Khanak zaldi hi hmko ghar tak chor deti hai, aaj to saadhhe egyarah se classes bhi hai, par assignments to done hai. Time hote hi hm college ke liye nikal jaate hai, aur waha Khanak bhi mil jaati hai.
Aaj early aaye hai to socha kuch kaam bhi kar le, hmlog class ke liye nikal hi rahe the ki koi football se Khanak ke sir par kaafi zor se hit karta hai, sir sehlate hue Khanak neeche baith jaati hai. Hamlog ko already pata tha ki ye kiska kiya dhara hai, hm aage hi badhte hai ki Khanak hmko rok deti hai.
Aman: Are are, dosti dekh rahi ho inki, mujhe to samajh nahi aa raha kaun kise bacha raha
Aman, ye hai hmlog ke school ka top footballer, jisne kabhi apni talent sahi jagah lagai nahi, logo pe aim kar kar ke footballer bana aur bully bhi. Apne family connections ka full fayeda uthata hai, aur school ko sports me rank one pe bhi rakhta hai, to ise koi kuch bolta bhi nahi.
Kiran: Dobara try kar lete hai, fir pata chal jayega, kaun kise bacha raha
Ye hai iski feviquick, Kiran. Aur ye aayi inki poori toli, jinhe hm Egoist group keh kar bulate , ye hai saare so called seniors, ragging ke naam pe kuch bhi karte hai, jisme ek hamare english professor ki bhi beti hai, Nida
Nida: Koi inhe pareshan nahi karega!
Nida aisa keh kar Khanak ko uthne me help karti hai
Nida: Assignments do, aur niklo
Aman: Aaj goal post thora busy hai, soch raha hu, apne doosre goal post par hi aim kar lu, kyuki khelne ka man to bahot kar raha hai, kya kehte ho Amir? Ab practice nahi karenge to medal kaise layenge?
Diya: That’s it, Khanak chalo
Hm aage hi badhte hai ki Aman apne pair aage karke hmko gira deta hai, bataya tha na, iske talent kabhi sahi jagah kaam hi nahi aate. Puri tarah girne se Khanak to rok leti hai, par mere elbow pe scratches aa jate hai. Thora khoon bhi behne lagta hai par anyways, inse bhidne me time waste to nahi karna. Aur inke naam bhi yaad karne ke zaroorat nahi hai, bilkul bhi deserving nahi hai
Aman: Are mere goal post ko kaha le ja rahi ho, madam topper?
Aman mere usi elbow ko gheech kar apne cringe questionnaire start kar deta ha
Diya: Ah, ye kya ajeeb harkat hai? Ainda mere saamne aani ki na koshis mat karna, seniors, sharm nahi aati juniors se assignments maangne me? chalo Khanak. College me aake ye din nahi dekhna, complain to karna pdega
Khanak: Sahi bol rahi hai Diya,. Kaha Atharv jaisa ladka, aur kaha ye
Diya: Are, tum fir se ghus gayi na fastasy world me, waha attendance lagana band karo, chalo
Lunch break me hm apna mail khol ke dekhte hai ek baar, ki kahi koi job notification aaya ho, aur hm sahi the, pray karte hue mail khole par koi asar nahi hua, hm jo sochte hai uska ulta hi hota hai, reject kar diya, ye keh ki ke first year student hai that’s why not qualified, par reject hi karna tha to pehla bol deta, interview kyu liya? auto rickshaw ka paisa kyu waste kiya
Koi ni, accha hai, Larry the lawyer se chutkara mila haha…ahmm…kyu bola usne aisa….uff…
Khanak aake join kar leti hai, uska wahi chal raha, scrollingKhanak: Diya bro, ye usne, isne, kisi ne bhi, jo bhi kaha na, use ek kaan se sunte, aur doosre se nikal dete. Tu novel pe focus, nahi, seekhne pe focus kar, admiration as inspiration, not obsession
Diya: Thank you, Khanak ma’am, aaaa, what the, Kiran! Mobile pe coffee gira di
Kiran: Thank you Khanak ma’am nahi, thank you Kiran ma’am bolo, apologise karna tha na to tumhare liye coffee laye, par wo gir gayi..usme meri kya galti…intention dekho yar
Diya: Khanak ise bolo mere saamne se dafa ho jaye…bs switch on ho jaye mobile
Kiran: Tum juniors na bahot pachtaoge
Bhagwan ka shukr hai ki mobile ko kuch nahi hua, dobara restart karke khole to normal chal raha tha, dheere hi dheere almost har time hm tumhari pehachan ka episodes hi padhne lage. Uski ek ek shabd ab sundar lagne lagi, kind of I was craving for it, bina padhe man hi nahi lagta tha, Atharv jaise mere liye inspiration hi ban gaya tha, bilkul aisa hi story hamko bhi likhna tha, itna hi realistic, itna hi accha.
Isliye finally, hm bhi Inkwin pe apna writer’s profile bana liye. Aur shuru kiye apni pehli story ka write-up,hum kisi aur ki dastan likh rahe the, panne par parchai kisi aur bol par nach rahi thi, humsafar ke jism thode dhoondle dikh rahe the, tooti hui dil us ek jhalak ko taras rahi thi.
Atharv ke novel se kaafi kuch seekhte gaye, episode aane par episode padh lete the, aur subah me apni story update kar dete the, kabhi kabhi to ek hi episode ko baar baar padh lete, ab ye mat bolna ki samajh me nahi aata hoga thriller hai, hai hi itna interesting, har ek baar kuch na kuch seekhne ko mil jaata tha
agar ek baar, bas ek baar mil jaata na wo, to kuch zyada nahi, bas ek jhalak, door se hi sahi, apne inspiration ko dekh to lete.Call? Hello?
Tabhi udhr se response aata hai,Hello ma’am, myself Akansha from We Wear mall, you have been accepted as one of the staffs for the We Wear Sujagiri branch. You are requested to accept the role and join as soon as possible.
Diya: Sacchi? Thank you, thank you so much, love you a lottt, ah, I’m sorry, thank you
Thank you ma’am….pta chala call cut chuka tha, artificial intelligence wala call tha?
Hm sabse pehle Khanak ko call lagate haiDiya: Utha utha utha…Eeee Khanakkk, mall me part time job mil gayi! Wo vi We Wear mall me brooo
Khanak: Sizzz congratulations yarr..fable’s café se we wear me
Diya: are…As soon as possible bola hai, theek hai, to inhe bhi bata de hm kitne punctual hai, aaj hi join kar lete hai….par zyada desperation bhi show nahi karna hai, aaj accept kar lete hai aur kal join kar liya jayega.
Ghar pahuchne ke baad hm sbse pehle mummy ko ye khuskhabri diye, ab english hons kar rahe to mall me work karna practical experience hi hua, communication skills improve karne ke liye. Mummy bhi aakhirkaar maan hi gayi, aur coaching ka topic ghar se eliminate ho gaya. Fir hamne li chain ki saans. Seedha room me gaye aur mobile leke let gaye. Meri galti nahi hai, poori generation hi aisi hai, sorry not sorry. Inkwin kholne par dekhe kaafi notifications aaye hue the, par unme ek aisa notification tha jise dekh ke hmko bilkul believe nahi hua, nahi.
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mistério / SuspenseDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...