Khanak: Hm kaha ja rahe hai Diya?
Diya: are, jungle thori na le ja rahe hai, rasta rasta pata hai, itna tensed to mat hi ho
Khanak: Ye gali gali jo tu le ja rahi hai na, wo jungle se kam nahi hai
Diya: are wo to google map ke karan, aise hi raste batata hai
Khanak: Google map? Mtlb tujhe khud pata nahi hai ki hm kaha ja rahe hai
Diya: pata hai….par poora pata nahi hai…aage dekho, aa gaye
Hm is poori trip me aaj ki episode padhte padhte aa rahe the, Atharv apne episode me us café meet ka acche se zikr kiya tha, jo baatein hui sabki, par uske baad…jo waqt hm dono ne bitaya, wo lights, wo gifts, wo pehli dost..un sabke baare me..kuch nahi likha..par koi baat nahi…kuch to likha, apne novel me, mere baare me, the café girl
Khanak: Aruna bakery shop, aaaa, sorry yar tera birthday kaise bhool gayi, abe yarr, mai bhi na
Diya: aree, tum sach me mera birthday bhool gayi, aaj nahi hai
Khanak: wahi to, tera birthday kaise bhool sakti hoDiya: kab hai fir?
Khanak: ah, kisi Saturday ko
Diya: 12 august Saturday hai?
Khanak: Dekh, tujhe khud nahi pata
Unknown staff: Ma’am, aapka order?
Bakery shop se ek staff hamari taraf aati hai aur Khanak ka food mode yu on ho jaata hai.Khanak: do burgers, do pastries, do ice
Diya: Sir, hame is bakery shop ke owner se milna hai
Hm beech me interrupt karke kehte hai
Unknown staff: theek hai, aap andar aa jaiye
Khanak: Hm khaane nahi aaye hai?
Diya: Nahi
Khanak: Kya yaar Diya, kabhi to sahi kaam ke liye aa jaya kar
Bakery andar se kaafi sundar aur pyara sa tha, light blue colour me walls aur kaafi saare buns, pastries painted the, chota si bakery hai, par crowd kaafi zyada hai, Aruna ke rehte hue to kaafi kuch alag hoga, bahot time ho chuka, par yaha kuch to purane staffs honge hi
Unknown(owner): ji bataiye, mai hi hu owner
Diya: Ah, namaste, darasal hm Aman ki dost hai
Owner: Oh, ma’am, gagan bhaiya, ma’am ke liye kuch laiye
Us Aman ke liye itna respect!
Diya: Nahi nahi, hm bs kuch baat karna chahte hi, ye bakery abhi bhi Aman ke papa ka hai kya?Owner: Ji, paanch saal pehle, wo is bakery ki responsibility hamko diye, par iska sara revenue donate hota hai
Diya: Accha, aapsab to bahot accha kaam kar rahe, Aruna di ki tarah, wo bhi bahot inspiring thi
Owner: Ji, gagan bhaiya to hamesha unki tareef karte rehte hai, abhi bhi us bacchi ke kisse sunate hai
Diya: Kya hm bhi gagan uncle se mil sakte hai?
Owner: Theek hai
Hm tabtak is bakery ki ek picture click kar liye, agar Aman ki baat sach hai, to Aruna, Aman ki behen zaroor Atharv ki pehli girlfriend hogi, gagan uncle ho sakta hai unke baare me kuch bataye
Khanak: Diya tujhe saari baat khud sochni samajhni hai to mujhe kyu bulai…internships ka forms bhar rahe hote abhi
Diya: tumhe to…aise saath dene ke liye bulaye hai
Gagan bhaiya: Are beta, kaafi saalo baad hmko koi aisa mila jise humri bitiya ki kahani sunna hai, hm to daude daude aaye
Uncle to kaafi emotional lag rahe the, par har ek kahani sunne ka time to mere paas bhi nahi tha, fir bhi uncle ke aankho me itni umeed, umang aur Khushi thi, ki hm baithe hi reh gaye, ek ghanta beet chuka tha
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mystery / ThrillerDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...