Khanak: ye to mai already dekh chuki hu, isme naya kya hai?Diya: Atharv ka sach, Atharv ki asli pehchaan
Case study me likha hai ki wo interviewer Atharv se milne 19 July ko gayi thi, par Atharv ke episodes sirf Wednesday aur Sunday ko nikalte hai, aur kyuki 19 july ko Tuesday tha, Atharv 20 july yaani ki wednesday aane ka wait kiya aur wednesday aate hi us episode me us event ka zikr kiya, jaha Rohan ko bhi ek ladki interview karne jati hai…mtlb jo bhi asli me ho raha, wo use apne next episodes me likhta hai…
Khanak: Diya…tujhe pata hai mujhe horror story se thora zyada dar lagta hai…kya pata ye logo ko stalk karta hai, aur fir jab man bhar jaye to maar deta hai
Diya: Khanak, yar kuch bhi mat bolo, Atharv ko koi nahi dekha hai, us ladki ke alawa, par unless Atharv use approach kiya hoga, hmko nahi lagta ki wo ladki Atharv ko dhoondi hogi
Khanak: aaye to the hm aunty ke haath ke bane aloo parathe khane, par tumne to mere hi dimag ka dahi kar diya
Diya: (sighs) Khanak, thora sa help chahiye
Khanak: (annoyed) help chahiye na tujhe, jao us interviewer ke ghar ki chaan bin karo ya larry se madad mango, ye kichdi wahi pakaya hai, tujhe bhi shauk hai to jao dono milke pakao, mujhe to aloo ke parathe khane the
Khanak ki baato me hamesha dam rehta hai, chahe wo aloo dam ho, ya kaafi bada clue, jo ki ye baton baton me hmko de gai…hm us interviewer ke messages check karne lage.. ..
Atharv inkwin ke alawa kisi bhi platform par nahi tha…ye hmko aur larry ke file, dono ko pata tha….to use approach karne ke liye wo sabse pehle inkwin pe comment ki hogi…. saath hi saath un episodes ko wapas se padhne lagte hai jinme interviewer ki story thi …aur.. hm sahi the, us interviewer ke account se kaafi sare comments the, although koi fan to nahi lag rahi thi, par milna chahti thi, ho sakta hai use apne blog ke liye contenr chahiye hoga.
Shuruaat ke episodes me hi Rohan kehta hai ki use interview ke liye kaafi messages aa rahe the, inkwin par..mtlb jaise jaise wo message kar rahi thi, waise waise Atharv apne next episode me update kiye ja raha tha…Khanak sahi thi, ye apni kahani ke liye stalk to kar raha tha
Par episode pe interviewer ki entry 3 july ko hui thi, episode ke hisab se interviewer use inkwin par 3 july ko sabse pehla comment ki thi…par asal me inkwin pe to uske comments 4 july se hai
Us din ka comment delete kar diya hoga? (context is..ki Diya ko nahi pata ki Atharv pehle character create krta hai..fir similar insaan mil jaaye to usse associate kr deta hai..naki directly kisi vi insaan ko stalk krta hai..aur agr koi na mile to wo character fictional hi continue hota hai)
Diya: Khanak ek request hai, aloo paratha se leke pizza sabkuch milega, mere taraf se grand party
Khanak: nahi khana
Diya: kyu nahi, abhi to khana tha
Khanak: tumpe bharosa nahi hai, tumara kaam bhi kuch waisa hi hoga
Diya: kuch zyada nahi, bas sare episodes…wapas se padhne hai
Khanak: Kyaaaa! Oye, tere jaisa pyaar ka bhoot nahi chadha hai mere pe,
Diya: aur saath saath case studies bhi follow karna hai
Khanak ko dekh ke lag raha tha ki aaj mera antim sanskaar kar hi degi, par wo to Khanak hai, thora rerquest karne ke baad, maan gayi
Hm dono total episodes ko half half divide karke padhne lage, jab galti se padhte padhte khwabo me doob jate, to Khanak ki commentary reality me wapas la deti, novel isliye akele me padhna chahiye…hm sare ghatnao ko note karke parallels draw karne lage, har ek choti cheez, naye character ka introduce hona, usse related cheeze aur last me..us character ki maut, aur FIR ki dates.
Har ek character, sabse pehle bakery owner ki maut, jo ki Rohan aka Atharv ki girlfriend bhi thi, interviewer, aur saath hi jitney bhi aisi ghatnaaye hui hai. Dheere Dheere alag alag dots ko join karte ja rahe the, har ek paheli sulajhti ja rahi thi…kuch to samajh aa raha tha..’kuch’ nahi, almost sabkuch
Diya: (screams) sabkuch samajh me aa gaya! Sabkuch…(excited, perplexed, sighs)
Diya: Khanakkkkkk
Itni Khushi jaane kitne time baad mil rahi thi, hm khushi se chikhte chillate Khanak ki taraf dekhe to wo…so rahi thi? Kharate le rahi thi?
Usse ek episode do baar padha ni gaya, ise ye boring lag raha tha?Diya: PaRtY cAnCeL!!!
Hm Khanak ke kaano ke saamne zor se chillaye
Khanak: (gets up immediately) (speaks in sleepy voice)
Khanak aankh ragadte heu boliKhanak: haaa, aaloo ke parathe aa gaye? Accha, kaha hai?
Diya: Khanak stop kidding yar…surprise to ye hai ki sab kuch solve ho gaya hai!!
Khanak: mai to tujhe pehle se janti hu, tujhe bade bade maths ke sawal solve karne me itni khushi kabhi nahi hui, aisa kya pata chal gaya hai?
Diya: usse pehle, mere paas ek plan hai
Khanak: nahi, yahi ghar par order kar lenge
Diya: Waisa wala plan nahi, Atharv se milne ka plan
Khanak: Are behennn, jaha dekho waha Atharv, ye hawa me rehne wala insaan na hi meri pet bharega aur na hi tujhe exam pass kar-…Atharv se ‘milne’ ka plan? Ye kya bol rahi hai subah subah?
Diya: waah, ise dekho, pehli baat, aap maharani shaam tak so rahi thi, abhi subah nahi hui hai…aur ha, suno
Diya: Atharv pehle ek kalpanik character ko apne story me introduce karta hai, Wednesday ko ya Sunday ko, aur fir agle din wo apne character se milti julti insaan ko dhoondta hai, agar wo use na mile, to wo baaki authors ki tarah apni character aur story ko kalpanik rakhta hai, par agar use waisi milti julti shaksh mil jaye, to wo use hi wo character samajhne lagta hai, like..usi se us character ko associate karta hai…wo use stalk karna shuru kar deta hai aur us insaan ke harkato ko parakh kar, apne story me us character ki development karta hai, mtlb wo character ka development us asli insaan ke hisab se aur kalpanik, dono hota hai.
Ab Atharv ki story to thriller hai.. to jab bhi story ke hisab se tumhari pehchaan me koi marta hai, Atharv usi din, kareeb chaubees ghanto me, us asli insaan ko bhi maar deta hai, taaki uski story poori sach sabit ho, poori tarah se relatable aur reality jaisi
Khanak: Utna samajh to nahi aaya, par ye sab sunke kaafi dar sa lag raha hai
Diya: Are Khanak, isme darna kya, wo bhoot thori hai, wo bhi to insaan hi hai
Khanak: insaan nahi janwar hai, murderer hai Diya
Hm Khanak ki baton ko aadha ignore karke, use samjhane ki koshis karte hai
Diya: Itna samajh lo, ki Atharv apne story me ek character banaya tha jo Rohan ko kaafi message karti hai interview ke liye, uske ek din baad asli me wo interviewer Atharv ko interview ke liye kaafi messages karna shuru kar deti hai. Atharv ko lagta hai ki ye interviewer hi wo character hai..ab use aisa kyu lagta hai, ye hmko nahi pata…isliye Atharv ke book me us interviewer character ka zinr 3 july ko hua…par asal me wo interviewer Atharv ko message 4 july ko ki thi..inkwin par.
Atharv interviewer ko stalk karna shuru karta hai, interviewer jo bhi karti hai, jaise Atharv ko kaafi messages karna, same cheez wo apne next episodes me mention karne lagta hai, aur aise hi hota hai uske character ka development, kahani aage badhti jati hai, interviewer uski interview bhi leti hi, balki Atharv use lene deta hai, aur jaise hi kahani ke hisab se us character ki maut hoti hai, Atharv agle chaubees ghanto ke andar asli interviewer ko bhi maar deta hai
Khanak poori tarah se plan samajh gayi thi, use pata tha ki hm is baat ko leke kitne serious hai, par wo poori tarah se mere is plan ke against thi. Subah jab college gaye to sabhi ek hi question pooch rahe the, aur in fact teacher bhi…Kiran ki absentism,“Kiran kaha hai?”
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mystery / ThrillerDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...