Part 1

5.3K 68 8
                                    

Jannat ke Patte

By

Namra Ahmed

Laptop samne takiye par rakha hua tha. Woh bed par kohniyon ke bal ondhi leti hui thi. Screen ki roshni uske chehre ko chamka rahi thi. Woh thodi tale hathi rakh ke dosre haath ki aik ungli laptop ke touchpad par pher rahi thi. Lambe seedhe siyah baal side par pare the. Uski aankhen bhi waisi hi thi. Siyah badi badi aankhen aur chandni jaisi chamak thi. Aur chehra malai ka bana lagta tha. Safed, saaf aur chakna sa. Woh usi magan andaaz mein screen par nazarain markuz kiye touchpad par ungli pher rahi thi. Aik click ke baad koi safha khula to uski mutaharik ungli ruk gayi. Screen par jami aankhon mein zara tafakkur ubhra aur phir bechaini, usne jaldi jaldi do teen button dabaye.

Loading..... Agle safhe ke load hone ke intezar karte hue is muzatarib andaaz mein usne ungli se chehre ki daayin taraf se phehlti latain peechay keen. Chand second mein safha load ho gaya. Woh bechain ho kar chehra screen ke qareeb layi to uske balon ki chand latain phisal kar phir chehre ke samne agayi. Jaise jaise...

Woh parhti gayi uski aankhein hairat se phailti gayin. Lab zara se khul gaye. Aur poora wujood beyaqeeni mein doob gaya. Dheer saare lamhe lage the usko khud ko yaqeen dilane mein, jo woh parh rahi thi bilkul sach hai aur jaise hi uske zehan ne yaqeen ki dharti ko chhua, woh ek jhatke se uth baithi. Uska phone side table par rakha tha. Usne haath badha kar cell uthaya aur jaldi jaldi koi number dial kiya. Raat ki muqaddas khamoshi mein buttonon ki awaaz ne zara irta'ash paida kiya. Usne phone kaan se lagaya doosri taraf bell ja rahi thi.

"Hello Zara! Shayad raabta mil gaya tha. Tab hi woh be had shokhi se chehki. Kisi ho? So to nahi gayi thi?" Doosri taraf uski dost kuch keh rahi thi. Woh lamhe bhar ko sunne ke liye ruki, aur phir hans padi. "Saari baatein chhoro mere paas jo badi khabar hai woh suno!" Usne aadatan apne balon ki lat ko ungli par lat pate hue kaha.

"Tum yaqeen nahi karogi main jaanti hoon. Aray nahi yaar, Dilawar bhai ki shaadi ke baare mein nahi hai."

Doosri taraf Zara ne kuch kaha to usne foran tardeed ki.

"Balke haan, tum aisa karo gi karo, main tumhe kya batane wali hoon?"

Usne ek haath se laptop side par kiya aur takiya nikal kar bed crown se tek laga kar kaha. Phir usne tek laga kar paon seedhe kar liye. Saath saath woh Zara ke andazon ki tardeed bhi kiye ja rahi thi.

"Nahi! Bilkul nahi. Aisa to bilkul bhi nahi. Aray meri shaadi bhi nahi ho rahi. Ji nahi! Aram ki bhi nahi ho rahi. Seriously Zara tumhari soch bas yahi tak hai. Ab kaan khol kar suno tum, woh Armadeus Exchange Program yaad hai, jis ke liye humne apply kiya tha?

"Can you believe it, Zara?

European Union ne mujhe scholarship ke liye select kiya hai." Doosri jaanib Zara itni zor se cheekhi ke mobile ka speaker band hone ke bawajood bhi uski cheek poore kamre mein goonji thi.

"Bilkull sach keh rahi hoon Zara! Abhi pandrah minutes pehle mujhe university ki mail mili hai." Aur saath hi laptop ka rukh apni taraf mod kar dobara ghour se screen ko dekha. "Jahan pandrah minute pehle hi selection mein aayi hai. Tum bhi foran check karo! Tumne bhi apply kiya tha, tumhe bhi mail aayi hogi." Woh phone ek haath mein pakad kar doosre haath se laptop off kar rahi thi.

Laptop ki screen par andhera hua to usne haath badha kar screen ko band kiya aur side table par rakh diya. "Maine Sabanci ko net par dekha hai. Bohat hi khoobsurat university hai. Magar... woh thodi dair ko khamosh ho gayi.

Doosri taraf se istifsar par woh phir se boli thi. "Bas ek chhota sa masla hai, hum apni families ko is ke baare mein nahi batayenge." Dheemi awaaz mein bolte hue usne band darwaze ko dekha. "Darasal Sabanci mein ladkiyon ke headscarf par pabandi hai. Idhar sar dhakna mana hai. Ghar walon ko bata kar mutafakkar karne ke bajaye is baat ko gol kar jana. Waise bhi hum dono hi scarf nahi letin." Us pal khidki ke bahar kuch khadaka hua tha. Woh chonk kar dekhne lagi. Qad aadam khidkiyon ke aage bhaari parde gire hue the. Albata peeche jaaliyan khuli hui thi. Shayad uska waham tha. Woh sar jhatak kar phone ki taraf mutawajeh ho gayi.

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now