Atharv, tumhari pehchan ka writer, wahi AtharvKhanka: Hein? (Khanak disbelief me kehti hai) Nahi nahi, tu mazak kar rahi hai na?
Diya: Areee Atharv mera novel like kiya hai, bhai hmko bhi believe nahi ho raha tha…mtlb legit abhi bhi utna nahi ho raha..par
Khanak: Dekh koi fake account ya fan page to nahi hai?
Diya: Call kat denge, jhooth nahi bol rahe
Khanak: hmm…sachhh? Hayeee! I’m hyperventilating
Diya: hyperventilating ka spelling bata….Wo aisa pehli baar kiya, aisa kya khaas laga mere book me, ho sakta hai…kyuki maybe meri story bahot simple but relatable hai..very close to real daily life?
Ah, Khanak, baad me baat karte hai
Atharv, (sighs), poore shaam hm usi notification ko dekhte rahe aur finally mere man me jo karne ki chul machi thi, hm use kar diye, Atharv ko inkwin pe message…pata hai, nahi dekhega, hm kuch zyada hi udne lage hai…pr santusthi to ho jayegi, atleast try kiye..to hm use ek thank you note likh ke message send kar diye aur fir uske sapne dekhte dekhte chain ki need so gaye.Agle din, college ke baad hm mall aa gaye hai, waha ke staffs vi kaafi acche the, itne pyaar se welcome kiya, sb kuch acche se sikha diye, bilkul nayi experience thi, naye logo se baat karna, convince karna, help karna
Aman: Hey, hey, hey, tum wo college wali ladki ho na? Junior? Jisne mere saamne aawaz uthaya tha, revolutionary? Haha, kya naam tha tumhara?
Diya: Ah, aap kaun? Hm mile hai kya pehle? Ho sakta hai, utna dhyan nahi diye, to bhool gaye
Huh, Khadus, is Aman ko bhi yahi aana tha, college me kam stress nahi de raha tha kya jo yaha bhi tapak pada
Aman: Diya aur Baati hum
Diya: Accha tum baati ho? Sorry, aksar less important logo ke naam na bhool jaate hai hm
Aman ka face dekhne layak tha, itna chidha hua tha, ho sakta hai kisi ne ise aaj tak challenge nahi kiya, ghar me raja beta hoga, huh..hm wapas se dusting ka kaam shuru kar dete hai
Wo mere kaam ko rok karke kehte haiAman: Tum jaha apne pankh faila rahi ho, wo amanat meri hai
Diya: Accha, theek hai, to haath bhi bata do, sir
Tabhi ek staff jo hmko is mall ka kaam sikhayi thi, Ridhi di, wo aakar Aman ko kehti hai ki uske papa ne use yaha atleast do ghante kaam karne ke liye kaha hai, perfect opportunity, bahot tez ban raha tha
Diya: Are re, to technically tum bhi staff ho,
Aman daant gidgidate hue kehta hai, majbooran, aur tum apne kaam se kaam lo, do sec me papa ko bol ke fire karwa sakta hu
Diya: Oye senior, tum majdoori karne me dhyan do, atleast tumhari tarah unemployed nahi hai
Kabhi Kabhi lagne lagta hai ki..ye sab karke bahot maza aa raha hai, ekdm wo confident and strong wala feeling…Aman se to waise bhi koi kaam ho nahi raha tha, aaram se sofe pe baith ke chips chaba raha raha tha….tbhi Kiran bhi waha aa gayi..ab ye na dekh le warna alg drama hoga aur time waste bhi, ise to aise bhi kuch karna nahi, time to mera hi waste hoga, isliye hm waha se nikl gaye…hm bhi thodi der baad inkwin kholke dekhe ki kahi, by the way…Atharv ne atleast seen kiya ho…par nahi…bekar me hi itna ud rahe the..spotify pe breathless laga ke gungunane lage..kaam ke saath…(sing few lines) Khwaabo ki duniya bhi kitni hasheen aur…..
Kiran: Knock knock, junior
Bs, toot gaya khwaab.. yahi baaki reh gaya tha, muh lagana hi bekar hai, Kiran ko ignore karke hm wapas se products ko arrange karne lage…(thakk…)
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mystery / ThrillerDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...