Ha, sahi samjhe, itni zaldi hm give up kaise kar sakte hai, writing mere har saans me basa hai, aur jisne uski aehmiyat ko samjhi, mujhme wo himmat aur josh wapas se bhara, bilkul meri hi tarah akela aur besahara par phir bhi writing ke sahare zindagi jeene wale ne mujhe ek ummeed di, use hm bhi auro ki tarah akela kaise chhor sakte hai, uske is ladai me uska saath kyu nahi de sakte
Theek hai, hm pagal hai, toxic hai, obsessed hai jo keh lo, par hm apne likhe hue shabdo me jeete hai, aur uski shabdo ne mujhe wapas se jeena sikhaya hai, khud ke liye likhna sikhaya hai
To jo Khanak hmko keh ke gayi thi, hm uska bilkul ulta karna start kar diye, Atharv ke baare me har ek cheez padhna, net pe available sab kuch dhoondna. Kaafi cryptic blogs mil rahe the, koi khul key a theek se bata hi nahi raha tha. Das websites pe jaaye tab jaake ek chota sa clue milta tha
College ka drama, mall ka pressure, Atharv ke baare me ulti seedhi baatein aur door rakha larry ka file, itna kuch jhelne ke baad hm har roz thak jaate the, thori bachi hui himmat se apna novel continue karte aur fir aaram se tumhari pehchaan ke shabdo me Rahat ki saans lete. Har episode se kuch naya seekh rahe the, aur har din dhalne ke baad, apni baatein share karte, apne dost se, ha, apne us unknown dost se jo kabhi reply bhi nahi deta tha, par theek hai, auro ki tarah taana to nahi maarta tha, sunta to tha
Aaj poori raat hm lagataar episode pe episode hi padhe ja rahe the. Kaafi murders ho rahe the, aur sabka culprit ek, Rohan…duniya me kisi bhi insaan ki maut ho, log rohan ko dosh de rahe the…lekin hm itna gussa kyu rahe…ye to bas fiction hai..bas ek co-incidence se poora matlab to nahi nikal sakte na
Rohan kaafi dino se ek bakery owner ke saath involved tha…wo ladki kaafi bade ghare ki thi par phir bhi ek bakery me kaam karti thi…uski maut ke baad, uske family ne uske baare me jaanne ki koi koshis nahi ki, na hi koi investigation
Himmat jod kar hm aage table pe rakhi us laal file ko khole, larry ki file. Agar auto me wahi tha, to ye file saamne se bhi to de sakta tha na, aise chhor ki bhagne ki kya zaroorat thi, aur job chorne ki?
Subah hone waali thi, kaafi time beet chuka tha, mitti ki Sugandh se pata chal gaya ki aaj bhi baarish hogi…hm weather forecast check karne lage, aur ha, kaafi heavy baarish hogi aaj…soche to..rehne dete hai college..direct mall chale jayenge
Bache hue time me hm wo file padhte reh gaye, larry ne Atharv pe kaafi research ki thi, sab kuch ek minute detail me, itna zyada research. Kuch ghanto baad ye file padhke mera sir dard karne laga. Is file me usne jo bhi kachda bhara hai, lag raha tha ki uski novel ko padhke uska summary banaya hai. File phek ke hm dinning hall chale jaate hai. Papa wahi, upsc toppers on repeat, are kabhi officers ke work achievement ke baare me padhe, kaise koi pada pact sign kiya gaya, land dispute ko handle kiya gaya, kya gyaan milta hai inko, daily toppers interview dekhne me.
Tabhi papa tv dekhte dekht hi kehte hai
Beta, gullu aur uske mummy papa aane wale hai shaam me, zaldi ghar aa jana
Diya: papa, waha hm ye nahi keh sakte ki zaldi chutti de dijiye, wo kya hai na, gull uke mummy papa aane wale hai…
Ek roti haath me leke hm doosre haath se zaldi zaldi shoes pehenne lage
Diya: umm, (eating)waise, kyu aa rahe hai
Tabhi mummy aati hai naya naya purse leke
Ma: ye le, tujhe dekhne aa rahe hai, zaldi aanaDiya: mummy, ye
Ma: are teri mummy mazak nahi kar sakti hai kya, tu cat ke mock pe dhyan de, ladko ka dhyan hmlog rakh hi lenge
Diya: ma, yarr
Pyaare hai dono, pata hai, par kya bole, mere pyaar ko to nahi samajh sakte aur na hi samajhna chahte
Auto me baithe baithe hm larry ki file me like case studies ke bare me sochne lage. Abhi tak tumhari pechaan me jitney bhi murders hue hai, us file me har ek murder ki case study hai, jiska ilzaam Rohan pe lagaya gaya hai, larry ke file me wo ilzaam Atharv ke sir par hai
Ek inti masoom aur young ladki, wo bakery owner, jisne kabhi apne paise par ghamand nahi ki, apni pehchaan banayi, use koi kaise maar sakta hai..pehchaan..serial killer jo independent youngsters ko marta hai..ye kya bak rahe hai hum, movie nahi hai, kuch bhi story bana rahe..aur waise bhi..larry ke file me kuch buddhe victims bhi hai..par agar itna evidence hai uske paas to wo police ke paas kyu nahi jaata..ya phir ho sakta hai ki Atharv ne itna realistic novel likha hai, ki koi use fiction samajh hi nahi paa rahe, koi bhi similar incident ho, to use Atharv ke naam se jod raheUncle: Bacche? Utariye, yaha jana tha na aapko? Yahi hai we wear mall, side se gate hai
Diya: Ah ha, pata hai, dhanyawaad
Aaj kaafi customers aaye hue the, sare staffs ekdm busy the, huh, aur mummy papa keh rahe the zaldi aaneDiya: Riddhi di, itne customers aaye hai aaj, kya baat hai?
Riddhi di kapdo ko ekdm flash wale speed se arrange kar rahi thi, log khol ke rakh rakh ke pahad bana diye the
Riddhi di: Diya tu zaldi se kaam pe lag ja, sale hai na, isliye
Hm bhi Riddhi di ka haath batane lagte hai, thori der ke baad hmko realise hua, ki unwanted insaan aaj to aaya hi nahi hai
Sale laga hai na, dar gaya hoga kaam dekh ke, nazuk nazuk haath jo hai, bag bhi driver se uthwata hai, mtlb driver is there to drive, not to be your donkey, ya aisa bhi ho sakta hai Kiran ko kisi aur ke saath dekh ke abhi bhi sadme me hai
Kaam atleast kaafi der tak mere man ko involve karke rakha, par jaise sara kaam end hua, wapas se ye chotu sa dimag kam karna shuru kar diya, hyper speed pe, wo bhi bina kisi energy drink ke
Itne accusations ke karan hm already confused the, isliye direct usse pooche, jo sahi jawab de sake, na ki assumptions, inkwin khol ke hm Atharv ko un sare incidents ke baare me indirectly pooche..ki kya usne aisi kahaniya suni hai, pakka rumours hoga, par phir bhi, kya tum sune ho?
Bas ek reply, kaafi kuch keh dega, mere yakin ko wapas la dega, please Atharv, pleaseGhar aaye to aunty uncle aur gullu teeno mummy papa se baatein kar rahe the
Purse rakh ke hm unhe pranam karne gaye to kehti hai, abhi bhi patli ki patli hai, mummy khana nahi deti kya?
Hm bhi keh dete hai, gullu me bhi kaun sa maans chadha hai aunty, gullu tujhe khana nahi milta hai kya
Mummy zaldi se topic change kar deti hai..inhe to lagega hm besharam, par sacchai to sab janta hai, kisne shuru kiHm kabhi family gossip me bhaag nahi le pate the, ab time ko fruitful banana hai to mobile pe novel khol lete the, to inhe phir se lagta tha ki hm inka disrespect kar rahe..to is baar hm aise hi shaanti se baithe rahe jab tak alga lag logo ke baare me bura bhala bola ja raha tha, ye sunke hm kar rahe inki respect, huh
Wait hi kar rahe the ki kab room me wapas jaane ka mauka mile, aur finally mil gaya
Inkwin khol ke dekhe to bas ek hi message pe blue tick tha, pehla accusation....mere sawalo ka jawab dena to door, baakiyon ko padha tak nahi
Kya use bura lag gaya, use aisa laga kya ki hm bhi use accuse kar rahe, baakiyon ki tarah?
Hm to usse uski sacchai janna chahte the naaki auro ki baton par bharosa karna..par jis tarah se hm usse pooche the…wo bhi sare incidents ke baare me..wo ab kabhi seen nahi karega, kabhi meri baton ko nahi sunega..ye kya ki Diya
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mystery / ThrillerDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...