9. Larry Theek To Hai Na

2 2 0
                                    

Ridhi di: Diya, Diya, ye kaise kaam kar rahi ho? Theek ho na tum?

Diya: Ah, ha, Ridhi di, wo nahi kuch nahi, hm ise wapas se theek kar dete hai

Ridhi di: Agar tumhe accha nahi lag raha to day off le lo

Diya: Nahi, nahi, I’m alright

Ridhi di: Theek hai

Mera mental state to sahi me stable nahi tha, I was hurt, isliye nahi ki wo mera message nahi dekha, balki isliye ki hm apne dost ko naraz kiye, choti moti baat karke nahi, use bina soche samjhe accuse karke, usne kabhi aisa nahi kiya jisse hmko bura lage, hmesha encourage hi kiya, aur meri baari aayi, to hm use disappoint kar diye

Jaane anjane me mere se ek customer ki choose ki hui kurti haath se gir gayi

Customer: ye ye kya kiya, are you out of your mind, maine ye kurti itni der baad select ki thi

Are yar, absent mindedness, kya kar rahe hai hum, everything that happened last night is just taking a huge toll over me

Hm zldi se wo kurti utha ke use alag rakh dete hai

Diya: I’m really sorry ma’am, I’ll get you another one

Customer: what another one, mujhe to yahi pasand thi na? ab tum dho ke lao ya jo bhi karo, I want this one
Ye pagal hai kya?

Diya: Ma’am I mean, aapko same ditto kurti ki replacement mil jayegi, you don’t have to worry. I sincerely apologise

Customer: nahi, nahi I don’t wear replacements, I liked this only
Diya: ha to aapko yahi milegi, bas ye nahi milegi

Customer: you’re saying the same thing girl, apne authority ko bulao, kaha we wear elite branded showroom hua karta tha aur ab kaise kaise log ko rakh liya hai

Diya: ma’am

Bas, mera muh khulne hi wala tha, jwalamukhi nikalne hi wali thi ki koi hmko peeche hata diya, jaise lays khake lays ka packet pass kar raha ho

Aman: Excuse me, aapko authority se baat karna tha?

Oho, to eid ka chand wapas aa gaya, Aman and authority…ye to do din pehle staff tha

Aman: Ma’am aapko dekh ke laga nahi ki aap is collection se kapde kharidengi..I  mean I don’t wanna judge..par just expected something higher

Customer: ah, wo, wo to isne jo dikhaya, mujhe laga yahi hai, best collection

Aman: ye, ye nayi nayi aayi hai, kindly excuse the mistakes, I know its quite grave, but a person like you must be knowing, nothing is better than forgiveness

Customer: yes, right..theek h to premium collection kaha hai

Aman: wo ye staff dikhaegi na, premium collection, pehen ke, aapki model banke

Diya: (shocked)what the…aaj to hm isko kuch bole tak nahi, pareshan bhi nahi kiye, kis baat ka badla le raha…

Aman as usual aaram se sofe pe baith ke chill marne lagna lagta hai, beech beech me mera condition dekh ke has bhi raha tha, jaan bujh ke har kapda reject kar raha tha,

Diya: ma’am ye bahot sundar hai, iske patterns to dekhiye, bilkul Mughlai design hai

Aman apna ignorant suggestion deta hai

Aman: ye haathi? pattern hai? Ye itna sara Darwaja? Ma’am raziya sultan queen regent jaisi hai, queen consort nahi hai, Lakshmi bai hai, ahilya bai hai, rani chennamma hai, kuch rani jaisa dikhao

Diya: what nonsense, iski history acchi hai, fir aaya ek idea

Diya: ma’am, I think, aap kaha model, aur hm there staff, in designer kapdo ko hm bilkul Justice nahi de pa rahe..ye agar aap pehne aur Aman sir jaise intellectual human being review de to aapko ni lagta, wo behtar hoga..like inhone kaise jhatt se aapko bata diya, kaun si collection designer hai aur kaun local…to inse hi judge karwai na, aise bhi ye

Ham Aman ko dheere se laat mar kar kehte hai

kaafi, free baithe, hai na Aman sir?

Is nirlajya prajati ko hm aankh maar ke nikal jate hai, jaise ko taisa
Par door se Aman ki halat dekh ke bahot maza aa raha tha, wo model use pareshan hi kar di thi, Bechara tareefo ka pull bhi band de par wo har kapda reject kar de rahi thi, itna ki tareef ke shabd bhi kam ho gaye honge

Hm door aake thora aur search karte hai, mall ka wifi tha aise bhi, internet full vande bharat ki speed se chal raha tha, kabhi tez, kabhi mast wala lag.. wahi Silsila..hashtag accusational blogs…kuch der baad ek proper site mila..ek blog..ek interview blog..jisme Atharv kuch kaafi important sawalo ka answers diya hai…par use to koi janta nahi…jaanna to door kisi ne abhi tak dekha bhi nahi…ek ladki ke alawa…wahi blogger…interviewer…are yar..wo blog hai ye….Kya cheez ho tum Atharv…jitna defend karna chahe, pasa ulta palat jata hai…interview me Atharv ke answers kaafi chote, limited the, kaafi soch samajh ke diye hue answers, na zyada na kam. Par inme kitni sacchai thi, wo Atharv hi bata sakta hai…par iske questions targeted to nahi the, wo aisa kyu karega..kuch saal pehle kaafi FIRs darj hue, karvai hui, par koi thes saboot nahi mila, aur wo FIR darj karwane wala tha larry. is interviewer ki maut ke baad larry gaya tha police ke paas, to police ne kiya kya. Date match karke pata chala, usi din se Larry equilite coaching classes join kiya tha.

Ridhi di: Diya, ye kya chal raha hai subah se, agar kaam nahi karna to off lena chahiye na, itne customers hai, kuch nahi karo aur paisa mile, aisa bhi to nahi hota na

Hm wapas se maafi mangte hi, ki fir se panauti aa pada

Aman: Riddhi, sabka mood kharab hota hai kabhi kabhi, do minute rest karne do use, baaki wo kaam to kar hi rahi hai na

Riddhi: ha, sorry Diya, tum aaram kar lo thora

Riddhi di mere karan overwork kar rahi thi, jayaz hai gussa aana, aaj bahot bheed thi, aur aaj hi mere saath…khair

Diya: Thank you (hm Aman ko Dheere se kehte hai) do do baar help kiye isliye

Aman: Kuch bhi, maine ye sab tumhare liye nahi kiya, employees fresh rahenge tabhi revenue badhega, ek customer sambhla nahi ja raha tumse, mujhe unemployed bolne chali

Hm aage aake bolte hai

Diya: oh, to tumhe wo dialogue abhi tak yaad hai, andar tak laga hai, lagta hai, papa shares nahi de rahe kya?

Aman aur bhi aage aake bolta hai

Aman: sach batau to, designer kurti se zyada tum mere isharo pe naachte hue kaafi sundar lag rahi thi

Diya: ah, aur hm bhi sach bataye to, us model ke peeche lattoo jaisa ghoomte hue, tum bhi bahot handsome lag rahe the

Diya: Riddhi di, hm doosre floor pe ja rahe hai

Atharv ke baare me ek hi insaan tha jiske paas sabse zyada information thi, jo police tak ke paas gaya tha, jo FIR darj karwaya tha, aur equilite coaching classes, maybe, underground hua tha, Atharv se chupne ke liye ya fir log jo Atharv ko bura bana rahe apne kaam ke liye, unse chupne ke liye…larry kaafi kuch chupa raha hai…aur ab wo ekdm se gayab hi ho gaya…bas aakhribaar…hm Atharv ko fir se message karte hai
Atharv, Larry theek to hai na?
Kuch bhi ho, Larry kuch to bahot bada cheez janta hai, kuch to bada kar raha hai, aise musibat me use nahi chhor sakte,

Kuch der baad inkwin wapas khol ke dekhe..
Atharv message ko seen kiya hai..
Larry ka naam sunke

Tumhari Pehchaanजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें