(angry) Kal jo hua wo hm bhule nahi the, although us mysterious guy ne bacha liya, pta nhi kaise, par is egoist group ki harkate din b din neech hote ja rahi hai.
Diya: Khanak, sare students ko yaha bulao, assemble karo, aaj hoga is egoist group ka redemption class
Khanak: Diya, teri tabiyat to theek hai na? Kisse bhid rahi hai?
Diya: Hmpe shak hai? Itna accha dialogue maare the, jaao karo na,
ab action bhi dikhega, aur gana gaogi tumKhanak: Par singer to tu hai, kaha meri karkas aawaz, aur teri basuri
Diya: are gaogi mtlb khushi manaogi, accha tum jao, zaldi jao
Khanak: Ha to maine bola tha?
literature lecture dene, tum writers ki yahi dikkat hai, har do second me ek metaphor phek deti ho, lo, dumb log catch kar
Diya: Show dekhna h ki nahi?Khanak: Ha dikhao
Diya: Exactly, unhe bula ke lao
Khanak muh banak e kehti haiKhanak: Faltu kaam mujhe hi deti ho, oh college wasi, (claps) may I have your attention please, dean ne notice bheja hai canteen ke samne assemble hone ke liye
Nida bhi Khanak ki announcement sunke aage aa jati hai aur has ke bolti hai
Dean kis baat ka party de rahi hai
Khanak bhi ekdm bina dare bolti haiKhanak: Tumhare fail hone ka…
Khanak k reply sunke Nida ke kaan se dhue nikalne lage
Nida: Apni dost ki tarah tumhara muh bhi chalne laga hai
Khanak is baar kuch nahi kehti hai aur mere paas aa jati hai
Aman aur Kiran hmko dekh ke wapas class jane lagte hai, par hm unhe rok lete hai, ye log to special guest hai, inauguration to inhi ko karna haiKiran meri taraf bina dekhe kehti hai, Kiran: Ye kya karna chah rahi ho? Aur tum sb muh kya dekh rahe, padhai nahi karna kya tum sab ko, college kis liye aaye ho?
Khanak Kiran ko lightly push karke kehti hai, huh, look who’s talking, jo khud dinbhar college aane ke bawjood class nahi karti
Aman apne dosto ko ishaara karta hai aur unme se do log Khanak ke dono haathon ko zor se pakad lete hai, sab kuch itna zldi ho raha hota hai ki kuch samajh hi nahi aata…
Aman ki ek aur dost Khanak ko zor se punch karti hai.mere koshis karne ke bawjood wo log Khanak ko..(tremble) Khanak ko pitne lagte hai….pata nahi tha ki ye log aisa kuch bhi karenge…
Shuruaat me to Khanak ko bachane ke nakamiyaab koshis kar rahe the, par fir dimag kaam karna shuru kiyaDiya: Aman inhe rukne kaho warna hm Ki-Kian ke papa ko ye bata denge ki kal mall me tod phod Kiran ne kiya tha, tamasha Kiran ne banaya tha, tumhare papa k lakho ka loss Kiran ne karwaya tha
Kiran ye sunke sehem jaati hai,
Kiran: tum jhoote ilzaam kaise laga sakti ho, Aman, inhe roko, Aman please, roko inhe..ye kya bol rahi haiAman Kiran ki baat maankar unhe rukne ko kehta hai, isse ek baat smjh aa gaya tha, Kiran jaisa dikhaati hai, waisi hai nahi, koi to baat hai, apne papa se itna darti hai, dar to isme bhi hai, aur us dar ko chupane ki poori koshis karti hai, doosro ko chot pahucha kar
Diya: Kal jo tum cheeze neeche girai thi na Kiran, hmko pareshan karne ke liye, use cctv me dekh ke ye bilkul lagega ki tumhari harkate, bina kuch soche uncle ka lakho ka loss karwane ke liye perfect fit baithti hai…ab kyuki sb log yaha tamsha dekh hi rahe the, to kyu na ab tumlog ka tamasha bhi dekhe?
Diya: Aman sabko wapas bulayega, aur tum sab Khanak se maafi mangoge
Maafi mangna inke liye bahot badi baat thi, abhi tak aisa kisi ne nahi kiya tha..maafi mangwana to door, koi inse ankh tak nahi milata tha
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Misterio / SuspensoDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...