"Ji! Jihan Sikandar! Acha ladka hai. My foot." Unhone bohot talakh ho kar kaha. "Iske to mizaaj hi nahi milte, Turkey mein paida hua hai, na isko Urdu aati hai, na Punjabi aur kabhi usne Mamoon ka haal poocha hai? Kabhi phone kiya hai bhai? Main ye sab bhool jata magar pehle saal main Turkey gaya, to yaqeen karein bhai main atharah din wahan raha. Roz Sabin ke ghar jata tha, Sikandar to khair alag baat hai, magar Jihan aakhri roz mujhe mila bhi pandrah minute ke liye bas. Wo bhi jab uski maa ne mera naam bataya to kaafi dair sochne ke baad usko yaad aaya ke main uska door pare ka mamoon lagta hoon. Wo mujhse mila aur wo bhi pandrah minute ke liye bas. Aur poochhne laga kya Pakistan mein roz bomb dhamaake hote hain? Aur kya wahan internet ki sahulat mojood hai?
Phir uska phone aaya aur wo uth khada hua aur chala gaya. Main kabhi Haya ke liye court se khula lene ka na sochta agar main us roz ek Turkish ladki ko Jahan ke saath uske ghar drop karte na dekhta. Jab main flight pakarne se qabl Sabin ko khuda hafiz kehne gaya tha. Us ladki ke saath uski be takalufi... al-amaan... wo Sikandar Shah ka beta hai aur wo apne baap ka hi parto hai. Main samajhta tha ke agar Ahmad Shah jaise azeem insaan ka beta ho kar Sikandar unke bar aks nikla to waise hi Jihan bhi apne baap ke bar aks nikle ga. Aur ek acha insaan hoga aur wo usi maghroor aadmi ka beta hai. Haya kaun hai? Uska unse kya taluq hai? Ye baat na Jihan ko yaad hai na Sabin ko.
Sabin to ab ye zikr hi nahi karti. Ab main apni beti ko zabardasti unke ghar bhej doon kya? Khair! Kal Waleed se milwaoon ga aapko. Ab jo rishta bhi acha laga main Haya ki udhar shadi kar doon ga.
Haya mein ab mazeed sunne ki taab na thi. Wo safed chehra liye bojhal qadmoun se chalti unse door hat gayi."
Jihan Sikandar ko usne kabhi nahi dekha tha bas bachpan se usne apne aur uske rishtay se mutaliq suna tha. Woh saal bhar ki thi, jab Sabin phuphi Pakistan aayi aur farat-e-jazbat mein apne aath saal ke betay ke liye uska rishta maang liya. Jazbati si karwai hui aur dono behan bhai ne bachon ka nikah kar diya. Tab aath saal ka Jihan unke saath tha. Phir woh Turkey chala gaya. Ikis saal guzar gaye. Woh Turkey mein hi raha. Kabhi Pakistan nahi aaya aur is visit ke baad Sabin phuphi bhi nahi aayi. Na kabhi unhone koi tasveer bheji, na khat likha. Agar kabhi koi Turkey chala jata to unse raabta kar leta. Raabta na hone ke barabar tha. Internet woh istemal nahi karti thi. Agar karta tha Jihan Sikandar bhi to uska koi email, Facebook, Twitter kisi ke paas kuch nahi tha. Iram waghera usay Facebook par search karte karte thak gaye thay. Magar Turkey ka koi Jihan Sikandar unko nahi milta tha. Shuru ke chand din phuphi bohot phone karti thi. Phir aahista aahista yeh raabte zindagi ki masrufiyat mein kho gaye. Teen maah mein ek phone unka aa jata, teen maah mein ek phone idhar se chala jata. Yun chay maah mein do dafa sahi baat ho jati, rasmi aleik seleik, mausam ka haal, siyasat par baat aur Allah Hafiz.
In tamaam baaton ke bawajood woh khud ko zehni tor par Jihan se wabasta kar chuki thi. Nikah ke waqt ki tasveeren aaj bhi uske paas mehfooz thin. Aath saal ka bhure balon aur sunahri rangat wala khubsurat ladka... jisko usne kabhi apne rubaru nahi dekha tha. Aur shayad Turkey jane ki saari khushi ki wajah bhi yehi thi. Jis par Abba ne pani pher diya tha. Us roz usay reh reh kar Jihan par gussa aa raha tha. Jis ki berukhi ke bais ab yeh rishta ek sawalia nishan ban gaya.
Magar khair Dawar bhai ki shadi ho jaye aur semester khatam ho jayein, to woh Turkey jayegi aur unko zaroor dhoondhe gi.
◇◇◇
"Haya! Haya! Kidhar ho?"
Woh lobby mein aavezaan aaine ke samne khadi maathay par teeka durust kar rahi thi jab Fatima Begum usay pukarti aayi. Har taraf gahma gahmi thi. Ek na qabil e fehm shor sa macha tha. Mehndi ka function shuru ho chuka tha. Sab bahar jane ki jaldi machaye idhar udhar bhaag rahe thay aur woh abhi tak wahi khadi thi.
"Kya hua Ama?"
Woh teekay ke sath abhi hui thi, jo maathay par set ho kar nahi de raha tha. Sone ka gol sikay ki shakal ka teeka jis ke neeche ek surkh ruby latak raha tha. Baar baar idhar udhar jhool jata. Teekay ko theek karte hue musalsal uski chooriyan khanak rahi thi.
"Jaldi aao! Tumhare Abba bula rahe hain, kisi se milwana hai tumhe."
Unki awaaz mein khushi ki ramak thi, woh chonk kar unko dekhne lagi. Nafees si silk ki saari aur diamonds pehne woh khaasi bawuqaar aur khush lag rahi thi. Uski ungliyon ne teeka chorh diya. Dil zor se dharka. Kya phuphi aagai thi aur unka maghroor beta bhi?
"Kidhar hain Abba?"
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay
RomanceJannat ke Patte By Namra Ahmed All credits goes to Nimra Ahmed Khan, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on instagram @jaya3_11_24 © All Rights Reserved