Ek pal ke liye laga tha, ki Atharv hi protagonist hai, wo Rohan me khud ko dekhta hai,
aur Rohan jaisa bhi hai, Atharv bhi waisa hi hai.
Shuruaat me to sabhi ne Rohan pe ilzaam lagaye, phir bhi kahi na kahi hmko laga ki wo kuch galat nahi kar sakta, par jab aage ke episodes padhe to Rohan ne us-us interviewer ko bridge se neeche gira diya.Ha, aisa hm bhi soche ki Tumhari Pehchaan ek thriller ‘story’ hai, asli nahi hai, par us din café me larry bhi ek aisi hi ghatna ka baat kar raha tha. Yaad hai, usne kaha tha ki ek blogger gayi thi Atharv ki interview lene, par us interview ke baad uska koi ata pata nahi.
Par us larry ke chakkar me kisi pe itna bada ilzaam to nahi laga sakte. Itne sare episodes padhne ke baad ehsaas ho raha tha ki logo ko ye story itna pasand kyu hai. Kya itna pyaar hmko bhi mil payega? Meri story ko bhi log pasand to karenge na? Ab Atharv ki tarah to nahi likh sakte, uske writing me to kuch aisa hai ki lagta hai har ek character ke life me jo bhi ho raha use nazdeek se dekh rahe ho, uske saath jee rahe ho, jaise hm bhi uske story ka koi chota sa hissa ho. Kya hm bhi kabhi aisa likh payege? Jispe itne views aaye, itne likes aaye, itne feedbacks itna comments aur…trending, (laughs, sighs, laughs, sighs)
Student: Are bhai, Diya, dekh ke chal yar
Diya: Ah, sorry, ab-
Student: Accha Khanak kaisi hai?
Diya: Better hai
Ye aise meri classmate hai, acchi hai bahot, kaafi help karti hai
Student: Tumlog complain kar rahi ho kya unki? Aise to teachers tak baat pahuch gayi hai par koi kuch bol nahi raha..
Diya: Complain karne se kuch nahi hoga, kal jo hm dekhe, lag raha tha baat itni choti nahi hai, aur agr Khanak karna chahegi to wo alg baat hai
Student: Ha…waise is saal k college trip announce ho gaya hai, tumlog jar ahi ho na?
Diya: Accha, kaun se state ja rahe is baar?
Student: Koi aur state nahi, isi state ka tour karne wale h hmlog, museums and all
Diya: Kya…accha chlo mere liye theek hai, any ways mall to chutti deti nahi..accha wo Kiran wala scene abhi bhi chal raha hai?
Student: Oho quote breach of privacy quote..waise ha, chal to raha hai, Aman bilkul off track rehta hai aaj kl, mtlb bilkul gusse me
Diya: Huh, wo uska daily ka hai, typical teenager, 2 gram self-respect me 90% ego…accha chlo hm chlte hai
Class me bilkul akela feel ho raha tha, kyuki ek acchi dost thi, wo bhi yaha nahi hai..teachers aa rahe the ja rahe the..wahi silsila chala kaafi der tak…aaj Khanak ki asal ehmiyat ka ehsaas hua, yar Khanak, (sing) hai kaha re tu! Itna boring..tabhi ek idea aayaDiya: Techie, tumhe apne kaam par kitna bharosa hai?
Student: Kya kaam hai?
Diya: Pehle batao, ye sab karte kaise ho
Student: hacks nahi batate, kaam kya hai?
Diya: Ek app hai, uspe ek account hai, track karna hai....if you don’t mind
Student: I do mindDiya: Yar, dost dost na raha?
Student: Mai kabse tera dost ban gaya, assignment to deti nahi hai
Diya: Uff, classmate classmate na raha, apsara ban gaya
Student: uff(laughs), jokes bhi cringe, theek hai, bata
Chlo ye kaam to ho gaya, agr Atharv track ho sake, to wahi sahi. Class chal hi rahi thi ki kisi ne btaya ki dean hmko bula raha hai..aur jaake, as expected, dean unki side le rahi thi, Aman Kiran aur unke group ki kartooto ko justify kar rahi thi, aur Khanak ke saath jo bhi in logo ne kiya uske baare me jaise inhe pata hi nahi, ek shabd nahi boli, ulta hmko hi suna rahi thi ki hm galat kiye, keh rahi thi ki hm juniors environment kharab kar rahe, specially Kiran pe targeted hate, mtlb kuch bhi? Itna one sided
Khade hokar chup chaap unke lecture ko sunna pada, kyuki agar defense me kuch bolenge to kahengi argue kar rahe, aur fir baat aur badhayengi, kya pata
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mystery / ThrillerDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...