naraz.. Vyom dene wale hain karishma ko ek surprise

Continue...

Karishma - aapko hum bas ek hi shart par maaf kar sakte hain

Haseena (immediately without wasting a second) - konsi shart.. Aap bataiye hum aapki saari sharte maan ne ko tyaar hain aap bas ek baar bolkar toh dekhiye

Karishma - toh shart ee hain ki aap ab se lekar agle chobis ghanta tak ke liye Jo hum bolege uu karegi uu bhi bina kisi sawal jawab ke, agar hum aapko bolege eeha uthho toh aap uthhegi agar hum bolege eeha baitho toh aap baithhegi. Fir chahe Ghar ho ja thana aap bas humara order bajayegi.. boliye manjoor hain

Itna sunte hi haseena soch mein pad jati hain, usko kuch samajh nahi aata ki vo kya kare.. vo karishma ko samjhane ke liye bolti hain, "karu ye kuch jyada nahi ho jayega..."

Karishma - 25 ghanta

Haseena - ek baar soch...

Karishma (folding her hands on her chest) - 26 ghanta

Haseena (in requesting tone) - hume thoda time....

Karishma - 27 ghanta

Haseena (finally gave up) - ok fine 27 ghanton ke liye hum bilkul vahi karege jo aap chahegi vo bhi bina kisi sawal jawab ke.. bas aap hume ab maaf kar dijiye aur Maan jaiye

Karishma apni jagah se uthhkar darwaje ke bahar jate hue bolti hain, "kal shaam Tak aapko maafi mil jayegi, filhaal aaram kijiye hum chai pikar aate hain.."

Haseena (from behind) - arre suno toh humari baat...(ks left) chali gyi yaar ye Singh Bhai behen bhi na, kya kare hum inka.. ek ke aage kisi ki chal nahi paati aur dusri ke aage hum apni ab chala nahi payege.. lanat hain humare inke senior hone par.. vaise jo bhi ho filhaal toh inki sabhi baate hi Manni padegi, uske alawa toh  kuch kar bhi nahi payege hum..

Tabhi unka phone bajta hain.. haseena phone par naam dekhti hain toh uss par Mr. chakri likha hota hain..

"Lo Shaitan ka naam liya aur call aa bhi gya inka"

Haseena (after picking up the call) - ji kahiye

Anubhav (with a smile) - hum nahi aap kahiye

Haseena (rolling her eyes) - hum kya kahe phone toh aapne Kiya hain

Anubhav (with a smirk) - vo toh aap hume samarn kar Rahi thi.. isliye socha phone karke puchh lete hain ki vaha sab khairiyat toh hain

Unki baat sunne ki deri thi ki haseena ne andar bahar sab jagah dekhna suru kar diya par vaha toh koi nahi tha

Haseena (suspiciously) - aap kaha hain? Aap kahi se sun ya dekh rahe hain kya hume?

Anubhav (with a smirk) - aapke aas paas toh nahi hain hum haseena ji par lagta hain ki aap sach mein Hume hi yaad kar rahi thi.. vaise kya soch Rahi thi aap humare vishey mein

Unki baat sun kar haseena ko samajh aata hain ki anubhav ne bas aise hi usko call Kiya tha, unko ye pehle se pata nahi tha ki haseena unko yaad kar rahi thi ya nahi

Haseena (in irritated tone) - aap apni skills na hum par try mat Kara kijiye varna kisi din hum apni skills try karne par aa gye na toh achha nahi hoga aapke liye

Anubhav (in flirtatious tone) - achha ji.. hum toh chahte hi hain ki aap apni kala ko hum par saara jeevan ajmaati rahe, vaise bhi patni ke taane sunna toh har pati ka sobhagya hota hain(bechare flirt karne ke chakkar mein kuch jyada hi bol gye)

anuseena (agar kismat ne chaha toh hum fir milenge)Where stories live. Discover now