16. Gawaahi

1 2 0
                                    

Pichle kuch dino…bahot kuch ho chuka tha. Pehli ki life kaafi sorted thi…college jaao, ghar aao, college jao, ghar aao, bas yahi cycle har din chalta. Subah uthe, to ye soch ke uthe ki aaj ek nayi subah hai, to nayi soch ke saath kadam uthayenge, bas ek simple college student.

Par accha time zyada der tak tikta kaha hai…inkwin app khole, to kaafi saari hate comments dikhi. Kuch acche comments bhi the, par jo log bura bhala bol rahe, unhe koi kab tak ignore kar sakta hai. Kitne pyaar se har ek episode banate hai, itni ummeed judi hoti hai…par unhe kuch nahi dikhta, na mehnat, na pyaar, na ummeed..hm bhi to bas insaan hai..agar galti ho gayi, ya theek se kisi cheez ko kar nahi paaye, to hm bure baton ke haqdaar to nahi ban jaate, dil to bacha hai ji, unka bhi, aur hamara bhi

Hm notifications scroll karte gaye, bas isi me khus the ki isi bahane itne log meri likhi hui book padh to rahe

“ye thiller kam, comedy zyada hai”
“so ke uth ke kuch bhi likh diya hai”
“das minute ka timepass”

Ye to fir bhi bure the, par kaafi sare bahot toxic the, jab inhe hamari kadr nahi, to hm inki kadr kyu kare, inke liye aansu kyu bahaye, Atharv bhi to kuch aise hi palo se guzra tha na, wo itna bada writer hai, celebrity hai, use bhi to logo ne bahot ulta seedha bola hoga, ki wo aisa ho gaya hai, use is tarah ka novel likhna pada.

Hm Atharv se baat karna chahte the, baat karke use samajhna chahte, uska saath bhi chahte the, aur use mentally support bhi karna chahte the. Koi insaan bura nahi hota, bas use sahi raah dikha di jaaye, koi raahi hamesha uska saath de, sahi raah pe leke chale, pyaar de, uske pyaar ko sarahe, Atharv bhi in cheezo ka haqdaar hai, Larry ko hm zaroor bole the…ki Atharv ko duniya ke saanme lane me madad karenge…use expose karenge...isliye wo sari files hmko de gaya..hmpar bharosa kiya…par ye koi solution to nahi hai, use aur takleef nahi, aur pyaar ki zaroorat hai, kisi saathi ki..cheezo ko theek se samajhne ki..Larry jab bhai hoke..uska saath nahi de raha, to Atharv ke saath to koi khada nahi hoga…

Mera writing ka safar to yahi khtm hota hai…par hm denge Atharv ka saath..use badalne ki koshis krenge…agar wo itna accha likh sakta hai, to wo sahi hoke bhi itna hi accha likhega, use galat kadam uthane ki zaroorat nahi

Hm Atharv ke liye ek chota sa cake banana lagte hai…bday to nahi tha kisi ka, par aaj ek nayi shuruaat hogi..saath ki
Hm cake banate banate tumhari pehchaan ka episode audio format me sunne lage

Hm to janna chah rahe the ki..wo mere baare me aage kya likha hai..kya usne hamari mulakaato ka zikr kiya? Wo café girl ki kahani aur kitna aage badhi…par pta chla ki..Atharv ek naye character ko introduce kiya tha..Rohan ki..new love interest? Aisa kaise ho sakta hai
Atharv ki love interest abhi tak to hm the na? wo aise dhokha kaise de sakta..hm dono jo itne lamhe saath me guzaare…ek doosre ka saath diye..wo sab bas yahi tak tha? Smjh nahi aa raha tha ki ye sab mera mood swing hai ya Atharv ka

Cake jitni bhi bake hui thi, hm utne me hi use nikaal ke Atharv se milne nikal gaye
Baarish shuru ho gayi thi, meri blue frock bhi gili ho gayi, hmko to sardi zukam bhi bahot zaldi lagta hai…hm kuch der baad park pahuch gaye, jaha hmlog milne ke liye decide kiye the…par park bahot khali khali lag raha tha….bahot saja hua tha, kaafi saari rides bhi thi..par log nahi the

Atharv: Diya, this side

Diya: Atharv,

Hm Atharv ki taraf gaye, wo jhule pe jhool raha tha, duniya ke maslo ko peeche chhor

Diya: Ye kya hai (sardi)

Diya: Atharv..ye sab kya (coughs, coughs)

Atharv wahi baithe baithe muskura raha tha..fir meri taraf ek packet badhaya

Pehle laga bolega vicks ki goli lo hich kich door karo, par usme to ek taufa tha

Diya: (angry) Atharv hmko ye sab nahi chahiye, (pause…shanti speculation ) wo nayi ladki kaun hai?

Tumhari Pehchaanजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें