Hm Khanak ke saath class karke nikal hi rahe hote hai ki kuch log mere muh par kapde daal ke kahi le jaane lagte hai. Hm kaafi koshis karte hai khud ko bachane ki par kuch kaam nahi aata. Khanak ki cheekh Dheere Dheere kam hoti jaati hai, aur meri cheekh kisi ko sunai nahi deti. Kuch der baad saans lene me bhi takleef honi lagti hai, jaise hi ham behosh hoke gir padte, mere muh ke upar se kapda hat jata hai.
(echo, cough, echo)
Nahi, ye expected nahi tha, hmko laga tha ab to ye log sudhar chuke hai,
Aman aur uski poori group yaha thi, auditorium meAman: Kiran kaha hai?
Aman poori tarah se tamtamaya hua tha, gusse se daant kitkia raha tha, par is baar, uske gusse ki wajah bahot badi thi. Kiran kaafi dino se college nahi aa rahi thi, aur pichle kuch dino me to hm bhi college nahi aa rahe the, mtlb Kiran kaafi dino se absent hai. Par ye kya baat hui? Kiran kaha hai? Na hi hm uske boyfriend hai aur na hi mere sir pe likha hai, faltu ka purani dushmani kheeche jaa raha hai
Tabhi Nida mere se mera bag leke door chair par phek deti hai, ye log dhakke maar ke hmko auditorium ke stairs ke saamne gira dete hai
Hm jante the kuch bhi ulta seedha bolna ya taana marna galat decision hoga, apne pair pe kulhadi marne jaisa. Hm ek, aur ye paanch
Aman: Kiran. Kaha. Hai,
Aman wapas se dheeme aawaz me poochta hai
Diya: Nahi. pata
Aman: Nahi pata, to ye video kisne viral ki?
Auditorium ke screen par wo video play hone lagti hai jo sirf Khanak ke paas thi. Jisme Kiran aur uski dost ek student ko peet rahi hoti hai. Ye video hmlog unke against use karne ke liye rakhe zaroor the, par hm to fir mana kar diye the ye video viral karne se. aur Khanak bhi aisa nahi kar sakti
Diya: Ye- Ye hm nahi kiye hai
Aman: ye video to tumhare paas hi thi na
Diya: Ha par..Ye hm nahi kiye..ye hamare paas thi zaroor..par hm ise viral nahi karne wale the
Koi auditorium ka gate tak knock nahi kar raha tha, cctv koi kaam ki nahi, kisi ko koi farq nahi pad raha tha, aur ye hmko pata tha
Aman ke dost baar baar same sawal karte hai
Diya: Are nahi pata Kiran kaha hai, are, last time to tum bhaage the na Aman! uske peeche, museum ke din. Apne galti karke mere pe aarop laga rahe! Ulta chor kotwal ko daante! Waah!
Aman: Tumlog niklo
Aman aur sabhi ko jaane ke liye kehta hai, wo log naraaz hoke chale jaate hai, inhe maarne pitne jo nahi mila, isi ke liye to jeete hai ye log
Aman: Tumne ye video viral kiya, uske karan Kiran duniya ke saamne nahi ana chah rahi
Diya: Oh, to wo itni bholi bacchi hai, itni nazuk, aur tum kaun ho, uske protector? Tumhe kisne haq diya kisi pe bhi koi bhi blame dalne ka, wo to ab tumhari girlfriend bhi nahi, kis baat ki narazgi?
Koi kuch nahi bola, fir se poora auditorium shant ho gaya, sirf ek aawaz sunai de rahi thi, boondo ki, aansuo ki boond
Samajh nahi aara , kab hm yaha apni safai de rahe the aur kab hm hi villain ban gaye
Diya: Ye video hm viral nahi kiye hai aur na hi hmko pata hai ki Kiran kaha hai
Aman rote rote chillane lagta hai, bipolar. Nahi aa raha tha daya, aur kyu aaye bhala..iski aadate irritating lagne lag rahi thi
Diya: Aman
Aman: Chup! Chup! Shut up!
Theek hai…
Kuch der hm dono wahi baithe rahe, koi kuch nahi bol raha tha,Aman ki taraf dekhne me pehli baar dar lag raha tha, pata nahi kya bolenge, wo ro raha hai, gusse se, par ham kya kar sakte hai, mere to galti nahi thi, aur baat karne ki koshis bhi kiye. to hmpar hi chilla diya..
Par poore din aise yaha baithe to nahi reh sakte, uski taraf dekhe to chehre pe koi emotion nahi tha, blank, fir neeche khoon ki boond dikhayi di…huh.. god.. Hmko bilkul believe nahi ho raha tha, koi aisa kaise kar sakta hai, wo apne nakhuno se apne doosre haath ki hatheli ko zor zor se kured raha tha. Khoon ki boonde girte hi jaa rahi thi,
Hm kuch bol nahi paa rahe the, isi tarah se us din Kiran bhi mall me sheeshe ke chubne ke bawjood bilkul normal thi, dard ka koi ehsaas hi nahi
Diya: Pa-pagal ho gaye ho kya! Tum! Ye-ye kya!
Isse pehle ki hm kuch kar paate ya madad ke liye chilla paate, Aman mere muh ko zor se daba deta hai
Aman: Tum boli, ki apni galti ko tumhare par blame kyu kar raha (laughs hysterically) tum sahi ho, baaki sab…galat. Galat mai, galat sab. Mujhme sacchai sunne ki na.. takat nahi hai, aur hogi bhi kaise, mere nalayak dosto ne meri har baat maani, kabhi saamne se aakhe muh par aukat nahi dikhai….
Aman ka haath khoon se latpat tha, aur hm kuch nahi kar pa rahe the, hm sehem se gaye the
Aman: mai tumhe blame kyu ka raha..blame..because this bloody asshole sitting near you knows nothing than to regret and blame, regret and blame, regret
Hm aage nahi badhe, ek shabd nahi bole, wo kamzori, insecurity dikhai de rahi thi jo ham hamesha se chupa ke rakhna chahte the..man kar raha tha uski madad kare, par himmat nahi juta pa rahe the
Aman seeddhhi par Dheere Dheere let jaata hai, apne zakhmi haatho ko faila kar upar dekhne lagta hai
Aman: Meri empire, business, meri ma, mere papa, itni badi business family (laughs) agar upar aasman dikh raha hota na, to mai wo sare timtimate tare aapne paas le aata, sabkuch kar sakti hai meri family, bas, ek tara, jo sabse zyada jagmaga raha, use wapas nahi la sakti. Par mujhe to bas wahi tara chahiye tha
Kuch mahino pehle news me aaya, ek kaafi naami businessman ke bete ne kiya murder, apni girlfriend ko bridge se giraya, meri badi behen ka murder, jo ucchai se darti hai..thi, cold blooded murder, meri di to sare aisho aaram se door apni bakery me kaam karti thi, khud independent woman, apna empire banana chahti thi, aur us ladke se pyaar bhi kaafi karti thi, aur meri itni badi business family apne empire ko bachane ke liye sabkuch bhool gayi, us darinde, us ghatna aur mere didi ko bhi.
Par aha, mai tehra usse bhi bada darinda, mai apni behen ko justice dilwa sakta tha, par itna kamzor insaan duniya me kisi ne dekha nahi hoga, nahi bol paya, chote se aaj tak, maine sab dekha tha..par kabhi kuch nahi bol paya
Aur (laughs) Kiran (laughs) aur Kiran..wo masoom mujhpar bharosa karti hai, jis ladke me ek kaudi (frustrated) ki himmat nahi. Uncle, Kiran ke papa, hm sab, nami business families….
Kiran ko kabhi apne papa ka pyaar nahi mila, uncle Kiran ko unki wife ke death ka.. doshi maante hai, hamesha se, aunty ka death childbirth me ho gaya, Kiran kabhi apni mummy ko dekh nahi paayi..uncle sara gussa Kiran par nikalte the..chote se, mai uske liye khana lata tha..jab wo bhookhi rehti thi, wo mana karti thi ki uncle daatenge, par mai usko khana khila ke hi jata tha..mujhko ek choti behen mili thi..jis tarah didi mera khayal rakhti thi, mai bhi Kiran ke liye dekha dekh utni hi mehnat karta tha….Kiran apna dard doosro par nikalti, par usse kayi zyada dard khud sehti, sab kiya, sab kuch kiya bas.. bol nahi paya, muh pe waisi hi chuppi thi, jo didi ke jaane ke baad thi…aur jo abhi bhi hai.
Aman ki baate sunkar shaq ki chadar ne mujhe poori tarah se gher liya, dar lag raha tha ki jo hm soch rahe wo sach na ho
Aman: (thinks) Kiran ko maine usi darinde ke saath dekha, aur fir se, kuch.. bol nahi paya.
Diya: (shivering) Aman…shayad Kiran.. Atharv
Kaapte hue aawaz me hm upar dekhe, Aman behosh pada tha
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mystery / ThrillerDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...