7. The Red File

2 2 0
                                    


Log subah gym jaate hai, par hm subah sabzi mandi ke sair par nikalte hai, subah subah sabzi saste me mil jaati hai na, isi bahane long walk bhi ho jata hai. Subah subah mol bhao karke dimag kharab ho jaata par challenges makes you stronger, to theek hai. Wapas aake sabzi ghar pe rakhna tha aur direct college ke liye nikalna tha. Ekdm timely sab kuch ho raha tha, par college ke liye aaj auto hi nahi mil rahi thi, jo bhi aa rahi thi sab bhari hui, kitna struggle hai. Kaafi der wait karne ke baad finally ek auto aaya. Auto ek, seat ek, ise kehte hai, destiny.

Thori door pe passengers bhi utar gaye, par ek passenger ki koi file auto me hi reh gayi. Uncle auto start kar hi diye the ki unhe rukwana pada
Auto wala bhi irritate hoke bola, are madam ji, subah subah bina wajah auto rukwana subh nahi hota hai, boni ka waqt hai

Diya: Are uncle

Hm wo file uthaye aur auto se utar ke dekhne lage, par pata nahi wo insaan kis lightening speed se nikal gaya

Diya: Dekhte hai uncle, kaise irresponsible log hai, ye file kitna important hoga.

Uncle apne dhun me bole, are ye file zaroori nahi hogi, par boni zaroori hai, aap zaldi baithiye warna hm chale

Diya: Theek hai, baith rahe hai, ek kaam kijiye, aap ise aage rakh lijiye..are wo box steering ke samne jo hai…ha wahi..

Uncle: Madam usme meri Priya ki photo hai

Diya: Uncle thora sa side karke rakh dijiye

Thori der ke baad jab har taraf nazar dauda kar hm bore ho gaye tab nazar saamne us file par padi, abhi tak hm dhyan kyu nahi diye, red file jispe stars bane hue hai

Diya: Uncle wo file wapas se dijiye
Saamne larry ka picture, kaise nahi dhyan diye, aur Larry dhyan kaise nahi diya, are bagal me baithe the, aur itna important file aise auto me kaise chor sakta hai, kabhi khud ko gayab kar do, kabhi file ko gayab kar do, kaisa insaan hai..aur isme to Atharv ke records hai na

Diya: Uncle, ye file hm rakh le rahe hai, jaate time police station me de denge

College ke gate kya ghuse, pata tha, koi to scene ho hi raha hoga. Is college ko movie screening area ki zaroorat hi nahi hai, kuch do chaar log hi kaafi hai daily drama dikhane ke liye. File ko bag me rakhte hue hm bhi us crowd ke samne pahuche, Khanak already waha khadi thi. School me late aane par teachers daantte hai, college me wo role friends nibhate hai. File to hm koi police wolice ko dene wale the nahi, agar larry nahi to uski file Atharv ke baare me janne me madad zaroor karegi.

Diya: Khanak! Kya kar rahi hai yaha, tumlog bhi is herd me shamil ho gayi ho kya

Khanak: Video bana rahe hai, saamne dekho, Kiran fir se kisi ki khatirdari kar rahi hai, ye ladki hi Aman ko jaake sab kuch batayi thi us din..Kiran aur..us ladke ke baare me

Diya: Khanak, tum yaha khade hoke story suna rahi ho, pagal ho kya, ye log use peet peet ke khoon nikal diye hai aur tumlog khade hoke tamasha dekh rahe ho?

Khanak: Aur kya kare? Mujhe uski jagah lene me koi interest nahi hai, aur na hi kisi aur ko, us din tum aage badhi thi to maar mai khayi thi

Diya: Khanak..yar..ye kaise baat kar rahi ho..nahi…

Khanak: Diya ye video tumhare us jhoot ko sach banana ke liye hai jo us din tumne Aman ko bola tha, agar abse Kiran kuch bhi karegi to hm use dhamka sakte hai ki ye video viral kar denge, ek baar viral ho jaye fir uske parents ko bhi pata chal jayega ki unki pari college kisliye aati hai. Tum soch lo, kiske side ho, ise bachao aur har din koi aur ladki is halaat me payi jaygei

Khanak ko doosra option batane ka zaroorat hi nahi tha, mere sare morals, sare usool, kisi kaam ke nahi aaye, Khanak jo bhi bol rahi thi, sahi thi. Aaj pehli baar hm khade rahe, galat hota hua dekhte rahe, kisi ko pitta hua dekhte reh gaye. Pata nahi, ek taraf gusse se aankh me aansu aa rahe the, ki hm aise nahi hai, par doosri taraf ek ajeeb si sukoon mehsoos ho rahi thi, mere sapno ko sabne aise hi zakhmi kiya tha, jab hm khushi se apne likhe hue stories apne family ko pdhane jaate ki tareef hogi, par koi dhyan tak nahi deta tha, badle me poochte the ki padhai chal rahi hai ya bas aise hi timepass kar rahi ho, ye sab me waqt zaya karna band karo aur kuch family ka bhi socho, badi behen ko dekho bade bhai ko dekho, par hmko koi kyu nahi dekhta? Mere andar jhakna kya itna mushkil tha? Mere sapne timepass kaise ho sakte hai? Jo dard is ladki ke aankho me dikh raha, wo to har raat hm apne mirror pe dekhte the, wo dard isse kayi guna zyada hota tha, jab tumhare jeene ke maksad ko hi cheen liya jaye. Hota hoga aur sab ke liye just ‘passion’, par koi aur nahi samajh sakta ki writing mere liye kyat ha, jise hm nurture kiye, apne mehenat se bada kiye, saath me bade hue, ek doosre ko Khushi diye, jo Khushi kahi aur nahi mil pati
aur ab sab bhool ke wo family ki obedient ladki ban gaye hai, par ise dekh ke sab kuch jaise wapas se yaad aa gaya…phir bhi..nahi

Nahi, Nida! Choro ise, kya kar rahi ho tumlog! Kiran tumhe yaad nahi hai us din kya bole the, ise choro

Kiran door hat ke meri taraf dekhti hai

Kiran: Yaad to sab hai, par ye hamara personal matter hai, tumhe isme participant banne ka koi zaroorat nahi hai

Diya: Tum..crazy ho..dimag kharab hai tumhara, hato Nida, tum bhi,
koi baat nahi, utho..utho

Kiran mere shirt ka collar pakad ke khud ki taraf zor se pull karti hai
Kiran: Diya, crazy to mai hu, par tum bhi angel nahi ho, simple hai, ya fir tum peeto gi, ya tum pito gi, choose, yahi life hai, choices that hurts and breaks and moulds and wrecks

Aisa lag raha tha jaise in kuch dino me hm insbke andar jhaak ke dekh rahe the, Kiran ke chehre pe wo dar wapas se dikhai de raha tha, uske baton se pehli baar hm sehem gaye, kyuki uske kahe har ek shabd me kahi na kahi jheli hui sacchai thi, wo mere baaho ko kas ke pakdi to thi, par hmko hi kuch samjhana chah rahi thi, chetawni de rahi thi ya madad ki pukar, jo bhi tha, koi mukhauta nahi tha, uske gusse me sacchai ki boond thi

Khanak hmko Kiran se chudhwa ke kehti hai

Khanak: Pata hai Kiran, Diya ko philosophy samjhane ka time gaya, kyuki jo video mere paas hai

Diya: (whispers) Khanak nahi, chalo

Khank: Par Diya video

Diya: Chalo

Khanak: Kya chalo Diya, jo kiye tumhare liye kiye

Diya: Pata hai, par kaafi kuch batana hai, Kiran ko baad me dekh lenge, kaafi lambi story hai batane do

Khanak: Theek hai, popcorn leke aate hai

Diya: Yar serious baat hai

Khud ke saath, ye class hm Khanak ko bhi bunk karwa diye, aur ham dono ground me chale gaye

Diya: Khanak, Khanak, kaha thi yaar tum, kitna kuch ho gaya, mtlb kaha se shuru kare..larry job chod diya hai, last director’s chamber se nikalte hue dekhe, fir auto me jaha wo hmko andekha kar diya

Khanak: Wo tujhe ghost kar raha hai? Uski itni himmat? Meri dost ka dil todega behaya, badtameez, besharam, kuda ka dabba, phati hui chadar, gali ka nali, jhanni ka

Diya: Khanak, kya bole ja rahi hai? Ek sec, wo aur hm dono bahot alag hai, door door ka Rishta nahi hai..baki hm to isliye chintit hai kyuki wo…wo Atharv ke bare me jo bhi bola tha..wo thora thora sach lag raha hai…mtlb manna to hmko bhi nahi hai..pr…aur pata hai..us din to wo coaching class ke samne mila tha as a lawyer na, to wo itne naami businessperson ke saath aur hamare college ke director ke saath kya kar raha tha…aur fir job chod diya..aur tujhe pata hai..wo auto me apna itna important file bhool gaya tha, jaha hm baithe the
Khanak: Kya pata wo file, tumhare liye chhor gaya ho…lekin Diya ye sahi nahi hai, itna kuch ho jane ke baad tu isme abhi bhi involved hai.

Diya: Atharv..Atharv ko hm message kiye the..i mean kuch din se kar rahe..aur wo seen bhi kar raha…kuch smaajh nahi aa raha, dare ya Khushi manaye, khoje ya door rahe..aur pata wo interviewer

Khanak: Pata hai, jab larry wo suna raha tha, tb mai wo interviewer wala episode padh chuki the, aur ye bas ek hai, kaafi rumours hai, jo mai nahi chahti ki tu jaane, isliye keh ri ab ruk ja..please

Tumhari Pehchaanजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें