Hm pareshan ho kar ghar ke liye nikal gaye, Larry fir se gayab ho chuka tha, Aman ke dimag me kya chal raha, kuch pata nahi tha.
Ghar ghuste hi ki pehle se hi bahot bheed lagi thi, mera hi ghar haina?Hm wapas mudne hi wale the ki mummy ki aawaz aayi, kuch der baad pata chala ki meri novel overnight famous ho gayi hai, ghar par sabhi ke chehre par Khushi dekh kar hasi aa rahi thi. Hm kisi tarah apne room chale gaye. Apni novel khol ke dekhe, to kaafi saare public comments Atharv ke the, uske ek comment se meri readership bahot badh gayi thi. Shayad kal ke mayoosi ke karan, wo aisa kiya…par mere liye..public comment.
Readership badhi thi, to kaafi unwanted threats bhi the jinhe report karne me hmko ek minute nahi laga. Bahar jaane ka koi rasta to nahi tha, inkwin ki popularity itni thi, ki media ghar aa chuki thi…isse pata chala ki writing ki importance market me kitni badh gayi hai.
Par ab gate se to ja nahi sakte, to hm apni khidki khol kar kisi tarah bahar nikalne me kamiyaab rahe. Batana tha, Atharv ko..ki use thora savdhaan rehna hoga…pata nahi Aman kaisa step uthayega..jo bhi hai, hai to teenager hi, gusse gusse me kuch bhi kar sakta hai. Call karne ki koshis kar rahe the, par Atharv call hi nahi utha raha tha.
Jaha tak uske ghar ka rasta pata tha, hm kaafi door tak to aa gaye, par fir kaha jana hai, pata nahi tha..hm pareshan hokar bagal wale thele ke saamne baith gaye. Ek bakery buiscuit order kar liye aur wahi, chinta karna shuru
(Shauq) Door se ek gana baj raha tha, bahot pyara, wahi sunte sunte gehri soch me pad gaye, kis chaurahe par aa gaye hai, agla kadam kya hoga, kiske liye, aur kaisa hoga?
Dheere dheere gaane ki aawaz badhne lagi, hm peeche mud kar dekhe to Atharv khada tha..na wo kuch kaha, aur na hm..bas khushi thi ek saath hai….wo yaha kaise…mere peeche ek saaye ki tarah...pata nahi
Atharv: Ms celebrity, hm to aapke kaam ke kayal hai, kya aap is fan ko ek autograph dengi?
Diya: (concerned) Atharv, kahi door chale jaao, kuch dino ke liye
Atharv: Kiski baat kar rahi ho?
Wo confuse hokar bola, ye to bilkul Khushi ke mood me tha, ise jaise kuch pata hi nahi ho kya kya chal raha, hamesha, duniya se door, befikar, jo accha lage, bas usi cheez se mtlb, jaise abhi is gaane se, pata nahi is lyrics ko sun kar khush ho raha ya mere se milkar (chuckles happily), par yahi cheez to Atharv ki acchi lagti hai
Diya: Atharv ye baat serious hai, please
Jitni koshis ho paayi, hm kiye, par Atharv ko koi farq nahi pad raha tha
Atharv: Celebrity kya bani, ki mujhe bhool gayi? Aur ye Atharv kaun hai? Pyaar se poora naam hi badal diya? Par I hope, celebrity banne ke baad bhi tumhari tulip ki pasand change nahi hui hai
Hm bas use dekhte reh gaye, sab kuch achanak se badal kaise gaya?
Diya: Rohan…ah tum to writer ho na?
Wo mere ha me ha milaya, par agar jo hm soch rahe wo sahi hai, to..Diya: Tum apni…book dikha sakte ho?
Atharv: Ha, kyu nahi
Wo apni mobile me sahi me inkwin kholne laga, aur…jab baar baar uske written books me Tumhari Pehchaan ka naam aa raha tha, wo pareshan ho gaya
Atharv: Mai, mai dikahta hu, wo yahi tha
Atharv bahot hadbada gaya, apne sir ko zor se pakad ke aankho ko zor se band kar liya, wo hmko dekhna chah raha tha, ya phir wo hmko aur is book ko saath me nahi dekhna chah raha tha
Hm ghabra gaye, chhal tha, par shaq ko hakikat me badalne ke liye tha, use samajhne ke liye tha, Atharav aur Rohan ek insaan the, par phir bhi ek doosre se anjaan the…kya ye Larry ko pata tha?
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mistério / SuspenseDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...