Khanak ko nightmares aate the, wo hamesha hmko hi call karti, hm dono the hi itne nazdeek, ek doosre ki madad ke liye hamesha rehte the, ek doosre ko sunne ke liye hamesha taiyaar.
Aman apne dosto ko mera peecha karne se mana to kar diya tha, par Kiran ka ata pata abhi tak nahi mila tha. Khanak ne point out kiya tha, ki Meri Pehchaan me bhi ek ladki thi jiski harkate hu bahu Kiran se milti thi, Aman bhi use Atharv ke saath jaate dekha, par mera man nahi maan raha tha. Hm kuch der pehle hi mile the Atharv se, infact har din mil rahe the, use nazdeek se jaan pa ra the, wo duniya ke saamne alag aur mere saamne alag?
Atharv ka bracelet khul ke us café me hi gir gaya tha, jaha hm thodi der pehle the, Atharv to ghar ke liye nikal gaya, lekin uska live location abhi bhi active tha, hm uske bracelet ko lekar uske ghar ke liye nikal gaye.
Location to kaafi weird tha, city se kaafi door aa chuke the, samane bas ek ghar dikh raha tha, wo bhi koi mamuli ghar nahi, ek bahot badi haveli.Hm saamne jaane lage, door door to poora jungle hi tha, ya haryali, jo kaho, aise darawne jagah me kaun rehta hai bhala.
Jaane ka road bhi.. shuru shuru me to lag raha tha jaise pahad chadh rahe ho, hm ghar ke aur paas aate gaye.Hm Atharv ko kisi ke saath garden me ghoomte dekhe, nahi, ladki nahi, par ye ladke ka andaaz kuch dekha dekha sa lag raha tha, hm saamne aate gaaye, Atharv kaafi tensed tha, lag raha tha jaise conversation kaafi heat up ho rahi, par jo uske saath khada tha, uski bas peeth dikh rahi thi
Atharv: Diya?
Atharv ki nazar hampe padi
Haath hilakar muskurate muskrate hm uski taraf badhne lageDiya: Atharv tumhari bracelet
Atharv: Diya? Yaha kya kar rahi ho tum?
Diya: Tumhari bracelet gir gayi thi, hm to bas
Atharv: Accha, ok
Atharv zaldi se mere haath se wo bracelet le liya
Atharv: Waise isse milo, mera bhai
Atharv ka dost, ah, mtlb bhai finally meri taraf mudaLarry: Hi, Diya, right? Myself Larry
Diya: Oh, hi-hi Larry
Mere sir par maan lo kisi ne patthar rakh diya hai, kya chal ra hai ye? Hmko samajh nahi aa raha thi ki jiski file ke help se hm Atharv ke baare me itna kuch jaane, itna opinions banaye, wo to khud usi ka bhai hai, ye log sab milke hmko hi pagal bana rahe hai kya?
Pehle to samajh nahi aaya kaise react kare, itne dino se ise dhoond rahe the, aur ye achanak Atharv ke ghar par mila, mere liye file chhor gaya, aur ab Atharv ke saamne aise act kar raha jaise jaanta hi nahi
Atharv: Theek hai to fir, Larry aur tum saath me chale jaao
Waah, ab Atharv ko bhi aise react karna hai, itni door se milne aaye, bracelet lautane aaye, aur ab ghar tak aane nahi de raha. Itni bhi kya zaldi hai chutkara paane ki
Atharv ke isa kehne par, Larry turant mud gaya, jaise use pehle se pata ho ki Atharv itna unwelcoming hai
Diya: Hm, hm kahi nahi jayenge..itni door se aaye, aur tum ek minute bhi baat nahi karna chahte? Ghar ke andar bhi nahi aa sakte hm? Koi raaz hai kya? Tumhare is jungle ke beech haveli me
Atharv waisa ka waisa khada reh gaya, koi response nahi
Larry: Diya, Atharv ka ghar paint ho raha hai, tum mere saath chalo
Abhi bhi uske chehre pe koi emotions nahi tha, aur na hi koi excuse, jaise use mera yaha aana pasand hi nahi. Hm Larry ke saath nikal gaye.
Diya: Lagta hai tumhe kuch kehna chhaiye?
आप पढ़ रहे हैं
Tumhari Pehchaan
Mister / ThrillerDiya, ek college student, jisey ek writer banne ki tammana hai, par ye chahat use khud ek sach aur jhoot se ghiri kahani ka hissa bana deti hai. Jahan ek taraf uska ek mysterious writer Atharv ke taraf obsession badhta chalaa jaata hai, wahin doosri...