Part 25

654 9 0
                                    

Mime a yahi behtar hai, kyun ke baaz auqat samaan gum bhi ho jaya karta hai. Kahin yeh na ho ke baad azaan aap kisi maslay se do char hon.

Woh us Turkish Airline mein kam karne wali aik Pakistani ladki thi aur uski pehli dafa beyn ul aqwami flight lene ke peish e nazar keh rahi thi. Aur Haya maan bhi jati magar DJ ud gayi.

Har giz nahin, hum ne itna bhaari hand carry nahin uthana. Plane mein aap ko nahin uthana parega. Officer ki shaistagi barhami mein badalne lagi.

Plane mein janay tak to uthana hi parega.

Phir to Turkey mein aap par Allah hi reham kare! Woh pair chikhte chali gayi to DJ ne apni mutawaram ankhon aur fatihana muskurahat ke sath Haya ko dekha aur ungli se ainak peeche ki.

Insaan ko koi cheez nahin hara sakti, jab tak woh khud na haar maan le.

Haya be ikhtiyar muskurane lagi. Usay DJ achi lagi thi. Flight mein in donon ko nashisten ek hi qatar mein milein. Darmiyani raste ke daein taraf bari teen nashiston mein se khidki ke sath wali Haya ko mili aur raste wali nashist DJ ko, darmiyani nashist khaali thi.

Kya hi maza ajaye Haya! Agar is seat pe koi handsome aur charming sailor ka aakar... DJ ke alfaaz adhoore hi reh gaye.

Ek bhaari bharkam se Pakistani sahab jo apne two-piece mein be had puchnay phanse lag rahe the, itminan se chalte hue aaye aur dhap se un dono ke darmiyan baith gaye.

Haya gher aaram mehsoos kar ke mazeed khidki ki taraf khisak gayi aur Khadija mukhalif simt.

"Mujhe Usman Shabbir kehte hain, Sheikh Usman Shabbir." Apni bhaari awaaz mein woh khushdili se goya hue.

"Nice!" Haya bazahir apne chhote se golden package ko khol kar kuch talash karne lagi. Yeh wohi clutch tha jo Dawar bhai ki mehndi par usne golden lehnga ke sath liya tha.

"Good." DJ ne magazine utha kar chehre ke samne phela liya.

"Main Turkey se aya hoon, darasal wahi rehish pazeer hoon, meri biwi aur beta bhi wahi rehte hain."

Haya mazeed apni seat pe jhuk gayi aur DJ ne magazine chehre ke itna qareeb kar liya ke uski naak sahifaat ko chhune lagi.

"Magar woh mera beta nahi hai, jaanti ho woh kisi ka beta hai?"

Mazeed nazar andaaz karna bekaar tha. Haya ne rukh Usman Shabbir ki taraf mod liya aur DJ ne bezari se magazine neeche kar liya.

"Aap batayein, kis ka beta hai woh?"

Usman Shabbir ko shayad barson se kisi samay ki talaash thi. Woh apni daastan-e-hayat foran hi shuru kar baithe. DJ musalsal jamaiyan rok rahi thi aur Haya neend mehsoos kar rahi thi. Woh kal subah se jaagi hui thi aur ab is subah ke saadhay chaar baj rahe the. Ooper se jahaz ka safar! Usne DJ ke samne zahir nahi kiya tha ke woh pehli baar jahaz mein baith rahi hai, aakhir DJ kya sochti ke kaisi ladki hai, kabhi hawai safar hi nahi kiya. Ab kya batati ke kabhi koi aisi surat hi nahi ban saki.

Is sab par mustazaad un sahab ki almanak daastan, jo mukhtasir kuch aise thi ke woh aur unki begum arsa tees saal se Turkey mein rehaish pazeer the. Chunancha aulaad nahi thi isliye unhone Usman sahab ke ek cousin ka beta godh liya tha. Woh beta be-jaha laad pyar se khaas bigad chuka tha, so is soorat-e-haal ko sanwarne ke liye unhone apni bhanji se uska rishta tay kar diya tha. Jis pe aathwin fail bhanji sahiba bohat khush aur beta bohat naraaz tha.

Aur is se pehle ke woh apni Pakistan amad ki wajah bayan karte, menu cards aa gaye.

Woh dono phir se taza dam ho gayi. Menu pe kuch naam jane pehchane aur kuch Urdu se milte julte the.

Jeera aloo aur sabz cutlets, paneer jalfrezi, saada paratha, teekhi biryani waghera.

Haya ne DJ ki taraf sawalia nigahon se dekha. Darmiyan mein mojood bhaari bharkam deewar ke baais woh aage ho kar baithi thi. Kuch samajh nahi aa raha tha ke kya mangwain.

"Turkish food bohat zabardast hota hai aur Turk log khane ke bohat shauqeen hote hain. Main batata hoon ke kya mangwao."

Dono ne ek dosre ko dekha aur phir mutanzar Haya ne hathiyar dal diye. "Bohat behtar, bataiye." Woh gehri saans le kar peeche ho kar baith gayi. "Pehlay to Sayadiat Samak mangwate hain. Yeh rawaaiti Turk chawal hain, safed machhli, fried piyaz aur kaju ke saath. Mushroom and cheese omelette, jeera aloo..." Woh bohot aitmaad se order likhwate gaye.

Magar jab khana aaya to Haya ka dil kharab hone laga. Khane ki khushboo soongh kar hi jee mutlanay laga tha. Usman Shabbir baday baday luqmay lete maze se kha rahe the. DJ mushkil se ek chamcha le kar hi dohri ho gayi. Haya bhi bad maza ho gayi thi. Itna pheeka saalan usne aaj tak nahi khaya tha.

Mushkil se chakh kar unhone bartan paray kar diye. Usman Shabbir abhi tak poori diljami ke saath kha rahe the. Ajeeb si khushbooen uske nathnoon mein ghus rahi thi. Agar yahi Turk food tha to usay laga, woh Turkey mein paanch mahine bhooki rahegi. Aisa jee to uska Daewoo bus mein bhi nahi mutlata tha. Jaise idar ho raha tha. Woh chehre par dupatta rakh kar so gayi.

◇◇◇
Islamabad se poore dhai ghante baad unhein Abu Dhabi airport par utarna tha. Wahan kuch dair ka qiyam tha aur phir Istanbul...

Abu Dhabi utarne se qabl khidki ke paar zameen ka golai mein katao dikhai dene laga tha. Zameen ka woh kura itna haseen tha ke uski bezari aur neend bhag gayi. Woh mohusi yak-tak woh manzar dekhti rahi.

Abu Dhabi airport par unhone Terminal 3 par land kiya tha. Istanbul ki flight unhone Terminal 1 se pakarni thi, magar pehle... ghar phone karna tha. Woh dono aage peeche tez tez chalti, calling card kharidne gayi. Paanch euros ka Etisalat ka card kharida aur phone booth ki taraf bhag gayi. Qataar mein phone booth lage the. Haya ne ek ek kar ke pehle teenon par card lagane ki koshish ki, magar card tha ke dalne ka naam hi na le. Usse airport par phone booth istemal karne ka pehla tajurba tha. Kuch samajh nahi aa raha tha ke kya kare.

"Haya, us bande ko dekho, jaise yeh card dal raha hai, waise hi dalo." DJ ne use kohni maari to Haya ne palat kar use dekha. Chauthe booth pe ek shakhs unki taraf pusht kiye, apna card dal raha tha. Haya ko dikhai nahi de raha tha ke woh kaun sa tareeqa istemal kar raha hai. So woh DJ ka haath thaame uske sar par jaa pahunchi.

Woh receiver kaan se lagaye number mila raha tha.

"Please humein yeh card daal dein. Main ise dal nahi pa rahi." Haya ne card uski taraf barhaya, woh chonk kar palta. Woh siyah rangat, ghanghriale baalon aur unche qad ka nasli Habshi tha. Usne ek haath se card lete hue un dono ladkiyon par nigah daali. Ek siyah lambe baalon aur badi aankhon wali khoobsurat ladki jo ke jacket ki jeebon mein haath dale khadi thi. Dusri bade chashme aur dheeli pony wali ladki jisne sweater teh kar ke bazu par dal rakha tha. Dono muntazir usay dekh rahi thi.

Jannat Ke PattayWhere stories live. Discover now