Tumhari pehchaan koi normal fiction nahi thi, itna to pata chal gaya tha. Par iski writing me aisa magic tha ki log Rohan ko apne life ka ek hissa maanne lage the, uske dard uske dukh uske hara ansu ko mehsoos karte the.
Aur hmko nahi pata tha, ki ek din ham bhi us crowd ka hissa ban jayenge. Par hm thore to alag the, kyuki hm Rohan ke nahi, par Atharv ke liye soch rahe the. Ho sakta hai kyuki hm bhi ek writer hai, aur uski kahani se usko samajh paa rahe. Par har din hm regret karte the, ki auro ki tarah hm use kyu judge kar rahe. Uski bhi to koi story hogi na, jo wo batana chah raha, par koi sun nahi paa raha. Uske nazariye se to kisi ne nahi dekha, just because wo celebrity hai? Pseudo heroism? Ek writer hi doosre writer ko samajh sakta hai, par meri feelings bahot confusing thi, itni confusing ki wo mere personal life me interfere kar rahi thi, mere khoye hue rehne ka reason.
Ab to kaafi din ho gaye Khanak se bhi baat kiye hue. Ye regret, ye sadness, sbka ek hi jad hai, Atharv ko samajhne ke jagah, usi pe ilzaam lagane ka. Shayad hm khud ko kos rahe hai, khud ko saza de rahe. Itne impractical to kabhi nahi the hm, hamesha logical Diya, aur in reality me rehne wale insaan. Par aaj dekho
Hm maafi mangte hue ek message Atharv ke chatbox me daal dete hai.
Use ye batate hai ki pata nahi tumhari life kaisi hai, tum kaise ho, par ye jaan lo, ki hmko tumpe poora bharosa hai, tum hmse apni baatein share kar sakte ho. Har din meri baton ko sunkar thak nahi gaye kya? Pareshan nahi hue? Ab tumhari baari pareshan karne ki. Samne aao ya na aao, tumhari marzi, par kaash hm tumhare dard me saath de paate, tum akele nahi ho Atharv.Send.
Samajh nahi aa raha tha ki hm kisi murderer se sympathise kaise kar rahe, use justify kaise kar sakte hai, hm to aise nahi the. Jisne itne aansu bahaye, uski kahani kyu sunna chahte? lag raha tha paani ki tez dhara me bas behte hi ja rahe, bina ruke, ek tat ki talash me
Khanak: Diya, hm museum aaye hai, poori college enjoy kar rahi hai yar, aur tu aise kho kyu jaati hai beech beech me?
Diya: Ah, hi, Khanak..kuch nahi
Pichle kuch dino se hm college nahi aa rahe the, apni story ko bhi adhura chore hue the, itni mehnat se likho par koi suntan hi nahi, sara din internet pe Atharv se jude websites padhne me khatam ho jata, par poori tarah se ise suljha nahi paye the
Khanak: Yar Diya, teri to ancient history ki knowledge acchi hai na, ye sab artifacts ke baare me hm baccho ko thora gyan to do
Diya: Ek second,
Hm doosri taraf mud kar kehte hai
Diya: yaha jab teacher hi hai to bacche ki kya zaroorat? Oye senior!
Sare students peeche mud kar dekhne lag jate hai. Aman apne mutthiyon ko kas kar dabata hai aur daant gidgidaye peeche mudta hai
Diya: guys, inhe history ki jaankari hmse kai zyada hai, jaha dekho phekte hi, I mean knowledge baatte chalte hai, yaha tak ki mall ke staffs ko bhi, to aap log inhi se seekh le
Aman: Diya, Kiran tumhari khatirdari me kaafi kami nahi kar di hai?
Diya: wo to tumhe Kiran se poochna chahiye…ah, sorry…Kiran to aajkl kisi aur ke saath ghoom rahi-
Bas, ye sunte hi Aman ka gussa burz khalifa pe chadh jata hai, wo Khanak ki taraf mud kar kehta hai
Aman: Kiran jiske bhi saath hai, ainda iska zikr mat karna
Huh, bolne wale hum, par Khanak ko dhamki de raha hai
Aman: Agar kisi ne bhi Kiran ke life ka gossip banaya na, to agli mulakat dean ke office me hogi
Wo har ek insaan ko warning wala stare dene lagta hai
Diya: ha, yahi karo, tumhe to bas aata hi hai aankh dikhana, aur hame aata hai, aukat dikhana
Ab to Aman ki poora shakal laal mirch jaisi ho jati hai, waise hari mirch zyada teekhi hoti hai, par hara shakal to hulk ka hota hai, aur takatwar to ye hai nahi
Hm thori si attitude dikhane ka koshis karte hue flash ki tarah aage badhte hai aur anjaane me side me rakhi koi cheez mere se takra jati hai
Kya koi ladai chal rahi thi yaha? Aha, artifact ko bachane ke liye koi uske hath to koi uske pair pakadta hai, aur hm soch rahe hote hai ki agar ye nirjeev insaan mere se toot jata, to hm jaise jeevit insaan jail jaate ya mall ke paise se fine bharte
Tabhi galat time pe teacher ki entry hoti haiTeacher: Baccho yaha bheed kyu lagai hui hai sabne?
Instant reply me to hm kabhi acche nahi the, par ek insaan tha, jo isme phd kiya hua tha, par hame chup dekh usne bhi maunwrath dharan kar liya
Teacher saamne aate hue dobara poochti hai
Aman: mam hm ise analyse kar rahe the, ispe paper taiyaar karne ke liye, like, us time ke log ise kaise banaye honge, to ham sab milkar ek ek part ko study kar rahe the
Murti abhi bhi aadha jhuki hui thi, warna iske pair ko itne zor se dabate ki doosre din college aane layak nahi rehta, iske karan itna mushkil assignment mil gaya, are isse accha excuse to hm de dete par itna confidence hi to nahi hai, par koi baat nahi, jaisa bhi faltu excuse tha iska, murti girne se bach gayi
Teacher ke jaate hi hm sb apni poori takat se purani waqt ki aunty ko wapas se apni jagah par rakh dete hai
Diya: Aman, tumhe ham sab juniors ko bachane ka naya naya shauk chadha hai kya?
Hm Khanak ke kandho par haath rakh kar zor zor se hasne lagte hai
Diya: Oye, hm tumse baat kar rahe hai
Aman kisi aur taraf dekh raha tha, uske chehre par gusse ki jagah dar tha, wo saamne rakhe showcase ko zor se pakda hua thaWaha to Kiran thi, usi rumoured ladke ke saath, pink helmet aur brown jacket, to ye hai Aman ka competitor…..utna mushkil competition bhi nahi hai, obviously Kiran use hi chunegi
Isse pehle ki Aman ko doosri baar taana marte, wo kaafi tezi se unke peeche bhaga, itna desperate kaun hota hai, ise bhi Khanak ke saath kuch waqt bitana chahiye, wo ise bhi gyaan degi, jaane wale ko kaun rok sakta hai, fir akal aayega, but this time I truly felt bad for him
Dopeher hote hote sabhi cafeteria chale gaye, aur ham apna khana leke museum ke garden me baith gaye, jaha koi bhi toke nahi, kyuki ab akelapan zyada khoobsoorat lagta tha, hm khana khate kahte wapas se apni search continue kiye..wo jo interviewer ki blog thi, wo uski original website nahi thi, kisi aur ne publish ki thi, aur fir use remove bhi kar diya…, par fir wo kisi aur site pe mili, isse pehle ki ye wapas se remove ho jaye, hm uska screenshot le lete hai.. FIR ke hisab se to original blog July me dala gaya tha…mtlb uske baad se use koi baar baar alag alag jagah upload kar raha, par uploader aisa kyu kar raha?
Tumhari pehchaan novel padhte padhte hm poori tarah se updated episode par aa gaye the, kuch din pehle Orrissa me ek bahot badi ghatna hui thi aur waisi hi ghatne ki zikr latest episode me bhi ki gayi thi,
Atharv ki novel ko ham sab real life me jee sakte the, sab kuch apne saamne hote hue imagine kar sakte the, har ek character itna asli lagta tha, jaise Atharv sahi me un characters ko asli insaano pe hi banaya hai, wo jo bhi karte the, kuch bhi fiction nahi lagta tha, aur usi beech uski shayari, uff, ab har agle episode ke liye intezaar karna padta tha, wo sirf safte me do hi din dalta tha, uff, bas do din Wednesday aur Sunday, ek second, ye cheez mere dimag me pehle kyu nahi aaya
Khanak: Diya, Diya tu yaha garden me ky kar rahi hai? Waha sab saath me enjoy kar rahe hai, gaane wane gaa rahe hai
Diya: Khanak hm jaa rahe hai, zaroori hai
Khanak: Are, poore saal me ek baar trip hota hai
Diya: Are ise trip kehte hai kya, museum ghuma rahe hai, hmko larry ki file ki bahot zaroorat hai abhi, tum samajh nahi rahi ho, itna bada cheez hm miss kaise kar sakte hai
Khanak: Tu abhi bhi usi chakkar me padi hai? Bataya tha na ye sab me nahi padne
Hm Khanak ko bhi apne saath apne ghar le aate hai, kyuki Khanak cheezo me parakhne me mere se bahot aage thi, aur mere request karne pe wo nab hi nahi bol sakti thi
Diya: Ye, ye hai uski file..aur andar sare case studies…jo police ko bas fictional lagte hai…
Hm kuch pages palat ke interviewer ki case study kholte hai…itne dino ki mehnat ke baad finally lag raha tha ki kuch hasil hua hai
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mystery / ThrillerDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...