18. Three Golden Words

7 2 0
                                    

Poori shaam TV chalti rahi, jo shaks duniya ke saamne nahi aana chahta tha, wo desh ka breaking news ban gaya tha..meri aankhein lag gayi thi..raat me achanak meri neend khulti..hm online news dekhte..par koi update nahi hota..har din ka yahi silsila tha..hm college jaana band kar diye the..Aman ke involve hone se khud college me police aate rehti thi..sabkuch badal sa gaya tha….larry bhi us din se gayab tha, use to Khushi ho rahi hogi..ki jo kaam wo itne time se karna chahta tha, wo Aman ne kar diya…par hm? Mera kya…bs Khanak ka call aata tha, baaki time bed pe guzarta

Khanak ko hm kaafi dino se samjhana chah rahe the ki use kuch nahi hua hai…koi ghostly experience nahi hai….jo bhi kuch ho raha tha...hm ye sab ke liye bahot chote the..aur ho sakta hai Khanak par isi cheez ka asar pada ho….isliye hm aaj uski baatein maan gaye the…sabkuch bhool kar, hm uske saath ghoomne chale gaye, bus se alag alag jagah ghoome..although is city me zyada kuch nahi tha ghoomne ko..par jo bhi tha..hmsb ko thora relax zaroor feel karwa diya

Khanak: Yar Diya, itne din se tu mall nahi gayi, tujhe fire kar diya kya un sab cheezo ke karan?

Diya: Kya ‘un sab’? Sabkuch itna straightforward nahi hota, itna aasaan nahi hota, kahani ki sirf ek pahlu nahi hoti

Khanak: Diya bas kar de yar, Kiran ke murder ke baad bhi tu ye sab nahi bol sakte for god’s sake

Diya: please

Khanak: Kya? Tujhe sach sunne me dikkat ho rahi hai?

Diya: Nahi…I’m just confused..ki tumlog sab dikh raha par wo multiple murders nahi dikh raha jis karan se Atharv ki aaj ye halat hai…..he is not normal…uske tukde tukde kiye gaye hai…wo to kisi ko nahi dikh raha..wo kabhi khud ko Rohan smaajhta hai, kabhi Atharv…use khud nahi pata ki wo kya kar raha hai…he needs help, support, and nothing else..tum ek acche insaan ko wapas accha bana sakti ho..bas thori si madad karke. Hm koshis kr rahe the..par

Khanak: I’m done with this..ab hm uski baat nahi kar rahe

Khanak: Theek hai suno…bahot serious ho gaya. Mujhe kaam karna hai

Diya: Ok, jaao, hm nahi rok rahe tumhe

Khanak: Rokna hai na, mtlb saath chalna hai, tere mall chalna hai

Diya: Hm waha jana chhor diye hai

Khanak: Oh, uncle ki baat manni padi mtlb

Diya: Nahi..bas, aise hi

Khanak: Aur wolog tumhe fire nahi kiye? Mtlb ..tum ek aisi employee ho jise wo chhorna nahi chahte…so aaj, to compensate itne din, mai teri madad karungi

Diya: For real? (annoyed)

Thori der baad, hm mall me the, aur Khanak ek customer ke saamne..itne din se fire to nahi hue the, par aaj zaroor ho jayenge, aur hona bhi tha, to hmko bhi koi dikkat thi nahi

As expected, Khanak Dheere Dheere We Mall ke special kind of customers se pareshan hote ja rahi thi
Aur ek customer thi, jo kapde pe kapde liye ja rahi thi

Khanak: Apko ye chahiye?
Khanak ne poocha

Customer: Ah, ha ye lemonade..isi ki ek lighter shade dikhao

Khanak: Par ma’am, aapne to ye mangwaya na, lemonade? Yahi hai lemonade

Customer: Ah, nahi nahi, wo to mujhe iske lighter shade ka naam nahi pata tha, isliye

Khanak: To naam yaad karke aaiye na, ya phir pehle bol do ki colour palette dikhao..kitne upar se boxes utarne padte hai aapko pata bhi hai?

Customer: Excuse me, ye aapka kaam
Khanak: Huh, ye mera kaam hai? Diyaaa

Tumhari Pehchaanजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें