Deedar e yaar
Part 4
By saniya Ali
Ig editsbysaniya77
Ignore mistakesShaam ki 4 baj rahi thi..Vo airport pr khade kisi ka intezar kr rahe the...
Black office suit me aankho pr chashma laga tha..
Apna mobile jeb se nikal kr inhone kaan se lagaya..
Hello abbu kaha khade hai aap?? Dusri side se awaz aai....
Tumhari nazro ke bilkul samne.. tumhe kaha dikhega ab apna baap.. vo apna suitcase uthakr aage bade...
Ohh... Vo foran car se nikla... Aur uske abbu ki taraf badhte hue bola...
Road cross krte hi saamne Arman ki black car khadi thi.. window ke sheeshe khule hue the.. white shirt aur blue halki checks ka 3 piece blazer pehna tha aankho pe sunglasses lage the...Haath me digital watch pehna tha...
Assalamualaikum...
Vo chal kr iski gaadi ki taraf aae....
Walaikum assalam.. dhyan kaha tha.. tumhara?? Me pechle 5 minute se waha khade hokr tumhe dekh Raha hu aur tum gaadi ke staring se sar tikaye pata nhi kiya soch rhe ho...
Pr mujhe to dikhe nahi aap???
Pr mene tumhe dekh liya tha naa..kaha gum ho??? Kaafi tension me bhi dikhe rahe ho. vo iski taraf aankho ka ishara krte hue isse puchne Lage...
Kuch nhi abbu.. bss vese hi.. batae kesi rahi aapki business trip??? Usne sawaliyana andaz me apne abbu se pucha..
Haa acchi rahi.. aur contract bhi mil gaya..
Vo usse puchna chaha rahe the.. aur vo baat ko kaat raha tha... vo unka beta tha.. aur Sarfaraz khan uske baap.. vo uske halke se mood swings ko bhi bhaaap lete the.. to phir ye tension ka andaza kese naa lagate...
Ohh wahh iss baat pe to party Banti hai chalein phr.. party krenge ..
Haa chalo..ghar ki malika se ijazat leni padegi party ki.. vo haste hue car ke gate se car ke andr dakhil hue... armaan ne car airport area se nikal Li thi...
Kareeb 45 minute baad vo dono Ghar pohch chuke the...
Ammi.... Dekhe.. kon aaya hai!! Vo Ghar me ghuste hi apni maa Munazza ko awaz lagate hue bola...
Ghar kaafi bada tha.. ghar me enter hote hi ek bada sa living area tha.. 4 sofo ke beech ek behad keemti Sheeshe ki centre table lagi thi.. uspe flower pot rakha hua tha jisme halke gulabi rang ke taaze gulab set the. sitting area ke right hand side pe bada sa kitchen tha... Aur uske paas me 2 kamre bane the.. Saamne ki side bhi badi badi paintings lagi thi ghar ki chat pe ek bada jhumar laga tha...sitting area ke dono side peeche se upper 1st floor ke liye sidiyan jaa rahi thi.. upper jaane ke 2 raste the ek seedhe hath ki taraf aur ek ulte haath ki taraf..upper 4 kamre the.. line se aur charo kamro ki peeche ki side ek badi si balcony thi..Thoda aage badne pe upper tarrace ke liye sidiyan jaati thi...vo 3 manzilah Bangla numa ghar kaafi khubsurat tariqe se bana tha...
Ohooo..... Aagaye.. aap.. aap to parsu nahi aane Wale the.. Arman inhone nahi bataya to tumne bhi kuch kehna munasib nhi samjha mujhe...vo muskutae hue apne kamre se Nikli thii...
Sakht orders the mujhe.. aapko naa batane ke kese bata deta isne apne kandhe uchkate hue kaha..
Chote sahab kaha hai?? Sarfaraz sahab ne Munazza se pucha..
Ann.. office me hai vo armaan ne beech me mudakhlat krte hue kaha...
Accha kiyaa kr raha hai aaj kal?? University wagerah jaa raha hai yaa nahi??
![](https://img.wattpad.com/cover/359076920-288-k245777.jpg)
YOU ARE READING
Deedar e yaar
RomansaKehte hai aag aur paani ek dusre ke wajood ko mita dete hai. Wahi Arman ek Mashoor business man ka beta hai. Aur inshira middle class family se talook rakhne wali ek mamuli ladki..Vo kisi aur se mohobbat karti hai Zain Qureshi se. Par armaan ek baar...